Sunday, July 13, 2014

JZ'S ROMAN URDU EXPRESSION (TOOTI PHOOTI SHAIRI)---UPDATED JULY 15, 2014

       
KEEP VISITING WWW.JAVEDZAHEERNEWS.BLOGSPOT.CA 
      FOR LATEST ARTICLE/ROMAN URDU EXPRESSION
                                         ***********
        JZ'S MOTTO: SERVE HUMANITY IN REALITY
                     WORSHIP JUST ONLY ALLAH
             JAVED ZAHEER’S TOOTI PHOOTI SHAIRI  
                     (ROMAN URDU EXPRESSION)
Tel: (416)696-0981/(647)740-0981. Email: jazamedia@hotmail.com                

LATEST EXPRESSION
    
 JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER FIFTYONE (51) 
 AB HOSH MEIN AAO
   JAGO AUR JAGAO
             BY JAVED ZAHEER
Dekh Teri Maa Ka Kia Hashar Horaha Hai
Ab Bhi Tu Beghairat Bunkey So Raha Hai
Tu Kaisa Musalmaan Aur Behis Insan Hai
Murda Tera Zamir Na Moo Mein Zaban Hai
Kheltey Hain Sub Hi Mil Ke Khoon Ki Holi
Maar Kaat Ke Qaum Ki Lagatey Hain Boli
Waqt Jaagne Ka Kiyun So Ke Kho Raha Hai
Aye Besharam Insan Ye Sub Kia Horaha Hai
Khuda Ne Tumhain Di Kitni Izzat-O-Shan
Ab Kia Huwa Tujhe Mere Bhai Musalmaan
Insaniyat Ka Banaya Tumhain Alam Bardar
Sari Qaumoun Ka Banaya Tumhain Sardar
Mila Di Tum Ne Khak Mein Sari Izzat-O-Shan
Ab Kiyun Ro Rahay Ho Aur Kiyun Pashemaan
Aag Falasteen Se Lagi Pakistan Tak Hai Bhai
Kaat Rahe Musalman Ko Mil Ke Zalim Qasai
Kia Faryad Mazlumoun Ki Tere Kaan Tak Ayi
Hai Koi Mard Jo Dilai In Becharoun Ko Rahai
Ye Chup Rehne Ka Waqt Nahi Awaz Uthao
Jaago Khud Bhi Aur Sub Logoun Ko Jagao
Islam Tu Tum Ko Bachaney Aya Hai Insan
Islam Hi Deta Tumhain Insaniat Ki Pehchan
Zalimoun Ka Kia Kaam Deen-O-Mazhab Se
Karte HainWo Pyar Sirf Mufad-O-Matlab Se
Insaniyat Se Nahi Dor Tak Koi Unka Wasta
Hain Zalim Darinday Alag Hai Unka Rasta
Aman Ke Naam Pe Wo Chaman Loot Te Hain
Mazhab Ke Naam Pe Dha Te Wo Ghazab Hain
Dete Hain Dhoka Roop Badal Ke Kaise Kaise
Hote Sub Makkar Aur Dikhte Farishtey Jaise
Tum Raho Hoshiar Khabardar Tayyar
Karte Hain Ye Bohot Makkari Se War
Ye Baat Achi Tarha Samhj Lo Mere Bhai
Chahey Tum Muslim Yahudi Ho Ya Esai
Allah Ko Maan Ne Waley Hain Sub Bhai
Na Samjhe Tu Phir Hogi Zillat-O-Ruswai
Isi Liye Tu Kehta Hoon Ab Hosh Mein Aao
Jago Aur Jagao Mil Ke Millat Ko Bachao
                       **********     
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER FIFTY (50) 
ALLAH MULLAH AUR INSAN
                 BY JAVED ZAHEER
Kitna Jahil Badnaseeb Bewaquf Hai Insan
Darta Nahi Allah Se Mullah Pe Meherban
Parhta Hai Tasbih Rab Ki Sunta Hai Baqi Sub Ki
Bunke Naam Ka Muslim Kia Halat Ki Ummat Ki     
Allah Ko Maanta Hai Ye Allah Ki Maanta Nahi
Mullah Ki Maanta Hai Mullah Ko Maanta Nahi
Dhoka Khata Mulla Se Shikwa Karta Allah Se
Karta Pyar Dunya Bhar Se Darta Nahi Qabar Se
Kis Haal Ko Pohnchaya Is Sonch Ne Insan Ko
Kaisa Gul Khilaya Dunya Ney Musalmaan Ko
Mullah Se Teri Yaari Shaitan Ko Hai Pyari
Banake Tujhe Gadha Karta Hai Wo Sawari
Aaj Sharam Se Sar Jhukay Tu Apni Hi Waja Se
Suntay Gar Khuda Ki Tu Rehtay Sub Mazay Se
Ab Bhi Kuch Nahi Gaya Aye Hazrat-E-Insan
Hosh Mein Aao Acha Insan Bano Musalmaan
Jaan Lo Maan Lo Jaali Mullah Ko Pehchaan Lo
Insaniyat Hi Sub Kuch Hai Samajh Se Kaam Lo
                          **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER FORTYNINE (49) 
 WAQT, HALAAT, MAHOL
         BY JAVED ZAHEER
Dekhiye Waqt, Halaat, Mahol Ka Sitam
Kaise Insan Ko Shaitaan Bana Dete Hain
Molvi Jo Allah Allah Karta Rehta Hai Gharib
Pal Bhar Mein Usko Haiwan Bana Dete Hain
Khud To Tum Insan Samjhte Ho Fakhar Se
Bun Ke Shaitaan Gir Gaye Allah Ki Nazar Se
Sawal Karte Ho Allah Aur Uski Pak Zaat Par
Lagta Hai Tum Pe Haiwan-O-Shaitan Ka Asar
Maafi Maango Allah Se Gir Gira Ke Ro Ro Ke
Maaf Karde Ga Tumko Wo Bohot  Khush Ho Ke
                         **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER FORTYEIGHT (48) 
DARD DIL AUR ANSO
               BY JAVED ZAHEER
Dard Dil Aur Ansoo Ka Gehra Rishta Hota Hai
Jub Dil Toot Ta Tu Dard Ansoo Bun Ke Behta Hai
Tor Ne Wala Kub Kahan Ye Sochta Hai
Ki Dil Ke Chaman Mein Bhi Koi Gul Khilta Hai
                          **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER FORTYSEVEN (47)
MAZLOOM KA EHAD
BY JAVED ZAHEER                                       
Wo husn ki devi thi aur ashiqoun ka tara
masoomiat mein oos ne kia kuch ko ishara
un zalimoun ne choos lia ras uska sara
tub ghussay mein aakar oos ne khud ko lalkara
kia ehad ki na choroongi kisi ashiq ko kunwara
kaat ke cheen longi inkay mard hone ka sahara
                         **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER FORTYSIX (46) 
KAUN APNA KAUN PARAYA
                   BY JAVED ZAHEER
Dor Kiyun Jaate Jo Aasteen Mein Hi Saamph Chupe Hain
Choostey Hain Wohi Lahu Jinko Apna Samajh Baithay Hain
Samajh Mein Nahi Aata Kaun Apna Kaun Paraya Hai
Samjha Jinhain Dost Apna Unhi Se Dhoka Khaya Hai
Tum Ghazab Samjhey Jis Ko Mere Liye Kuch Nahi
Mushkilain Aati Rahain Per Tor Sakeen Mujhko Nahi 
Ye Milap Bhi Kiya Milaap Hai Dostoun
Hum Miltey Hain Per Dil Nahi Dostoun
Karte Hain Khud Pe Zulum Aur Nuqsaan Utha Tey Hain
Samajhte Hain Har Baat Ko Phir Bhi Aisa Kiye Jaate Hain
                               **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER FORTYFIVE (45)
MEIN AUR MEI SE BACHO
          BY JAVED ZAHEER
Meikhanay Se Sub Ne Mujhko Aisa Daraya
Ki Mei Ko Kabhi Dost Mein Ne Na Banaya
Mei Miqdar Mein Piyo Tu Deti Hai Suroor
Hud Se Ziada Piyo Tu Karti Paida Fatoor
Chaska Is Zalim Ka Jis Ke Moo Lag Jaye
Wo Jata Kaam Se Phir Sambhal Na Paye
Bhool Jaata Hai Sub Rishtoun Ki Pehchaan
Aisa Bana Deti Hai Mei Sharabi Ko Shaitan
Har Aurat Mein Nazar Aata Hai Usko Shabab
Isi Liye Tu Mei Ko Samjha Jaata Hai Kharab
Ye Tu Thi Kahani Mei Aur Meikhanay Ki
Aao Baat Karain Ab Mein Aur Zamanay Ki
Mein Paida Karti Hai Insan Mein Gharur
Bana Ke Zalim Usay Karti Allah Se Dur
Firoun Wo Namrood Jub Huwe Mein Ka Shikar
Allah Ne Di Saza Unhain Kia Zalil Wo Khuwar
Jitne Bhi Loug Huwe Mein Mein Mubtala
Sub Ki Huwi Pakar Un Sub Ko Mili Saza
Mei Ka Nasha Tu Sharabi Banata Hai
Kuch Der Rehta Phir Utar Jaata Hai
Mein Ka Nasha Auqaat Bhulata Hai
Gumrah Karta Aur Tabahi Lata Hai
Mei Aur Mein Donoun Hain Nafs Ke Yaar
Qaboo Paalo Nafs Pe Tu Hojain Ye Bekar
Is Zalim Nafs Ne Kia Gul Na Khilaya
Iblis Ko Bhi Behka Ke Shaitan Banaya
Isi Ne Adam Ko Jannat Se Nikal Waya
Shaitan Ki Hai Nafs Se Pakki Yaari
Nafs Hi Asal Dushman Hai Hamari
Jinsi Wo Dunyavi Khuwaish Nafs Se Tu Hai
Allah Aur Roohaniat Si Dori Nafs Se Tu Hai
Gar Karlo Tum Apni Nafs Pe Qaboo
Tu Hojao Ge Kamyaab Aur Surkroo
Shaitan Ko Tum Kabhi Kamzor Na Samjho Bhai
Is Nay Insan Ko Behkanay Ki Hai Qasam Khai
Jalta Insan Se Hai Jub Se Mili Rusvaayi
Bachna Shaitan Se Hai Tu Bacho Nafs Se Bhai
Nafs Ke Shar Ne Hai Dunya Mein Aag Lagai
Phaila Ke Nafrat Isi Ne Dushmani Karai
Isi Ki Wajah Se Horahi Hai Sari Tabahi
                     **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER FORTYFOUR (44) 
GHULAMI SE CHUTKARA
       AZADI CHAHIYE
               BY JAVED ZAHEER
Bun Ke Farishtay Dhoka Dete Hain Ye Shaitan
Aisay Miley Leader, Hukmaran Aur Siasatdan
Unki Batoun Mein Aakar Loug Karte Dhamal
Aisa Nacha Te Logoun Ko Ye Sianay Dajjal
Dekhatay Subz Bagh Aur Banate Khoob Maal
Bichaa Ke Aisa Khatarnnaak Qisim Ka Jaal
Kamal Tu Ye Ki Jaante Hain Sub Unki Chaal
Tab Bhi Jhuka Ke Sir Unhi Se Mundwate Baal
Pitay Hain Wo Sub Lahu Aur Nochtay Khaal
Nikala Kachumar Qaum Ka Kardiya Badhaal
Nazar Aata Nahi Dur Tak Koi Mai Ka Laal
Jo Bun Ke Qaum Ki Dhaal Karey Inse Sawal
Murda Qaum Ka Hota Hai Yehi Anjaam
Jis Ka Dil Chahta Banata Inhain Ghulam
Kahan Ke Tum Sher Ho Aur Kaisay Sapoot
Sianay Dajjal Ke Dar Se Kar Dete Ho Mooth
Kahanian Kaana Dajjal Ki Sunatay Ho Tum
Sianay Dajjaloun Se Kub Jaan Churao Ge Tum
Bharosa Karo Tum Rahman Aur Raheem Par
Wohi Bachai Gaa Tumhain Is Sarzameen Par
Na Daro Na Peeth Dikhao In Zalimoun Ko
Karo Himmat Aur Bhagao In Zalimoun Ko
Kaam Hai Mushkil Par Anjam Dena Hoga
Warna Ghulami Ka Tauq He Pehnaa Hoga
Kitney Lougon Ne Qabza Kiya Hindustan Par
Na Hotay Ghulam Gar Rakhtay Apni Khabar
                      **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER FORTYTHREE (43) 
       KHUDGARZ INSAN
             BY JAVED ZAHEER
Kiyun Milay Hamain Jannat Kia Kaam Kia Hum Ne
Rahe Khudgarz Na Farman Yehi Kaam Kia Hum Ne
Yun Umar Barbad Ki Kia Waqt Ka Ziyan Hum Ne
Rahe Dhokay Mein Kub Razi Kia Khuda Ko Hum Ne
Jo Kuch Kia Jannat KamanayAur Mafaad Ke Liye
Dua Ke Wastay Uthay Haath Apni Zaat Ke Liye
Karte Jub Ibadat Tu Maqsad Koi Apna Hota
Parti Jub Sir Par Tu Sirf Tauba Ke Liye Rota
Bun Jaati Jo Bigri Baat Tu Dekhata Apni Zaat
Badalta Hai Tewar Dekh Kar Waqt Aur Halaat
Bohot Kum Hain Jo Khuda Ke Nek Bunday Hain
Zindagi Waqf Wo Sirf Allah Ke Liye Kartay Hain
Makhlook Se Pyar Aur Rab Se Dartay Hain
Allah Ki Raza Ke Liye Jeetay Martay Hain
Har Koi Bun Nahi Sakta Azeem Insan Aisa
Jhuka Sakta Nahi Inko Koi Dewta Na Paisa
Asaan Hai Bohot Hindu Aur Musalmaan Hona
Mushkil Hai Bohot Momin Aur Insaan Hona
Momin Ka Dil Ayinay Ki Tarha Saaf Hota Hai
Rehta Hai Khuda Oos Mein Mun Pak Hota Hai
Oos Ke Ayinay Mein Dekh Kar Khud Ko Sanwaro
Na Phiro Dar Dar Bhataktay Sirf Rab Ko Pukaro
Dil Ko Bana Ke Mandir Khuda Se Rishta Jor Lo
Kar Ke Mun Ko Pak Shaitan Se Rishta Tor Lo
Gunah Se Kar Ke Tauba Burai Se Moo Mor Lo
Nafratoun Ko Mita Kar Saath Sub Ko Le Ke Chalo
Rehtay Nahi Thay Pyar Se Kia Hindu Musalmaan
Phir Kis Ne Ki Paida Dushmaani Banaya Haiwan
Aaj Nafratoun Ki Aag Mein Jal Rahe Hain Sub
Paapi Tu Yehi Chahta Hai Samjhain Ge Baat Kub
Khatam Karo Sub Nafratain Aqal Se Kaam Lo
Hum Sub Hain Bhai Bhai Insaniyat Ka Naam Lo
Mohabbat Se He Ho Sakti Hai Khatam Nafrat
Phir Dekho Dekhati Hai Kia Pyar Ki Taqat
                          **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER FORTYTWO (42) 
        SOONCH MEIN INQILAB
                PAIDA KAR
               BY JAVED ZAHEER
Wo Jo Samajhte Hain Firoun Aur Khuda Khud Ko
Khauf Aata Hai Dekh Kar Anjaam Inka Mujh Ko
Phairtay Hain Moo Zalim Khalq Aur Khuda Se
Kartay Hain Sub Hadain Par Dartay Nahi Saza Se
Kaash Samajh Lete Kitna Asan Hai Khuda Ke Liye
Mazloom Ki Dua Hi Kafi Hoti Inki Fanaa Ke Liye
Wo Samajh Ke Bhi Sudharna Nahi Chahtay Hain
Dubay Apni Taqat Ke Nashay Mein Rahtay Mein
Inka Muqaddar Tu Jhannum Aur Sakht Azab Hai
Peenay Ke Liye Peep Tu Jalnay Ke Liye Aag Hai
Haan Jaan Lo Maan Lo Inko Khoob Pehchaan Lo
Choro In Sub Ka Saath Haath Mein Sirf Quran Lo
Allah Khud Kehta Ki Wo Rehman Aur Raheem Hai
Wohi Rabbul Alamin Aur Malikay Yaumiddeen Hai
Bismillah Aur Sura Fateha Mein Jis Pe Zor Dala Hai
Wo Bara Meherban Nihayat Rahem Karne Wala Hai
Gar Samajh Gai Allah Ki Is Shan Aur Haqeeqat Ko
Tu Samajh Lo Ge Quran Aur Allah Ki Naseehat Ko
Na Dara Pai Ga Koi Zalim Na Chaley Gi Makkari
Jis Ke Saath Ho Rab Wohi Hoga In Sub Pe Bhari
Hamain Qaum Ko Jagana Kirdar Banana Hoga
Sub Se Pehle Inqilab Soonch Mein Lana Hoga
Tab Hoga Yaqeen Paida Khud Aur Khuda Mein
Lehrai Gaa Parcham Haq Ka Phir Hawa Mein
                       **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER FORTYONE (41) 
MOHABBAT AUR WAFA
              BY JAVED ZAHEER
Gar Karte Hum Mohabbat Aur Wafa Sabh Se
Phairtay Na Moo Waqt Aur Zamana Hum Se
Yehi Andaz Hai Qudrat Ka Sabaq Dene Ke Liye
Hosh Mein Laanay Aur Saza Dene Ke Liye
Wo Shohrat Jisko Hum Izzat Samajte Rahay
Mili Khak Mein Jub Nikli Zamin Paon Talay
Aaj Hum Kia Hain Ye Humhi Jantay Hain
Suntay Hain Subki Na Bura Maantay Hain
Gar Samaj Lia Hota Tu Aaj Yun Na Rotay
Kar Ke Neki Aur Bhalai Kuch Gunah Dhotay
Karam Hai Uska Ki Sirf Bataya Hay Hamain
Zindagi Barbaad Kar Ke Na Rolaya Hai Hamain
Mauqa Dia Hai Tauba Karne Hosh Mein Aane Ka
Sub Se Wafa Karne Aur Wada Nibhanay Ka
Izzat Karne Se Hee Milti Hai Izzat Aur Shohrat
Isi Se Paida Hoti Hai Sub Se Sachi Mohabbat
Aaj Agar Hum Ye Samaj Lain Aur Jaan Lain
Dost Aur Dushman Ki Kar Khoob Pehchan Lain
Tu Phir Waqt Aur Zamana Hojai Hamare Saath
Dekhtay Hi Dekhtay Bunjayain Gi Sub Bigri Baat
Bus Itni Si Baat Ko Na Hum Samaj Pa Rahay Hain
Chor Dakoo Lootayroun Ko Bar Bar La Rahay Hain
Khud Bun Ke Bay Bus Na Kuch Kar Pa Rahay Hain
Bun Ke Bekhari Bachi Khuchi Izzat Loota Rahay Hain
Haan Bhool Gai Tum Se Jo Kal Kahi Gai Thi Baat
Isi Liye Tu Kha Rahay Ho Sub Se Laat Aur Maat
Yaad Rakho Ye Baat Tu Khuda Bhi Dega Saath:
“Ki Muhammad Se Wafa Tu Nay Tu Hum Tere Hain
Ye Jahan Cheez Hai Kia Loh-O-Qalam Tere Hain”
                     **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
         NUMBER FORTY (40) 
KHOTA RAJ AUR GHULAMI
                 BY JAVED ZAHEER
Na Hum Rehtay Sotay Na Raj Kartay Aaj Khotay
Gar Hosh Mein Rehtay Tu Na Do Tukray Hotay
Sambhala Na Mulk Ko Tu Phir Kiyun Hain Rotay
Hamari Waja Se Hi Aish Kar Rahe Sarey Khotay
Ab Bhi Waqt Hai Sambhalnay Hosh Mein Aanay Ka
Utha Ke Danda Maar Ke Khotoun Ko Bhaganay Ka
Nahi Kaam Banay Ga Sirf Aansoo Bahanay Se
Ye Masla Na Hal Hoga Moo Mornay Chupanay Se
Jaan Chotay Gi Sirf Hosh Aur Harkat Mein Aanay Se
Warna Rok Paaye Ga Na Koi Ghulami Mein Janay Se
                              **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER THIRTYNINE (39) 
NAZAR KA KAMAL
     BY JAVED ZAHEER
Yun Nazar Se Nazar Jub Milai Oos Ne
Ki Aankhon Se Dil Tak Rasai Oos Ne
Ghazab Ki Kashish Bala Ki Roshni Thi
Uski Nazar Mein Roohaniat Itni Thi
Dil Ko Roshan Shama Ki Tarha Kardiya
Mohabbat Aur Khuloos Se Dil Bhardiya 
Jub Dil Ke Ainey Mein Dekhi Tasveer Apni
Uski Nazar Se Badal Te Dekhi Taqdeer Apni
                  ***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
  NUMBER THIRTYEIGHT (38) 
UROOJ AUR ZAWAL
                   BY JAVED ZAHEER
Jub Urooj Hota Hai Tu Zawal Nazar Nahi Ata
Apne Siwa Dosroun Ka Kamal Nazar Nahi Ata
Khud Se Karte Mohabbat Auroun Ka Khayal Nahi Ata
Khud Parasti Mein Hai Tabahi Sarasar 
Is Baati Se Unko Sabaq Kiyun Nahi Ata
Karte Hain Hum Bhi Tum Se Pyar
Tum Ko Magar Aitbaar Kiyun Nahi Ata.
                      ***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
  NUMBER THIRTYSEVEN (37) 
           SACHAY DOST
               BY JAVED ZAHEER
Yun Tu Bohot Miltay Hain Waqt Guzarnay Waley
Kum Miltay Hain Magar Loug Samhalnay Waley
Hotay Hain Wo Qeemti Heeray Moti Se Bhi Ziada
Rakhtay Khayal Bohot Karte Hain Sacha Waada
Insan Ki Haisiyat Nahi Haqeeqat Ko Dekho
Insaniyat Dekhni Hai Tu Sharafat Ko Dekho
Jin Mein Hoti Sharafat Wo Shararat Nahi Kartay
Hotay Wohi Sachay Dost Jo Aik Dosray Pe Martay
Aisay Hi Saathi Aur Dost Talash Karo
Yunhi Har Airay Ghairay Pe Na Bharosa Karo.
                ***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER THIRTYSIX (36) 
 SHAITAN AUR MULLA
             BY JAVED ZAHEER
Ek Din Ghussey Mein Nazar Aya Shaitan
Bola Kiyun Karte Ho Mulla Ko Pareshan
Mulla Se Tu Hai Meri Pakki Dosti Yaari
Phailata Hai Jo Khoob Fitnoun Ki Bimari
Deta Hai Har Ek Baat Pe Faurun Fatwa
Anjaam Ki Hoti Nahi Koi Isko Parwa
Larana Aur Bhatkana Hai Iska Shewaa
Loot Ta Hai Logon Ko Khata Hai Mewa
Aurat Chahiye Isko Talaq Shuda Ya Bewa
Harap Kar Jata Hai Sub Samajh Kar Halwa
Jo Chahiye Karey Halal Jub Chahe Halala
Hujre Mein Jub Mil Jaye Karle Moo Kala
Dikhta Jo Allahwala Bari Cheez Hai Sala
Tasbeeh Hoti Haath Mein Jhabta Meri Mala
Allahwaloun Se Nahi Karta Mein Dushmani
Banta Wohi Mulla Jo Karta Money Money
Jub Dekho Maangta Rehta Hai Bus Paisa
Lagaya Mein Ne Isko Bura Chaska Aisa
Easy Money Ki Dali Lath Banaya Lazy
Mili Jub Aish Tu Bana Anal-Sex Crazy
Hota Hai Ye Bohot Ziada Ayyar Makkar
Isi Liye Tu Samajhta Hoon Isko Rishtedar
Allah Se Kia Mein Ne Jo Karne Ka Wada
Mulla Ne Dia Saath Is Kaam Mein Ziada
Ab Tu Mein Bay Fikar Sukoon Se Hoon
Mulla Ne Di Fursat Aaram Tu Kar Loon
                  ***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER THIRTYFIVE (35) 
AZAN AND QURAN
        BY JAVED ZAHEER
Poocha Kisi Ne Kia Kehta Hai Quran
Kaha Mein Ne Sun Lo Ghaur Se Azan
Samajh Aye Ga Ghaur Karne Se Paigham
Quran Ki Tarjumani Hai Is Mein Tamaam
Adam Se Muhammad  Ne Kia Yehi Kaam
Kaha  Allah Hu Akbar Lia Allah Ka Naam
Bola Sub Se Kaho Sirf La Ilaha Illallah
Nahi Ibadat Ke Laiq Koi Magar Sirf Allah
Kaha Allah Ne Wohi Hai Aik Aur Beniaz
Laiq Sajda Ke Wohi Karo Qaim Namaz 
Na Oos Ki Koi Na Wo Kisi Ki Aulad Hai
Nahi Koi Oos Se Bara Malik Wo Subka Hai
Allah Hi Rehman Allah Hi Raheem Hai
Allah Hi Sirf Malik-e-Yaumuddin Hai
Hum Usi Ke Bande Usi Se Maang Te Hain
Nahi Mohtaj Kisi Ka Hum Ye Jaante Hain
Ziada Tar Quran Mein Bataya Apna Kamal
Teeswain Parey Mein Dikhlaya Apna Jalal
Phir Bhi Ye Musalmaan Karte Nahi Khayal
Allah Se Dor Karta Hai Mulla Bicha Ke Jaal
Hoti Majal Logoun Ki Nahi Maante Quran
Baat Karte Allah Ki Dete Mulla Pe Jaan
Yun Huwe Dor Jub Quran Se Musalmaan
Allah Ko Ghussa Aya Dikhai Apni Shaan
Isi Liye Ro Raha Mar Raha Hai Musalmaan
Mulla Tu Chala Ta Rahey Gaa Apni Dukan
Hosh Mein Aao Bhat Ke Huwe Musalmaan
                  ***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER THIRTYFOUR (34) 
LOVE AND LUST
            BY JAVED ZAHEER
Kisi Ko Pyar Tu Kisi Ko Qarar Chahiye
Kisi Ko Dil Tu Kisi Ko Deedar Chahiye
Hojaye Deedar Tu Milta Hai Qarar
Miljayain Dil Tu Hota Hai Pyar
Jub Bhi Tum Kisi Se Pyar Karo
Sachey Dil Se Beshumar Karo
Rab Se Ya Sab Se Tum Karo Sirf Pyar
Bacho Is Lust Se Hai Karta Jo Bimar
Kehte Hain Ki Love Andha Hota Hai
Haqeeqat Mein Lust Andha Karta Hai
Love Izzat Aur Qadar Karata Hai
Lust Izzat Ki Dhajjiyan Urata Hai
Love Bandey Ko Insan Banata Hai
Lust Insan Ko Shaitan Banata Hai
Love Ka Darja Ibadat Ka Hota Hai
Lust Beej Burey Amal Ka Bota Hai
Sacha Love Hota Sirf Ek Nazar Mein
Nahi Ye Quwwat Maal Wo Zar Mein
Love Mein Lut Ta Nahi Milta Qarar Hai
Lust Mein Rehta Bechain Beqarar Hai
Ajab Fitrat Hai Hazrat-e-Insan Ki
Maangta Allah Se Sunta Shaitan Ki
Tamanna Karta Hai Love Ki
Harkatein Karta Hai Lust Ki
Adam Ko Di Hawwa Kia Dor Gandum Se
Love Thi Hawwa Tu Lust Tha Gandum Se
Hai Baat Samajh Ne Ki Love Aur Lust Ko
Love Ko Banao Dhaal Dor Rakho Lust Ko
                              **********    
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
   NUMBER THIRTYTHREE (33) 
KIRDAR AUR SAMAAJ
BY  JAVED ZAHEER
Jo Chahte Ho Izzat Tu Samjho Ye Baat
Milti Hai Izzat Bari Mushkil Ke Saath
Yun Hi Nahi Milti Samaaj Mein Izzat
Karna Parta Hai Iske Liye Kafi Mehnat
Banana Parta Hai Bohot Acha Kirdar
Batana Parta Ki Ho Nek Samajhdar
Dikhana Parta Hai Bun Ke Zimmedar
Mukhlis Bhi Imaandar Aur Wafadar
Asaan Nahi Banana Apni Pehchan
Waqt Leta Hai Bohot Sakht Imtihan
Aise Mein Hi K2aam Aata Acha Kirdar
Ya Achey Dost Yaar Aur Rishtadar
Na Ho Pareshan Himmat Se Kaam Lo
Hosh Mein Raho Aqal Se Kaam Lo
Sabit Qadam Raho Allah Ka Naam Lo
Khud Pe Eitamad Bharosa Karte Raho
Koshish Ko Rakho Jari Na Kabhi Daro
Kitna Bhi Ho Bura Waqt Guzar Jata Hai
Arey Acha Bura Waqt Tu Aata Jata Hai
Waqt Ki Ahmiyat Aur Qadar Ko Samjho
Waqt Ke Zariye Allah Aazmata Humko
Waqt Ko Nahi Bhool Te Kirdar Waley
Waqt Ne Barey Barey Buth Tor Daley
Samaaj Mein Kirdar Ka Bara Hai Asar
Isi Se Milti Izzat Aur Zillat Kis Qadar 
Jo Karta Hai Izzat Milti Usi Ko Izzat
Barabar Samajhta Karta Mohabbat
Karta Hifazat Huqooq Aur Azadi Ki
Bun Ke Taqat Aur Izzat Samaaj Ki 
Achey Kirdar Amal Samaaj Se Tum
Do Qaum Ko Izzat Aur Maqam Tum
                **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER THIRTYTWO (32) 
HAQ KI AWAZ BANO
       BYJAVEDZAHEER                                                                                     Na Na Ashiq Na Sufi Ya Shair Hoon Mein
Haq Ki Awaz Se Bus Inspire Hoon Mein
Kuch Samajhte Hain Sathya Pagal Mujhe
Kia Bataon Apne Dil Ki Hoi Halat Tujhe
Jis Dil Mein Ho Dard Wahan Hota Khuda
Sangdil Nahin Sun Pata Dukhi Dil Ki Sada
Dard Mahsoos Karna Allah Ki Nemat Hai
Dukhi Dil Se Khelna Burey Ki Fitrat Hai
Nai Zindagi Milti Hai Hamain Bar Bar
Waqt Maut Karte Nahi Kisi Ka Intizar
Jub Waqt Aata Tu Ruk Jaati Hai Saans
Zindagi Hoti Juda Maut Leti Hai Phans
Zindagi Maut Ka Khel Jub Shuru Hota
Koi Karta Hai Dua Tu Koi Rota Dhota
Zindagi Sehmi Sehmi Ghabrai Si Hoti
Maut Jub Darwaze Pe Aan Khari Hoti
Rooh Tayyar Hoti Hai Parwaz Ke Liye
Akhirat Ke Safar Kay Aghaz Ke Liye
Dhari Reh Jaati Hai Har Cheez Yahan
Jaatey Hain Sirf Hamare Amal Wahan
Hosh Mein Aao Ab Bhi Samajh Jao
Karo Mehsoos Dard Na Kisi Ko Satao
Dil Torna Nahi Dilon Ko Jorna Sikho
Toofanoun Kay Tum Rukh Morna Sikho
Aise Hi Amal Se Hogi Qabar Roshan
Zindagi Mein Bhi Nahi Koi Tension
Saath Do Logoun Ka Sachai Ke Liye
Na Karo Waqt Barbad Burai Ke Liye
Jo Nadan Hain Samjhao Pyar Se Unhain
Na Darao Dhamkao Talwar Se Unhain
Talwar Uthao Tu Sirf Haq Ke Liye
Warna Chune Jao Ge Duzakh Ke Liye
Bano Tum Haq Ki Awaz Ka Roop
Khidmat Karo Insaniat Ki Khoob
                **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER THIRTYONE (31)
HIDAYAT CHAHIYE
         BY JAVED ZAHEER
Na Maal Na Daulat Na Shohrat Chahiye
Mujh Ko Bus Allah Se Hidayat Chahiye
Is Se Ziada Qeemti Kia Hoga Khazana
Khush Naseeb Ko Hi Milta Ye Nazrana
Hoon Kitna Gunahgar Tu Jaanta Hai Rab
Nahi Tujh Se Poshida Mere Amal Sub
Phir Bhi Tu Karta Kitne Mujh Pe Karam
Malik Hai Tu Mera Karta Mujh Pe Rahem
Isi Liye Tu Kehta Hoon Allah Ho Akbar
De Humko Hidayat Aur Ek Acha Rehbar
Di Mujhe Himmat Khas Maqsad Ke Liye
Qaum Aur Insaniat Ki Khidmat Ke Liye
Karta Hoon Shukar Rabbul Aalamin Ka
Wo Jo Malik Aasmaan Aur Zameen Ka
Wo Jo Rahman Hai Aur Raheem Bhi Hai
Kahta Hai Malik-e-Yaumuddin Bhi Hai
Wohi Dekha Ta Hai Sirat-e-Mustaqeem
Madad Kar Hamari Ya Rabbul Kareem
Dikha Humko Rasta Sidha Bhalai Ka
Nek Logoun Ki Tarha Rasta Sachai Ka
Jin Pe Nazil Huwa Nahin Tera Ghazab
Na Huwe Gumrah Thay Nek Bande Sub
Hamein Bhi Tujh Se Hidayat Chahiye
Ya Rab Tauba Ki Qabooliat Chahiye
Nahi Insaf Ke Qabil Maafi Chahiye
Mil Jaye Hidayat Aur Kia Chahiye
                 **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
       NUMBER THIRTY (30) 
INSAN AUR KHUDA
        BY JAVED ZAHEER
Insaan Aur Khuda Ki Haqeeqat Kia Hai
Kabhi Tum Ne Gaur Kia Ya Samjha Hai
Who Kehte Hain Khuda Nazar Nahi Aata
Samajh Mein Unke Ye Majra Nahi Aata
Hone Ke Liye Nazar Aana Zaroori Nahi
Is Baat Ko Samjhna Koi Mushkil Nahi
Jism Zinda Hai Tu Rooh Ke Wajood Se
Kia Inkaar Kar Sakte Ho Is Saboot Se
Rooh Ko Aaj Tak Na Dekh Paya Koi
Koshishain Hoin Na Samajh Paya Koi
Isi Tarha Allah Ko Na Dekh Paya Koi
Wajood Hai Uska Kaise Jhutlai Koi
Wo Haqeeqat Hai Rooh Ek Misal Iski
Chala Raha Hai Puri Kainat Ko Wohi
Rooh Marti Nahi Aur Jism Faani Hai
Allah Ke Hone Ki Pakki Nishani Hai
Usi Ne Mitti Se Adam Ko Tha Banaya
Isi Mitti Mein Murda Jism Ko Milaya
Jism Ke Saath Tum Kuch Bhi Kar Lo
Kisi Na Kisi Surat Milta Mitti Se Wo
Chahe Ho Pak Naapak Raakh Khoorak
Milti Hai Aakhir Mein Jism Ko Khaak
Insan Ko Banaya Gaya Ek Maqsad Se
Ashraful Makhlookat Banaya Tab Se
Be Maqsad Zindagi Hoti Hai Bekaar
Aisa Insan Hota Zalil Aur Khuwar
Sachai Aur Achai Ko Maqsad Banao
Haq Ke Liye Tum Sub Kuch Kar Jao
Yehi Hain Insaniat Ibadat Ke Satoon
Isi Raah Pe Chal Ke Milta Sakoon
Yahin Se Mile Gi Qurbat Allah Ki
Meherbani Hogi Tum Pe Khuda Ki
Agar Takra Te Rahe Sar Pathar Se
Tu Nikal Jaye Gi Sari Aqal Sar Se
Chahe Ho KaabaYa Ho Hajr Aswad
Chahe Koi Mazar Ya Koi Masjid
Nahi Kar Sakte Hum In Ki Ibadat
Aisi Tu Hain Nishanian Mutaadid
Samjho Gaur Se Khuda Ki Wahdat
Isi Mein Chupi Hai Rooh-e-Ibadat
                **********      
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER TWENTYNINE (29)
SACHI IBADAT
      BY JAVED ZAHEER
Gar Karna Hai Tujhe Sachi Ibadat
Tu Badal Apni Soch Apni Aadat
Sirf Sajda Mein Nahi Hoti Ibadat
Khidmat-e-Khalq Bhi Hai Ibadat
Bimaroun Ki Ayadat Bhi Ibadat Hai
Dukh Sukh Baantna Bhi Ibadat Hai
Sach Ke Saath Jeena Bhi Hai Ibadat
Haq Ke Liye Marna Bhi Hai Ibadat
Samajh Gaye Tum Agar Sachai Ko
Dukhi Nahi Karo Ge Apne Bhai Ko
Insaniat Ki Hamesha Karo Ge Qadar
Yun Badle Gi Mohabbat Teri Nazar
Jub Quran Ko Samajhna Seekh Lo Ge
Sahi Mein Jeena Marna Seekh Lo Ge
Insaniat Aur Allah Se Karo Ge Pyar
Shaitan Na Kar Paaye Ga Koi Waar
Ye Baat Samhj Lo Achi Tarah Bhai
Ghaflat Se Hi Milti Hai Sub Ruswai
Hoti Isi Se Hai Barbadi Aur Tabahi
Allah Ne Ye Baat Hamein Samjhai
Na Karo Ghaflat Apni Ibadat Mein
Hai Nejat Sirf Sachi Ibadat Mein
Isi Se Milti Hai Rooh Ko Taskeen
Paida Hota Hai Allah Pe Yaqeen
Hain Ibadat Ki Beshumar Shaklain
Lazim Hai Sahi Ibadat Ko Samjhain
                   **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER TWENTYEIGHT (28)
SAMAJH QURAN KO
         BY JAVED ZAHEER
Na Samjha Quran Ko Jo Bhi Bechara
Ghalat Soch Ne Kia Oos Ko Naakara
Paigham Is Mein Sirf Insaniat Ka Hai
Allah Ke Ghazab Wahdaniat Ka Hai
Karo Mohabbat Sub Se Choro Burai
Quran Kehta Hum Sub Hain Bhai Bhai
Mazhab Ko Khilona Banaya Hum Ne
Khud Apna Mazaq Urwaya Hum Ne
Aaj Hum Pe Ayeen Jitni Burai Tabahi
Hum Hi Zimmedar Hain Is Ke Bhai
Insaniat Ko Hum Ne Jub Bhi Hai Chora
Allah Aur Dunya Ne Hum Se Moo Mora
Allah Ne Pehle Hum Ko Insan Banaya
Phir Islam Ke Zariye Musalman Banaya
Sacha Insan Hi Hota Acha Musalman
Na Ho Insaniat Tu Banta Hai Haiwan
Achi Niat Se Amal Ache Hotey Hain
Buri Soch Se Sub Ghalat Hotey Hain
Rahe Muslim Kum Munafiq Ziada Hain
Kehlatey Musalman Shaitan Ziada Hain
Gar Karna Hai Rab Aur Sab Ko Razi
Quran Ko Samajh Ke Jeet Le Baazi
Achey Amal Se Hi Apni Pehchan Kar
Zikar Allah Ka Fikar Insaniat Ki Kar
                  **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER TWENTYSEVEN (27):
   Hai Bechara Mard
 Sehta Hai Kitne Dard   
          BY JAVED ZAHEER                        
Jub Se Tera Husn Ubhar Nikhar Dekha
Tab Se Mujhe Sub Ne Beqarar Dekha
Doob Gaya Jheel Si Aankhon Mein Uski
Dhati Thi Kia Ghazab Muskurahat Jiski
Uski Har Ada Ne Mujhko Diwana Kia
Looti Neend Phir Na Kabhi Sonay Dia
Chen Tu Gunwaya Saath Qarar Bhi Gaya
Na Raha Kisi Kaam Ka Pagal Bun Gaya
Cheen Liya Is Tarha Mujh Se Mujhko
Taras Aya Na Meri Jaan Zara Bhi Tujhko
Shama Ki Tarha Jalti Aur Jalati Mujhko
Ab Tu Jalne Mein Hi Maza Ata Mujhko
Itna Honay Se Tujh Pe Hota Kiyun Asar
Chaha Mai Ne Tha Tu Thi Bay Khabar
Jalne Ka Tarap Ne Ka Apna Maza Hai
Majnu Farhad Ne Bhi Isko Chakha Hai
Har Ek Mein Ek Shakhs Chupa Hota Hai
Koi Mir Koi Ghalib Koi Iqbal Bunta Hai
Samajhne Ke Liye Inko Nazar Chahiye
Diwano Ko Husn Pe Ek Nazar Chahiye
                   **********

JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
        NUMBER TWENTYSIX (26)
      I AM SORRY
          BY JAVED ZAHEER
Ghabrao Na Kabhi Kehne Se I’m Sorry
Sharmao Na Kabhi Kehne Se I’m Sorry
Chote Bareya Sub Se Kaho I’m Sorry
Izzat Nahi Ghat Ti Kehne Se I’m Sorry
Na Karo Kaam Aise Jo Kehna Pare Sorry
Inse Bachne Se Nahi Hoti Kabhi Worry
Buzdil Ko Hoti Nahi Kabhi Nadamat
Murda Zamir Inke Hote Hain Budbakht
Bahadur Hi Karta Hai Sorry Ki Himmat
Jub Ehsas Dilati Usay Uski Sharafat
Jis Ne Na Ki Sorry Aafat Ki Pari Maar
Mili Pareshani Huwa Zalil Khuwar
Isi Liye Kehte Hain Sabhi Samajhdar
Kehna Pare Tu Kaho Sorry Baar Baar
Makkar Ki Sorry Se Hamain Allah Bachai
Keh Ke Sorry Samne Phir Deta Daga Hai
Aaj Dunya Mein Kiyun Zalil Huwe Hum
Parey Burai Mein Apnou Pe Kiye Zulum
Sorry Baat Dor Ki Na Aankh Huwi Num
Phir Kiyun  Kare Allah Tum Pe Karam
Dete Ho Dhoka Usko Aati Nahi Sharam
Karo Sorry Dil Se Tab Miley Ga Raham 
                      **********

JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER TWENTYFIVE (25):
ALWAYS PROMOTE
             LOVE
       BY JAVED ZAHEER
Koi Kitna Bhi Kahe I Hate You
Tum Hamesha Kaho I Love You
I Love You  Se Dil Milte Hain
Love  Se Hi Dard Mit Te Hain
I Hate You  Se Gham Milta Hai
Hate Se Sirf Zakham Milta Hai
Mohabbat Mein Hate Nahi Hoti
Nafrat Se Sirf Dunya Dukhi Hoti
Karo Love Hate Mita Ne Ke Liye
Haters Ko Apna Bana Ne Ke Liye
De Kar Dard Na Milta Sukoon Kabhi
Love Karne Se Hote Khoosh Sabhi
Insaniat Mazhab Yehi Bataa Ta Hai
Love Se Nikalta Hate Ka Janaza Hai
Milata Love Mahbub Aur Khuda Se
Karwata Yehi Izzat Sarey Jahan Se
Nabi Se Wafa Love Se Hi Hoti Hai
Phir Tu  Kul Kainaat Teri Hoti Hai
Andaza Nahi Love Ki Taqat Ka Jisko
Milti Hai Jahan Mein Ruswai Usko
Gar Pani Hai Sub Se Izzat Tum Ko 
Bachao Hate Ki Bimari Se Khud Ko
Batao Har Banda Bashar Ko Ye Baat
Jeena Hai Tu Jiyo Love Ke Saath
               **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER TWENTYFOUR (24)
HUWE KUB WO
      HAMARE
    BY JAVED ZAHEER
Jo Kehte Thay Tumhare Hain
Huwe Kub Wo Hamare Hain
Muskurahat Pe Unki Na Jao
Dil Chir Ke Inko Na Dikhao
Dete Ye Dhoka Bewafa Hain
Achey Kum Milte Yahan Hain
Kia Jis Se Pyar Khunkhar Nikla
Zeher Se Bujhi Talwar Nikla
Pehle Tu Pyar Khud Se Kar
Hai Kisi Ko Kahan Teri Fikr
Oos Gali Raste Se Na Guzar
Parti Jahan Tujh Pe Buri Nazar
Pyaroun Ki Kar Khoob Qadar
Yehi Saath Denge Kis Qadar
Mushkil Se Milta Hai Sacha Pyar
Lakhon Mein Hote Hain Do Char
Phir Te Hain Marey Bohot Bekar
Bana Sakte Nahi Inko Apna Yaar
Agar Qurbat Ki Talab Hai Tujhko
Magnet Se Lohey Ki Tarha Chipko
               **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER TWENTY THREE (23)
KHUD SE JIHAD KAR
          BY JAVED ZAHEER
Khud Se Jihad Kar Na Barpa Fasad Kar
Ghusse Ko Pee Jaa Sirf Sahi Baat Kar
Samajh Khoob Se Ayyari Makkari Ko
Mukammal Rakh Hamesha Tayyari Ko
60 Saal Tak Dekhe Dunya Ke Jo Halaat
Kia Kia Nazare Dekhe Kia Kia Kamalaat
Dete Hain Dhoka Insaniat Ki Karke Baat
Matlab Ke Liye Kehte Din Ko Bhi Raat
Bohot Mushkil Se Bachaya Inse Khud Ko
Allah Na Karta Madad Tu Khajate Mujho
Nazar Tum Zindagi Ke Maqsad Pe Rakho
Aur Phir Maza Asal Kamyabi Ka Chakho
Mushkilain Aingi Darain Gi Tumko
Har Tarha Se Ye Aazmain Gi Tumko
Rulaingi Sataingi Behkain Gi Tumko
Darey Tu Qabristan Pochain Gi Tumko
Sub Burai Achai Nazar Aye Gi Tumko
Har Sachai Burai Nazar Aye Gi Tumko
Bura Waqt Apne Tewar Dikhai Ga Tumko
Dunya Hai Kitni Zalim Batai Ga Tumko
Aise Mein Bohot Himmat Hosla Chahiye
Guzar Jaye Gaa Ye Waqt Na Ghabraiye
Daman Tum Shukar Sabar Ka Na Chorna
Allah Quran Rasool Se Rishta Na Torna
Hojao Ge Jub Tum Muttaqi Aur Momin
Badlain Ge Sub Burey Naseeb Aur Din
Dunya Mein Dher Sari Izzat Miley Gi
Is Hi Tarha Tumhain Jannat Miley Gi
                ***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER TWENTYTWO (22)
KAR ACHEY KAAM
       BY JAVED ZAHEER
Khuda Ko Khudi Hai Bohot Pasand
Rakhna Hamesha Hai Is Ko Buland
Neki Ki Taraf Manind Barq Tu Lapak
Bijli Ki Tarha Har Taraf Tu Chamak
Insan Ne Insan Ko Na Samjha Kabhi
Insaniat Ki Khoob Dhajjian Urata Tabhi
Dhongi Ne Bunke Molvi Masjid Banali
Masoom Musalman Se Manzil Churali
Koi Pir Koi Faqir Koi Bana Mujawir
Hote Hain Ye Sub Makkar Aur Shatir
Dete Hain Ye Dhoka Sub Logoun Ko
Nazar Aate Jo Nek Hum Logoun Ko
Musalman Ne Quran Se Jo Nata Tora
Khuda Se Huwa Dor Mulla Se Nata Jora
Allah Ne Bhi Phir Ghusse Se Moo Mora
Isi Liye Sari Dunya Ne Aaj Zulum Tora
Haal Dekh Ke Inka Ab Lagta Mujhe Dar
Jahannum Ko Banate Hain Jo Apna Ghar
Itne Gumrah Ruswa Barbad Huwe Hum
Dunya Bani Dushman Dost Rahe Kum
Gar Mazhabe Islam Allah Ka Na Hota
Tu Mein Shartia Musalmaan Na Hota
Hum Hi Ne Tu Kya Islam Ko Badnam
Isi Liye Sub Kar Rahe Zalil Sarey Aam
Jeena Hai Izzat Se Tu Kar Achey Kaam
Jor Rishta Allah Se Le Bus Isi Ka Naam
             *************** 
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER TWENTY ONE (21)
AURAT MAMTA KE
       ROOP MEIN
              BY JAVED ZAHEER
Aurat Ki Azmat Ko Jub Tum Samajh Jao Ge
Qadar Karo Ge Uski Na Usko Satao Ge
Shaitan Bhi Aurat Ki Azmat Ko Manta Hai
Paighambaroun Ki Bani Maa Ye Jaanta Hai
Maa Bun Ke Deti Khoob Pyar Aur Dua
Shareek Bun Ke Batati Ki Kia Hai Wafa 
Beti Ke Roop Mein Karti Hai Ghar Roshan
Is Ki Khusboo Se Khoob Mehke Chaman
Naa Ki Zalim Dunya Ne Aurat Ki Koi Qadar
Banaya Bazar Ki Zeenat Rulaya Kis Qadar
Kabhi Ki Zabardasti Tu Kabhi Kiya Jabar
Aurat Hi Rahi Aurat Ki Dushman Magar
Shareef Izzat Deke Lete Hain Loot Te Nahi
Shareer Izzat Loot Te Hain Pooch Te Nahi
Yehi Tu Hai Farq Insan Aur Haiwan Mein
Hoti Nahi Sharafat Kabhi Baimaan Mein
Aurat Ko Izzat Aur Mohabbat  Chahiye
Doobte Ko Sahara Aur Kinara Chahiye
                     ***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
             NUMBER TWENTY (20)
ILM AISA KHAZANA
             BY JAVED ZAHEER
Bharhta Jo Baant Ne Se Ilm Aisa Khazana Hai
Karta Roshan Aqal Ko Samajh Ne Ye Jana Hai
Rahai Jahalat Wo Darindagi Se Dilata Hai
Allah Ye Baat Kitaboun Mein Batata Hai
Ilm Hi Ki Badoulat Insan Allah Ko Paata Hai
Jo Raha Ghafil Haqeeqat Se Bhatak Jaata Hai
Na Ho Ilm Dost Tu Aqal Bunti Hai Dushman
Banati Hai Khoob Bura Karti Bohot Budzun
Ye Jaan Lo Maan Lo Haqeeqat Pehchan Lo
Allah Quran Rasool Ko Ilm Se Pehchan  Lo
                     ***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER NINETEEN (19)
ADA KA ASAR
             BY JAVED ZAHEER
Gar Husn Diwana Tu Jawani Mast Karti Hai
In Se Ziada Magar Ek Ada Asar Karti Hai
Dekhati Sub Ko Apne Jalwey Ka Jadu
Banati Ashiqoun Ko Laila Aur Majnu
Jub Kisi Ko Kisi Ki Ada Bhaati Hai
Har Cheez Uski Achi Nazar Aati Hai
Fana Karte Hain Ashiq Khud Ko Iske Liye
Badshah Bunjate Hain Faqir Jis Ke Liye
Luta Dete Hain Ashiq Sub Kuch Apna
Dekhte Rehte Bus Subh Sham Ek Hi Sapna
                ***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
        NUMBER EIGHTEEN (18)
WAQT KA SABAQ
           BY JAVED ZAHEER
Waqt Ne Hamain Bohot Kuch Sikhaya Hai
Achey Buray Logoun Ka Farq Bataya Hai
Jo Dikhte Thay Insan Khabis Shaitan Nikle
Jo Lagte Thay Meherban Baimaan Nikle
Qadar Karo Sache Dost Aur Pyaroun Ki
Parwa Na Karo Zalim Rishte Daroun Ki
Khud Pe Aur Khuda Pe Bharosa Rakhna
Yehi Tumhari Taqat Hai Yaad Rakhna
Waqt Aaney Pe Isey Aazmaya Hai Mainey
Kasam Se Khoob Maza Paya Hai Mainey
Jo Takabbur Ke Nashe Mein Doobe Thay
Barbad Huwe Unke Sub Mansubey Thay
Samajhte Thay Jo Khud Ko Khuda Kabhi
Aaj Pareshan Haal Nazar Aate Hain Sabhi
Tarkeeb Jahannum Se Bachne Ki Karte Hain
Khuda Aur Maut Se Magar Nahi Darte Hain
Koshish Sirf Jahannum Se Bacha Sakti Hai
Khuda Aur Maut Se Nahi Bacha Sakti Hai
Gar Chaho Khuda Ke Ghazab Se Bachna
Tu Shaitan  Shar Aur Burai Se Bachna
Bohot Mushkil Hai Ye Kaam Asaan Nahi
Sachi Koshish Waley Hote Nakaam Nahi
Khush Naseeb Hi Ko Milta Hai Sacha Pyar
Sacha Pyar Jo Karta Aik Dosre Ko Beqarar
Samajh Lo Jub Tumko Hojai Allah Se Pyar
Na Maut Ka Hoga Dar Na Hogi DunyaYaar
Pyar Hamesha Tum Sache Dil Se Karo
Lazzat Ke Liye Nahin Izzat Ke Liye Karo
Sirf Jism Milne Se Dil Milte Nahi Kabhi
Jub Milti Roohain Milte Hain Dil Tabhi
Dunya Mein Aye Ho Pyar Phailane Ke Liye
Sub Ki Madad Aur Kaam Aaney Ke Liye
Na Karo Barbad Khud Ko Zamane Ke Liye
Karo Kuch Tu Sirf Rab Ko Paane Ke Liye
                ***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
          NUMBER SEVENTEEN (17)
ACHEY KAAM KAR
           BY JAVED ZAHEER
Kaam Acha Kabhi Rukna Na Chahiye
Dil Kisi Ka Kabhi Dukhna Na Chahiye
Kaam Achey Kar Aur Beshomar Kar
Naam Se Apney Jag Ko Beqarar Kar
Dil Mein Yun Samao Ki Dharkan Bunjao
Yaaden Aisi Dejao Ki Amar Kehlao
Roshan Yun Raho Jaise Shams-o-Qamar
Marne Ke Baad Rahe Roshan Teri Qabar
Ye Naam Ye Maqam Yun Hi Nahi Milta
Sachai Mohabbat Ibadat Se Hai Milta
Chaman Mein Har Phool Gulab Nahi Hota
Insaniat Jis Mein Ho Wo Kharab Nahi Hota
Fasadi Ka Hai Kaam Dehshat Gardi Karana
Jihadi Dikhata Inko Jahannum Ka Thikana
Sach Ke Liye Larta Qurban Hota Hai Jihadi
Jhoot Aur Makar Se Burai Phailata Fasadi
Farq Jaan Lo Jihadi Aur Fasadi Mein Hai Kia
Aik Bana Insan Tu Dujha Haiwan Bun Gaya
                      **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
          NUMBER SIXTEEN (16)
KIA POOCHTE HO
           BY JAVED ZAHEER
Hum Se Hamari Zaat Auqat Poochte Ho
Kia Bataon Hum Se Kia Baat Poochte Ho
Sar Hum Kata Te Hain Jhukate Nahi Kabhi
Zalim Ye Majra Samajh Paate Nahi Kabhi
Sar Jhukta Hai Tu Sirf Ek Allah Ke Agey
Sar Uthta Hai Tu Zalim Dar Ke Bhagey
Na Zulum Sehte Na Zulum Hota Tum Pe
Zalim Kabhi Bhi Haawi Hota Na Tum Pe
Samajh Lo Ye Baat Ab Bhi Ganimat Hai
Warna Sar Pe Tumhare Khari Musibat Hai
                      **********
 
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
         NUMBER FIFTEEN (15)
    AMERICA KI DOSTI
             BY JAVED ZAHEER
America Na Dost Na Khuda Hai Hamara
Jis Ne Kia Bharosa Woh Hi Gaya Mara
Kaam Dara Ke Dhamka Ke Nikalwata Hai
Samajhta Hai Woh Ki Sub Ka Andata Hai
Kal Ke Dost Uske Aaj Dehshat Gard Huwe
Amriki Hukmaran Bhi Kabhi Kisi Ke Huwe
Wahan Ke Loug Tu Saada Aur Achey Hain
Bohot Mohabbat Karte  Aur Sache Hain
Hamein Chahiye Buroun Se Bach Ke Rehna
Kiyun Maante Ho Unki Sub Baat Aur Kehna
Qaum Ko Chund Loug Hi Dagha Dete Hain
Loot Te Aur Ghulam Bana Dete Hain
Jub Talak Rahey Gi Inki Ayyari Makkari
Mulk Aur Qaum Pe Rahe Gaa Waqt Bhari
Jub Tum Chaho Ge Tub Halaat Badlein Ge
Warna Ghaddar Yun Hi Qabiz Rahain Ge
Dost Dushman Ki Sahi Pehchaan Seeko
Tor Do Gulami Ki Sub Zanjeeroun Ko
Qadar Karo Apne Watan Apni Azadi Ki
Nahi Tu Tayyari Kar Lo Apni Barbadi Ki
Yehi Haqiqat Aur Anjaam Hoga Hamara
Dhoond Te Rahe Gar Dosroun Ka Sahara
Watan Hai Hamara Hum Ko Bohot Pyara
Barho Aage Aur Badal Do Waqt Ka Dhara
                           **********                                
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
     NUMBER FOURTEEN (14)
HOSH MEIN AAO
        BY JAVED ZAHEER
Koi Peeta Hai Sharab Tu Koi Lahoo
Donoun Se Aati Hai Burai Ki Boo
Aik Se Khood Dujhe Se Qaum Tabah
Kaise Kahe In Ke Liye Koi Marhaba
Mein Peeta Hoon Keh Ke Iqrar Tu Kia
Ayat Parh Ke Dhoka Dia Tu Kufur Kia
Kisi Ki Bhi Zaat Pe Keechar Na Uchalo
Hosh Mein Aao Apne Aap Ko Samhalo
Qaumain Banti Hain Achey Kardar Se
Ummeed Na Rakh Achi Kisi Ghaddar Se
Ghaflat Se Tu Hota Hai Bara Nukhsan
Dushman Ko Mil Jata Hai Khula Maidan
Gar Mulk Bachana Hai Tu Hosh Mein Aao
Haqeeqat Se Lo Sabaq Aur Josh Mein Aao
Karne Se Sub Hoga Sirf Kehne Se Nahi
Kis Ka Hai Intizar Na Aye Gi Ab Wahi
                         **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
        NUMBER THIRTEEN (13)
MAQSAD SE ISHQ
           BY JAVED ZAHEER
Maindak Ki Tarha Tar Tar Hum Nahi Karte
Shaair Ho Ne Ka Kabhi Dum Nahi Bharte
Kaam Ka Junoon Aur Maqsad Se Ishq Hai
Ye Allah Ki Meherbani Aur Bakshish Hai
Na Khali Do Haath Aik Dosre Ka Saath Do
Jo Pukare Madad Ko Tum Usko Saath Lo
Aik Adam Ki Hain Aulad Larai Kis Baat Ki
Ibrahim Ko Apna Maante Hain Hum Sub Hi
Nafrat Ka Beej Boya Hai Laanti Shaitan Ne
Kia Begara Hai Tumhara Hum  Musalman Ne
Maarte Ho Kaat Te Ho Barbad Karte Ho
Phir Besharmi Se Insaniat Ka Dum Bharte Ho
Ye Kiyun Itna Zulm Aur Sitam Karte Ho
Maaf Karta Nahi Allah Kabhi Zalim Ko
Sudhar Jao Tauba Karlo Ab Bhi Waqt Hai
Warna Tu Allah Ki Pakar Bohot Sakht Hai
Firoun Namrood Na Sikandar Bacha Hai
Allah Ke Samne Sir Sub Ka Jhuka Hai
Islam Dehshat Gardi Hai Ye Kehte Ho Tum
Samajh Te Bhi Ho Ki Kia Kehte Ho Tum
Itne Nadan Tu Nahin Jo Jaante Nahi Tum
Kis Bebaki Se Allah Ko Bura Kehte Ho Tum
                       **********

JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
          NUMBER TWELVE (12)
APNI PEHCHAAN KAR
            BY JAVED ZAHEER
Dunya Mein Pehchan Apni Insaniat Se Bana
Diloun Mein Jaga Sachi Mohabbat Se Bana
Hai Dil Ka Dukhana Sub Se Bara Gunaa
Isi Liye Tu Allah Ne Kia Hamein Manaa
Darja Bara Insaniat Ka Firouniat Ka Nahi
Kharabi Ki Lisaniat Ne Qaumiat Ne Nahi
Burai Ko Hum Apni Achai Samajh Baithay
Isi Liye Tu Gunaa Barey Sub Kar Baithay
Bhulaya Rab Ko Dunya Paane Ke Liye
Barbad Kia Khood Ko Zamane Ke Liye
Kia Samajhte Ho Aqalmand Insan Ho Tum
Pataa Bhi Hai Kitne Barey Nadan Ho Tum
Karte Ho Ghaltian Khood Aur Khuda Se Gila
Dete Ho Apney Rab Ko Khoob Achaa Sila
Jeena Hai Gar Tujh Ko Yahan Sukoon Se
Tu Jor Le Rishta Sirf Sachai Aur Rab Se
Isi Mein Hai Izzat Aur Najaat Bhi Teri
Arey Maan Liya Kar Kabhi Baat Bhi Meri
Kehte Hain Sub Kar Bhalai Sunta Nahi Koi
Isi Liye Tu Acha Insan Bunta Nahi Koi
Samajh Apne Aap Ko Tu Rab Mil Jaye Gaa
Jo Kuch Bhi Lutaya Tha Sub Mil Jaye Gaa
Na Mili Manzil Jub Thi Shaitan Ki Sohbat
Mila Sub Kuch Jub Mili Rehman Ki Qurbat
Imaan Hi Hai Sache Musalman Ki Taqat
                      **********

JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
           NUMBER ELEVEN (11)
MUSALMAAN KI HALAT
                 BY JAVED ZAHEER
Maan Ne Walon Ko Pathar Dewta Nazar Ata Hai
Phir Kiyun Na Musalman Ko Allah Mil Paata Hai
Haan Ye Imaan Ki Kamzoori Ki Wajah Se Hi Hai
Shaitan Se Yaari Aur Makkari Ki Wajah Se Hi Hai
Aaj Jo Hamein Subh Sham Parh Rahi Hai Maar
Maan Lo Hum Sub Hi Hain Is Ke Zimmedar
Kia Mujh Se Poochte Ho Kia Bataon Tum Ko Baat
Mana Khuda Ko Aik Par Maani Naa Oos ki Baat
Gawanya Sub Aish Mein Is Liye Mili Khairaat
Ghussa Aur Jazbaat Mein Aqal Se Dhoye Haath
Dushman Ko Maarne Ka Mauqa Khood Dete Hain
Hum Apni Qabar Afsos Khood Khod Lete Hain
Samajh Mein Aajati Agar Allah Rasool Ki Baat
Dunya Mein Hote Khuwar Na Parti Hamein Laat
Ab Bhi Waqt Hai Samhal Ja Samajh Ja Musalman
Bachai Gaa Museebat Mein Sirf Allah Aur Quran
Dushman Ko Na Samajh Dost Who Tu Hai Baiman
Dikhta Hai Who Shareef Haqeeqat Mein Hai Shaitan 
                             **********

JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
            NUMBER TEN (10)
FIKR AAMAAL KI KARO
             BY JAVED ZAHEER
Fikr Tum Apni Qabar Aur Aamaal Ki Karo
Na Sirf Sood Haram Aur Halal Se Daro
Dunya Ko Batao Ke Tum Cheez Kia Ho
Insaniyat Ke Kaam Se Nahi Tum Juda Ho
Amal Se Hastiyun Ne Kiye Musalman Kitne
Mulla Ne Tu  Diye Sirf Fatwey Aur Fitney
Nazar Aisi Ki Chand Nazar Aata Nahin Inko
Samajhte Hain Sub Nazar Aata Hai Jinko
Dekho Tu Nigahe Mard Momin Se Dekho
Wohi Badal Deti Hain Taqdeeroun Ko
Rehem Se Nikley Be Rehem Dunya Aye
Yahan Insan Kum Shaitaan Ziada Paye
Lage Hain Ziada Tar Loot Mar Mein Loug
Afsos Musalmoun Ko Bhi Laga Ye Roug
Kehte Hain Allah Rasool Se Ki Hum Tere Hain
Lagate Magar Shaitaan Ke Ird Gird Phere Hain
Zara Hosh Mein Aaa Aisi Koi Baat Naa Kar
Lougoun Se Kar Mohabbat Sirf Allah Se Dar
                            **********
 JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
                  NUMBER NINE (9)
BANA LE PIYA
          BY JAVED ZAHEER
Ghazab kia tu ne jo samajh ke na diya
Allah ki meherbani ko oos ki nishani ko
Pooche gaa jub Khuda ki tu ne kia kya
Roz mehshar kia moo dekhai gaa Rab ko
Waqt nikal tauba karne dil lagane ke liye
Razi kar kay bana le oos ko apna  piya
            **********

JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
           NUMBER EIGHT (8)
REH NAA BE KHABAR
                   BY JAVED ZAHEER
Dunya Ko Galey Laga Liya Ab Rab Ko Dekh Laga Kar
Gar Nahi Ki Hai Tayyari Tu Reh Naa Be Khabar
Allah Tu Tere Pas Hai Kya Dekhta Idhar Udhar
Sub Chor Jain Ge Tujhe Jub Godh Le Gi Qabar
Yehi Hai Haqiqat Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
                         **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
                       NUMBER SEVEN (7)
            KOSHISH
                BY JAVED ZAHEER
Yun hi dil karta hai tu lafz sher bun jaate hain
Warna hamein kahan kehna sher aate hain
Hum tu bus aisay hi likhte jaate hain
Kisi ko hansa te tu kisi ko rulate hain
Koshish yehi rehti ki sub aik rahain.
Isi maqsad ke liye hum khojate hain
            **********

JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
              NUMBER SIX (6)
SAMAJHNE KI BAAT
               BY JAVED ZAHEER
Molvi Mulla Ke Samajh Aye Gi Na Baat Meri
Halwe Mande Mein Guzarti Hai Din Raat Teri
Dekhne Mein Tu Bohot Ibadat Guzar Lagte Hain
Magar Logoun Mein Beej Nafrat Ke Bote Hain
Kaho Kia Allah Ke Nek Bandey Aise Hote Hain
Who Tu Allah Ki Yaad Mein Khoye Rehte Hain
Khidmat-e-Khalq Se Allah Ko Razi Karte Hain
Ye Koi Matlab Se Nahi Aik Maqsad Se Karte Hain
Kiyun Ki Who Sache Hain Aur Allah Se Darte Hain
Isi Liye Hum Sub Loug Unse Mohabbat Karte Hain
Haan Mullawale Bhi Allahwale Ho Sakte Hain
Sirf Sachi Tauba Se Apne Gunah Dho Sakte Hain
                             **********

JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
                NUMBER FIVE (5)
FAUJ KA FARZ
               BY JAVED ZAHEER
Tha Kabhi Shauq Mujhe Fauj Mein Jaane Ka
Chalti Hoi Golion Ko Seena Dekha Ne Ka
1971 Ka Tha Sunn Jub Ujar Gaya Chaman
Toot Ke Do Hissey Huye Lut Gaya Watan
Sabaq Sikha Na Koi Tarikh Aur Halaat Se
Barbad Kar Diya Sub Kuch Apne Haath Se
Bohot Na Shukrey Sabit Huwe Bande Hum
Lage Loot Mar Mein Khazana Kiya Khatam
Mardood Khel Rahe Hain Khoon Ki Holi
Mazloom Ko Mili Bhook, Maut Aur Goli
Kub Tab Chale Gi Aise Hi Dehshat Gardi
Kya Kar Rahi Hai Fauj Pehen Kar Wardi
Kya Inko Nazar Aata Nahi Khoon Kharaba
Bachana Qaum Ko Hi Farz Inka Hai Baba
Agar Ye Sote Rahe Tu Marti Rahe Gi Qaum
Na Rahe Gi Azadi, Na Wardi Na Ye Qaum
                      **********
 JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
            NUMBER FOUR (4)
ALLAH KA JALWA
            BY JAVED ZAHEER
Mein kuch nahi tha aur bunta chala gaya
Chund moti se haar boonta chala gaya
Roshni di ilm ne tu rang bhare qalam ne
Khuda ki meherbani se sambhalta chala gaya
Shohrat di oos ne tu izzat bhi saath mein
Kaise is nacheez ko koi cheez bana gaya
Ab hoga na gham judai ka marne ki fikr se
Allah ne mujhko jalwa kuch aisa dekha diya
                        **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
            NUMBER THREE (3)
SIRF ALLAH SE DARO
              BY JAVED ZAHEER
 Ho Khuda Dil Mein Jub Tu Asl Sajda Hota Hai
Yun Sir Jhukane Se Sirf Waqt Ka Ziyan Hota Hai
Oos Ki Qurbat Ke Liye Kafi Nahi Mohabbat Karna
Is Ke Liye Zaroori Hai Insan Ko Allah Se Darna 
Mohabbat Karo Sub Se Ishq Khuda Se Karo
Zalim Ke Zulum Se Nahi Sirf Allah Se Daro
Oos Ko Paane Ke Liye Sach Ko Paana Hoga
Mut Bhool Ki Wapas Bhi Tujhe Jaana Hoga
                            **********

JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
            NUMBER TWO (2)
ISHQ AUR MOHABBAT
                BY JAVED ZAHEER
Koi hamein batlai ishq aur mohabbat kya hai
Ye kaam tu hum ne nahi kabhi kya hai
Samajhti rahi ki oos ne deewana kya hai
Kash oosey pata hojai ki wafa kya hai
Hamein tu aseer kya tha oos ki zulf ne
Warna ghuroor ke ilawa oos mein aisa kya hai
Kia buth bani parashtish karwane ke liye
Agar nahi tu phir ye sub majra kya hai
                         **********

JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
            NUMBER ONE (1)
PHOOLTI PHALTI RAHO
BY JAVED ZAHEER
(In praise of my niece Dr Savera Ali)
Kia Ali, Ali, Ali, Ali ki tasbeeh mein busy ho
Woh tumhara mizaji khuda hai khoosh raho lagi raho
Tumhari muskurahat aur Ali se mohabbat qaim daim rahe
Tum jahan bhi raho phoolti phalti raho
Nazar na lage kisi dushman ya hasid ki
Inse bohot hoshiar aur ba khabar raho
                      **********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
            SPECIAL NUMBER 
(A SLAP ON HUMANITY)
    INSAN AUR HAIWAN
                   BY JAVED ZAHEER
Ye Kis Zalim Ne Iske Moo Pe Mara hai
Kia Is Masoom Ne Kisi Ka Begara Hai
Ye Tu Abhi Kali Nazuk Si Pyari Si Hai
Kis Darindey Ne Ghussa Apna Utara Hai
Lalkara Kis Bedardi Se Insaniyat Ko Hai
Rokna Har Qeemat Pe Haiwaniat Ko Hai
                       **********
           SPECIAL PRAYERS
                   BY JAVED ZAHEER
 “The Almighty, please, please, please accept
 my prayers, help, support, protect and guide
 me, my people and my community.Yes indeed,
  we are suffering because of wrong approach
  and bad deeds. Give senses and understanding
  to our parents, elders and leaders so that they
  become really good and responsible, learn to
  live and work together, love and care for each
  other, make us good and give us better life,
  education and bright future. Oh God, please
  have mercy on us. Shower blessings on us.”
  Voice Of The Community---Javed Zaheer  
                     **********
Visit www.javedzaheernews.blogspot.ca for more exclusive articles
JAVED ZAHEER, FREEEXPRESSION AWARD WINNER
JZ’S PROFILE:  Declared by Judges as one of 75 Finalist Best Canadian Immigrants, an Honour for the Pakistani Community. Joined Journalism Profession in 1974 (Daily `SUN’, Karachi) and still serving as a professional journalist (2014). Javed Zaheer, Free Expression Award Winner (Awarded by National Ethnic Press & Media Council of Canada—NEPMCC. Award presented by Lieutenant-Governor of Ontario, Canada), Desi Idol Recognition Award Winner (Presented by North American Desi Idol), Member/Honorary Director of NEPMCC, Veteran Active Member (VAM) of Toronto Press Club, Ex-Member of The National Club and The Ontario Club, Honorary Editor of English Weekly `Pakistan Abroad’, Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `The Ambassador’, Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `DAWN', Canada, ex-Senior Sub-Editor of English Daily DAWN, Pakistan (From 1986-1999), Chairman, CANOPI, Director of Children Dignity Foundation (CDF---Canada & Pakistan) and Honorary Director, Canpak, Chamber of Commerce, and Honorary Director Information, Pak Seniors Forum (PSF), is contributing purely on Voluntary and Honorary Basis in order to serve all people and communities. Contact: (416)696-0981/jazamedia@hotmail.com To read more JZ’s exclusive articles, please visit: www. nepmcc.ca and nationalethnicpress.com (Editorial Sections. Scan years from 2004). Visit www.javedzaheernews.blogspot.com for latest exclusive articles.
        JZ'S MOTTO: SERVE HUMANITY IN REALITY         
ABOUT JAVED ZAHEER’S
ROMAN URDU EXPRESSION
  (TOOTI PHOOTI SHAIRI)
Lahu Ko Qalam Ki Roshnai Banata Hoon
Mein Ko Khudi Ki Taqat Se Mita Ta Hoon
Hon Agar Iraday Mazboot Aur Buland
Rok Sakey Gaa Na Koi Pahar Aur Bund
               *********
Jo Bhi Kehta Hoon Apna Kehta Hoon
Salam Bhi Apna Kalam Bhi Apna
Jo Dosre Kehte Oos Se Mutasir Hoon
Dil Apna Dard Paraya Rakhta Hoon
              **********
       
 
 
 
 
 
 
 
 
  
 

No comments:

Post a Comment