REQUEST FOR PRAYERS
MERI MAA PYARI MAA:
ANISA KHATOON
Aye Maa Meri Pyari Maa Tujhe Meri Bhi Zindagi Lag Jai Magar Mujhe
Chor Ke Mut Jana. Tum Bohot Bimar Aur Kamzoor Hogai Ho Magar Phir Bhi Hamari
Taqat Aur Qeemti Sarmaya Ho. Agar Tumhain Kuch Hojata Hai Tu Hum Kaise Jeeyain
Gey. Jeenay Ke Liye Himmat, Hosla Aur
Taqat Kahan Se Layen Ge. Bus Bataa Tey Jana.
Maa
Tumhare Bagair Meri Zindagi Mein Andhera Hi Andhera Hai. Agar Tum Chaleen
Gayeen Tu Mein Bhi Bohot Jald Tumharey Pas Ajaonga Kiyun Ki Phir Mere Liye Is
Dunya Mein Kuch Bhi Nahi Bacha Hoga.
Meri
Maa Tum Ne Sari Umar Sakht Takleefain Utha Kar Hamain Chalna, Phirna Aur
Salikhay Se Jeena Sikhaya. Aaj Jo Allah Mujh Pe Itna Meherbaan Hai Aur Jo Mujhe
Izzat Mili Hai Aye Maa Teri Wajha Se Tu Hai. Teri Judai Ka Sadma Mein Nahin
Bardasht Kar Paonga. Mein Hamesha Tera Daman Pakra Rehta Tha Bachpan Se Aaj Wo
Daman Kiyun Allah Chura Raha Hai. Mujhe Meri Maa Ke Saath Hee Bula Le. Tere
Baghair Mein Akela Nahi Jee Paonga Is Dunya. Tere Jaisi Duwain Aur Meri Dekh
Bhall Kaun Kar Pai Gaa. Nahi Maa Mujhe Akela Chor Ke Mut Jana. Mujhe Sir Allah
Ki Aur Tere Saye Ki Zaroorat Hai. Allah Ko Tu Nahi Dekha Magar Teri Mohabbat
Bhari Mamta Ka Saya Zaroor Dekha.
Tum Mujhe Bohot Yaad Kar Rahi Ho Aur
Mein Bus Jald Se Jald Chicago Pohonch Raha Hoon Tumhain Galey Lagney Ke Liye
Tumhari Hannat Ki Khusboo soongney Ke Liye.
Phir Kahan Naseeb Hongeen Ye Nematain. Kash Mere Bus Mein Hota Tu Mein
Teri Taraf Aaney Wali Maut Se Bhi Lar Jaata Aur Oosko Tujhse Dor Rakhta, Meri
Maa Tuney Mujhe Larna Sikhaya Hai Izzat Se Jeenay Ke Liye Aur Marney Ke
Liye. Go Ki Shaitan Ne Mujhe Bohot
Gumrah Karne Ki Koshish Ki Magar Meri Pyari Maa Teri Tarbiat Ne Hee Mujhe Jhoot,
Lalach, Rishwat, Makkari Aur Bohot Sari Burayoun Se Bacha Ke Rakha. Meri Maa
Mein Teri Azmat, Mohabbat Aur Buland Darjey Ko Bayan Hee Nahi Kar Sakhta. Meri
Zaban Aur Qalam Donoun Mein Ye Taqat Hai Hee Nahi.
June
9, 1973, Mein Walid Ke Intiqal Ke Baad Jo Tum Ne Hamain Samait Ke Rakha Aur Hum
Donoun Kaise Saath Saath Dukh Aur Dard Mein Shareek Rahey Aur Zalim Dunya Se
Muqabla Kartey Rahey. Ye Sub Kuch Mein Kaise Bhula Doon. Bus Itna Mujhe Bataa
De. Maa Mein Tere Liye Dua Tu Kar Raha Hoon Magar Mein Bohot Gunahgar Hoon.
Sirf Allah Ke Agey Jhook Kar Tujhe Maang Hee Sakta Hoon Aur Ooski Maslehat Ke
Agey Khamosh Hee Reh Sakta Hoon.
Meri Pyari Maa Tu Ne Hamari Khatir
Apni Zindagi Ko Hamari Chawoun Bana Diya Aur OOs Saye Mein Achi Tarha Paley
Barhay. Aye Maa Mein Chawoun Kahan Se Laounga. Mein Ne Tu Kabhi Khuda Ke Siwa
Kisi Se Kuch Maanga Hee Nahi Kiyun Ki Tu Ne Sikhaya Hee Nahi. Maa Who Mohabbat
Aur Tarbiat Kahan Se Laoun. Isi Liye Meri Maa Mein Keh Raha Hoon Aur Bachpan Ki
Tarha Zid Ksr Raha Hoon Ki Mujhe Bhi Saath Lechalo. Maa Mein Bohot Thak Gaya
Hoon. Waise Hee Tujh Se Doori Mujh Pe Bohot Bhari Parh Rahi Hai. Mein Toronto,
Canada, Mein Aur Tum Chicago, US, Mein Aur Ab Itni Dor Hojao Gee Tu Mein Kaise
Jiyun Gaa. Aye Khuda, Mujhe Sirf Aur Meri Maa Chahiye Ya Mujhe Bhi Saath Bula
Le. Nahi Rehna Mujhe Is Dunya Mein. Mere Liye Yahan Maa Ke Baad Kuch Bhi Nahi
Rakha Hoga. Nahi Chahiye Aisi Beraunaq Zindagi. Dunya Ka Kaam Sirf Dosroun Pe
Hasna Aur Unka Mazaq Urana Hai. Aye Maa Kia Tum Mujhe Aisi Dunya Ke Hawaley Kar
Ke Jao Gee. Kia Allah Ko Aur Tumhain Zara Sa Bhi Mujh Pe Taras Nahi Aaraha.
Aisi Zindagi Se Behtar Tu Mere Liye Maut Hogi Jo Mujhe Tujh Se Mila Tu De Gee
Aur Hum Hamesha Saath Rahain Gey. Maa Mujhe Aisi Zinfagee Nahi Chaiye. Mujhe
Koi Hamdardi Aur Dost Nahi Chahiye. Maa Meri Sub Se Achi Aur Sachi Dost Tu Tum
Hee Ho. Tum Kaise Mujhe Akela Chor Kar Jaaney Ka Soonch Rahi Ho. Maa Allah Se
Dua Karo Ki Mujhe Bhi Tere Saath Bula Le. Who Maa Ki Dua Zaroor Sunta Hai. Meri
Maa Meri Ye Baat Maan Lo. Tumharey
Bagair Mein Nahi Jee Sakta Nahi Reh Sakta. Dunya Kia Samjhay Gee Mujhe Jitna
Tum Jaanti Aur Samajhti Ho.
Aye
Maa Tuney Mujhe Jeena Sikhaya ab Mujhey Marna Bhi Sikha De. Kaash Mere Bus Mein
Marna Hota Tu Mein Khooshi Khooshi Tere Saath Jaaney Ke Liye Fouran Tayyar
Hojata. Kaash Aisa Hota.
Mein Sari Dunya Se Haath Jorh Kar Meri
Maa Ki Sehat Aur Zindagi Ke Liye Dua Kee Iltija Karta Hoon. Hum Tu Gunahgar
Hain Shayad Kisi Allah Ke Nek Bandey Ki Dua Qabool Hojai.
Aye
Maa Meri Pyari Maa Teri Azmat Ko Salam.Aye Allah Tera Lakh Lakh Shukar Ki Tu Ne
Dee Mujhe Aisi Azeem Maa Jis Ne Har Halat Aur Buray Waqt Ke Bawajood Muskuratey
Huwe Rakha Sar Pe Hamarey Haath. Aur Kis Hasti Mein Hosakti Hai Aisi Baat,
GUMNAAM
HOTAY TU ACHA HI HOTA WARNA NAAM KAMA KAR KIA KAR LIYA. JO LIKHA WO RADDI KA
DHER BUNJAI GAA AUR RADDI KE DABBEY KI NAZAR.
JAVED
ZAHEER
PROFESSIONAL JOURNALIST,
FOUNDER OF SHIR INTERNATIONAL NETWORK
SHIR (SERVE HUMANITY IN REALITY)
CELL: (647- 740-0981/Res: 416-696-0981.
Email: jazamedia@hotmail.com
Dated: December 1, 2016.
JZ’S PROFILE: Founder of SHIR International Network (Serve
Humanity In Reality---SHIR), declared by Judges as one of 75 Finalist Best
Canadian Immigrants, an Honour for the Pakistani Community. Joined Journalism
Profession in 1974 (Daily `SUN’, Karachi) and still serving as a professional
journalist (2014). Javed Zaheer, Free Expression Award Winner (Awarded by
National Ethnic Press & Media Council of Canada—NEPMCC. Award presented by
Lieutenant-Governor of Ontario, Canada), Desi Idol Recognition Award Winner
(Presented by North American Desi Idol), Member/Honorary Director of NEPMCC,
Veteran Active Member (VAM) of Toronto Press Club, Ex-Member of The National
Club and The Ontario Club, Honorary Editor of English Weekly `Pakistan Abroad’,
Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `The Ambassador’, Canada,
ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `DAWN', Canada, ex-Senior
Sub-Editor of English Daily DAWN, Pakistan (From 1986-1999), Chairman, CANOPI,
Director of Children Dignity Foundation (CDF---Canada & Pakistan) and
Honorary Director, Canpak, Chamber of Commerce, and Honorary Director
Information, Pak Seniors Forum (PSF), is contributing purely on Voluntary and
Honorary Basis in order to serve all people and communities. Contact:
(416)696-0981/jazamedia@hotmail.com To read more JZ’s exclusive articles,
please visit: nepmcc website (Editorial Sections. Scan years from 2004). Visit
www.javedzaheernews.blogspot.com for latest exclusive articles.
JAVED ZAHEER’S MISSION & VISION
“SHIR INTERNATIONAL NETWORK’S AIMS,
ONJECTIVES, MISSION AND VISION:
1.
SERVE HUMANITY IN REALITY (SHIR).
2.
AFTER WORSHIP OF GOD, CONSIDER SHIR MISSION & VISION AS OUR MOST
IMPORTANT DUTY & RESPONSIBILITY. BOTH ARE EQUALLY IMPORTANT SINCE WORSHIP
WITHOUT SHIR VISION IS MEANINGLESS, IF UNDERSTOOD IN REALITY.
3.
BECOME & REMAIN VOICE & STRENGTH OF HUMANITY IN REALITY.
4.
UNITE HUMANITY IN REALITY.
5.
LIKE, LOVE, RESPECT & LIVE & WORK TOGETHER IN REALITY.
6.
JOIN, HELP, SUPPORT, PROMOTE & PROTECT HUMANITY IN REALITY IN ORDER
TO PLEASE GOD AND MAKE THE WORLD SAFER & BETTER.
No comments:
Post a Comment