KAASH
MEIN TERI MAA NAA HOTI
BY JAVED ZAHEER, FREE EXPRESSION
AWARD WINNER
TORONTO:
Haan, kaash mein tum logoun ki maa naa hoti. Chund chor dakoo looteroun ne
meray moo pe kaalik mal di aur saari dunya mein ruswa kara diya aur tum loug
khamoshi aur beghairti se tamasha dekhtay rahay.
Kub
aagay barh kar maa ki izzat aur azadi bachao ge ya yun hi tamasha dekhtay raho
ge. Afsoos, tum bhi chor, dakoo aur looteroun ke saath milkar meri izzat ki
dhajjian ura rahay ho aur mujhay barbad kar rahay ho. Apni maa ki izzat ki
dhajjian. Kia waqai mar gaya hai tumhara zamir aur tumhari ghairat.
Aaj
tum meri izzat ki hifazat nahi kar rahay ho aanay wala kal tumhari izzat se
khelay gaa tumhain ghulam bana kar. Dekh lena tum. Ye meri bud-duwa nahi hai. Jo kuch bhi hogaa tumhari apni
beghairti aur tumharay apnay kartootoun ki wajah se hogaa. Mein tu maa
hoon bud-duwa bhi nahi de sakti sirf
tumhain dukhoun mein dekh kar tarap sakti hoon apna dukh aur ghum bhula ke.
Kaash mein teri maa naa hoti aur ye din naa dekhnay partay.
Ye dard bhari aah Pakistan ke tootay
huway dil se nikal rahi hai. Wo dil jo zakhmoun se choor choor ho chuka hai. Wo
shikasta dil jo ab ahista ahista dharak raha hai aur kisi bhi lamhay dharakna
bund kar sakta hai hamari apni ghaltiyun, laa-par-wahiyoun aur beghairti ki
wajah se.
Hamaray
bahadur aur ghayyur jawan wardi pehen kar kis ki hifazat kar rahay hain jub ki
gharib awam aur mulk donoun sisak sisak ke mar rahay hain. Inki madad aur
hifazat kaun karay gaa. Kia ye chor dakoo aur looteroun ke agay itna bay bus
hogai hain. Tu phir kiyun qasam khai thi aur ehad kiya tha mulk aur qaum ki
hifazat ke liye. Aaj tumhari khamoshi aur buzdili ki wajah se yehi chor dakoo
aur looteray aish kar rahay hain.
Kia
hamaray jawanoun aur leaders mein koi aik bhi Allah ka bunda aisa nahi hai jo
mulk aur qaum ke liye kuch acha karay aur gundagi ko saaf karay. Hai koi mard
ka bacha in jawanoun aur leaders mein. Agar hai tu uthay aur aagay barh kar
badal daalay mulk aur qaum ki taqdeer ko.
---Javed Zaheer (JAZA/JAYZEE/JZEE),
Free Expression Award Winner, Desi Idol Recognition Award Winner,
Member/Honorary Director of NEPMCC, Veteran Active Member (VAM) of Toronto
Press Club, Ex-Member of The National Club and The Ontario Club, Honorary
Editor of English Weekly `Pakistan Abroad’, ex-Chief Editor (Honorary) of
English Weekly `The Ambassador’, ex-Senior Sub-Editor of English Daily DAWN,
Pakistan, Chairman, CANOPI, and Director, Canpak Camber of Commerce, is
contributing purely on Voluntary and Honorary Basis in order to serve all
people and communities. Contact: (416)696-0981/jazamedia@hotmail.com. To read
more JZ’s exclusive articles, please visit the following websites:
www.letstree.com (Pressing needs section), nepmcc.ca and nationalethnicpress.com (Home Pages & Editorial Sections. Scan
years from 2004 to 2011.
No comments:
Post a Comment