QURAN SAY MADAD, NASEEHAT AUR
ALLAH KI HIDAYAT HASIL KARO
BY JAVED ZAHEER, FREE EXPRESSION
AWARD WINNER
TORONTO:
Hum Bohot Mushkil Samajhtay Thay Quran Aur Allah Kay Paigham Ko Magar Jub Lena
Shuroo Ki Dilchaspi Aur Ek Ek Surat Ko Ghaur Se Parhna Shuroo Kia Tu Allah Ka
Paigham Saaf Saaf Samajh Aanay Laga. Choti Choti Suratoun Se Shuroo Kia Taki
Mushkil Aur Ghabrahat Na Ho Aur Dilchaspi Barhti Jai. Ye Formula Kamyab Raha.
Tilawat
Karna Bohot Achi Baat Aur Sawab Ka Kaam Hai Lekin Allah Khud Kehta Hai Quran
Mein Ki Quran Ko Thora Thora Magar Bohot Samajh Kay Parho. Bohot Aasani Aur
Khoobsoorti Say Allah Nay Samjhaya Hai Hamain Bus Sirf Dilchaspi Lenay Aur
Bunyadi Baat Samajhnay Ki Zaroorat Hai. Is Kay Liye Aalim, Mulla Ya Scholar
Honay Ya Bannay Ki Zaroorat Nahi Hai.
Quran
Ke Zariye Sub Say Pehle Allah Dua Maangna Sikhata Hai Aur Batata Hay Ki Kin
Logoun Ke Raastay Pe Chalo. Kehta Hai Oon Logoun Ke Raastay Pe Chalo Ki Jin Pe
Na Kabhi Allah Ka Ghazab Nazil Huwa Aur Na Wo Bhatkay. Sura Al-Fateha Aik Behtareen
Misaal Hai.
Total
114 Surat Hain Jin Ke Zariye Allah Nay Saaf Saaf Achay Aur Buray Logoun Ki
Pehchaan Aur Tameez Karai Hai Aur Bataya Hai Ki Oon Ke Saath Kia Sulook Hoga
Aur Kiyun Hoga. Bataya Hai Ki Unka Anjaam Kia Hoga.
Hum
Se Pehle Jo Loug Aur Qaumain Theen Unkay Saath Kia Kiya Ye Bhi Batla Diya Hai.
Jin Logoun Nay Allah, Oos Kay Paigham, Oos Kay Messengers (Paighambar Aur Nek
Bandey), Haq Aur Sachai Ko Jaan Boojh Kar Jhutlaya Aur Khilafwarzi Ki, Allah
Kay Chahnay Waloun Ko Pagal Aur Jadoogar Kaha, Unkay Saath Zulum Aur Sitam Kiya
Aur Unko Mar Diya Ya Maarnay Ki Koshish Ki Tu Allah Nay Kaisay Apnay Ghazab Ke
Zariye Unko Tabah Wo Barbad Kar Diya Aur Kaisay Apnay Nek Bandoun Ki Madad Aur
Hifazat Ki.
Allah
Kehta Hai Ki Budkar Aur Buray Loug Wo Hain Jo Naafarmaan, Sarkash Aur Zalim
Hotay Hain Aur Burai, Gunah Aur Zulum Ki Had Par Kartay Hain, Dunya Mein Fasad
Paida Kartay Hain Aur Nek Aur Kamzor Logoun Ka Jeena Haram Kartay Hain.
Buray
Loug Yateemoun, Miskinoun, Ghariboun Aur Zaroorat Mundoun Ko Unka Haq Nahi
Detay Aur Na Unki Madad Kartay Hain Aur Na Unka Khayal Rakhtay Hain. Wo Kamzor
Logoun Pe Zulum Kar Kay Aur Unka Haq Maar Kay Bohot Khoosh Hotay Hain. Naap
Taul Aur Insaf Sahi Nahi Kartay.
Ye
Loug Qayamat Ke Din Aur Aakhirat Ke Roz Pe, Maut Aur Marnay Ke Baad Dobara
Zinda Kiyay Jaanay Pe, Saza Aur Jaza Pe Aur Allah Ki Haqeeqat Aur Taaqat Aur
Uskay Ghazab Aur Azaab Pe Yaqeen Nahi Rakhtay. Isi Liyay Wo Allah Se Nahi
Dartay Aur Allah Aur Sachai Ko Hamesha Jhutla Tay Hain.
Allah
Kehta Hai Ki Bus Yehi Loug Budkar Aur Buray Hain Aur Jahannum Mein Jayen Gay.
Wahan Unkay Liye Bharakti Aur Dahekti Hui Bhayanak Aag Hogi, Peenay Ke Liye
Bohot Kholta Huwa Garam Paani Aur Peep Hoga, Budtareen Khana Hoga Aur Dosray
Bohot Sarey Azaab Hongay. Jis Nay Jaisa Kia Hai Amal Dunya Mein Uskay Saath
Waisa Hi Sulook Hoga Aakhirat Mein Kiyun Ki Allah Bara Insaf Karne Wala Hai.
Achay
Loug Wo Hain Jo Allah Pe Aankh Bund Kar Ke Yaqeen Rakhtay Hain, Oos Say Dartay
Hain, Uski Baat Maantay Hain, Uski Ibadat Kartay Hain Aur Uskay Bandoun Ka
Bohot Khayal Rakhtay Aur Unki Har Tarha Say Madad Kartay Hain.
Allah
Kehta Hai Yehi Loug Nek Aur Achey Hain Aur Jannat Mein Jayen Gay. Wahan Unkay
Liye Behtareen Intizam Hoga, Khoobsurat Hoorain Aur Larkay Hongay, Shandar
Takht Hongay Jin Kay Neechay Nehrain Behrahi Hongi, Khanay Aur Peenay Ke Liye
Behtareen Phal Aur Gosht Hoga Aur Aisi Sharab Hogi Jis Say Na Sar Mein Dard
Hoga Aur Na Aqal Mein Fatoor Aye Gaa.
Jo
Wo Chahain Gay Wo Allah Unko De Gaa. Unki Har Khuwahish Aur Tamanna Puri Hogi
Har Tarha Say Kiyun Ki Unhoon Nay Sirf Aik Allah Pe Yaqeen Aur Bharosa Kiya Aur
Allah Kay Liyay Hi Jiyay Aur Maaray Aur Uski Baat Maani Aur Uskay Saath Kisi Ko
Shareek Nahi Kiya.
Allah
Kehta Hai Ki Qayamat Zaroor Aye Gi Aur Akhirat Kay Roz Sub Dobara Zinda Kiyay
Jayengay Aur Jama Kiyay Jayengay. Unkay Haath Mein Unkay Aamaal Namay Pesh
Kiyay Jayengay. Jo Nek Hongay Unko Dahinay (Seedhay) Haath Mein Diyay Jayengay
Aur Jo Budakar Aur Buray Loug Hongay Unko Bayen (Ultay) Haath Mein Diyay
Jayengay. Is Tarha Do (Two) Groups Banayay Jayengay---Neeki Aur Badee Kay.
Allah
Kehta Hai Ki Oos Din Teenh (Three) Groups Banayay Jayengay. Aik Group Anbiya
Aulia Aur Momin Logoun Ka Hoga (VIPs), Aik group Nek Logoun Ka Hoga Aur Aik
Group Budkar Aur Buray Logoun Ka Hoga. Pehlay Do (Two) Groups Jannat Mein
Jayengay Aur Akhri Group Jahannum Mein.
Ab
Ye Hamaray Upar Hai Ki Hum Kaunsay Group Mein Jaana Pasand Karengay---Second Ya
Third. Allah Ne Hamain Raasta Aur Tarika Bataa Diya Hai Aur Choose Karnay Ke
Liyay Options De Diyay Hain. Inko Samajhnay Kay Liyay Aqal Aur Samajh De Di
Hay.
Mukhtalif
Suratoun (Surats) Mein Allah Ne Apni Tareef Aur Haqeeqat Khoob Achi Tarha Khul
Kay Bayan Kardi Hai. Kitni Cheezoun Ki Qasmain Khai Hain. Kis Kis Tarha Insan
Aur Jin Donoun Ko Samjhaya Hai.
Sura
Rehman Mein Allah Nay Saaf Saaf Insan Aur Jin Donoun Saye Bola Hai Ki Tum Meri
Kaun Kaun Si Nematoun Ko Jhutlao Gay. Hamain Samajhnay Ke Liye Aur Kiya
Chahiyay. Allah Ne Khoob Naseehat Aur Hidayat Ki Hai Quran Aur Dosri Aasmani Kitaboun
Ke Zariyay.
Magar
Insan Hai Ki Allah Ko Bhool Kar Shaitan Ke Saath Hojata Hai. Jub Waqt Parta Hai
Tub Allah Ko Yaad Karta Hai Aur Uskay Aagay Girgirata Hai. Jub Kaam Nikal Jata
Hai Phir Shaitan Ki Goud Mein Jaa Kar Beth Jaata Hai.
Allah
Kehta Hai Ki Dunya Faani Hai. Qayamat Zaroor Aye Gi Aur Sif Allah Hi Jaanta Hai
Ki Kub Aye Gi. Akhirat Ke Roz Qayamat Jub Aye Gi Tu Aasman Phat Jaye Gaa,
Taaray Toot Jayen Gay, Pahar Chalna Shuroo Hojayen Gay Aur Rooyi (Cotton) Ki
Tarha Oor Rahay Hongay, Samandar Ubal Parey Gaa Aur Zamin Sub Kuch Ugal De Gi
Jo Uskay Andar Hai. Sub Kuch Waisay Hi Hoga Jaisay Quran Aur Aasmani Kitaboun
Mein Allah Ne Batla Diya Hai. Bhaley Jhutlanay Waley Jhutlatay Rahen. Yehi
Haqeeqat Hai.
Lougoun
Aur Qaumoun Pe Apne Ghazab Aur Azaab Ke Zariye Allah Nay Qayamat Ki Nishaniyan
Batla Di Hain. Afsos Phir Bhi Insan Nahi Samajhta Aur Dheet Bun Kar Jhutlata
Hai Aur Budkari Aur Burai Mein Had Se Ziada Guzar Jaata Hai.
Allah
Kehta Hai Zalimoun, Budkar Aur Buray Logoun Ko Unkay Haal Par Chor Do. Wo Nahi
Sudharnay Waley. Hum Nay Unko Dheel Di Hui Hai Aur Hum Hi Unsay Nimat Lain Gay.
Hum Khoob Nimatna Jaantay Hain. Tum Sirf Naseehat Karo Jo Tumhara Kaam Hai.
Hidayat Dena Allah Ka Kaam Hai.
Jo
Bhi Achay Loug Hain (Ghair Muslim) Unkay Ka Saath Achi Tarha Sulook Karo Aur
Pesh Aao. Unko Tung Mut Karo. Jo Budkar Aur Buray Loug Hain, Allah Ko Jaan
Boojh Kar Nahi Maantay Aur Logoun Pe Zulum Kartay Hain Unkay Khilaf Kharey
Hojao Aur Unsay Jum Kar Muqabla Karo. Logoun Ko Unkay Zulum, Budkari Aur Burai Say Bachao.
Beshak
Allah Bari Shan Wala Aur Sub Se Ziada Taqatwar Hai, Ghaib Ka Malik Hai, Rabbul
Aalamin Hai, Rehman Aur Rahim Hai. Samjho Tu Wohi Sub Kuch Hai. Na Uski Koi
Aulad Hai Aur Na Wo Kisi Ki Aulad. Wo Har Cheez Pe Qadir Hai.
Agar
Hum Ye Sub Baatain Jaan Lain, Samajh Kar Maan Lain Tu Koi Hamain Na Behka Sakta
Aur Naa Bhatka Sakta Hai. Shart Ya Hai Ki Hum Allah Ko Samjhain Aur Uski
Maanain Bajai Ghair Allah Ya Dhongi Mulla Ke Peechay Peechay Chalain.
Shaitan
Dhongi Mulla, Aalim, Pir, Faqir Aur Kai Roop Mein Insan Aur Jin Donoun Ko Bohot
Behka Aur Bhatka Raha Hai Aur Nuqsaan Pohncha Kar Jahannum Ki Taraf Le Jaa Raha
Hai. Hamain Aqal Se Kaam Lekar Aur Quran Ke Batayay Huway Raastay Pe Chal Kar
Shaitan Aur Uskay Shar Se Bachna Hai.
Allah
Quran Ke Zariye Hamari Madad Kar Raha Hai. Ye Wo Rassi Hai Jisay Hamain
Mazbooti Se Pakar Ke Rakhna Hai. Quran Say Madad, Naseehat Aur Allah Ki Hidayat
Hasil Karo. Yehi Nijaat Ka Zariya Hai.
Beshak Allah Bara Madadgar Hai Aur Rahem
Karnay Wala Hai. Hamesha Allah Pe Bharosa Rakho Aur Nek Aur Achay Kaam Karnay
Ki Niyat Aur Koshish Karo.
---Javed
Zaheer (JAZA/JAYZEE/JZEE), Free Expression Award Winner, Desi Idol Recognition
Award Winner, Member/Honorary Director of NEPMCC, Veteran Active Member (VAM)
of Toronto Press Club, Ex-Member of The National Club and The Ontario Club,
Honorary Editor of English Weekly `Pakistan Abroad’, ex-Chief Editor (Honorary)
of English Weekly `The Ambassador’, ex-Senior Sub-Editor of English Daily DAWN,
Pakistan, Chairman, CANOPI, and Director, Canpak Camber of Commerce, is
contributing purely on Voluntary and Honorary Basis in order to serve all
people and communities. Contact: (416)696-0981/jazamedia@hotmail.com. To read
more JZ’s exclusive articles, please visit the following websites:
www.letstree.com (Pressing needs section), nepmcc.ca and nationalethnicpress.com (Home Pages & Editorial Sections. Scan
years from 2004 to 2011.
No comments:
Post a Comment