KHUDARA AB TU HOSH MEIN AAO,
MULK AUR QAUM KO BACHAO
BY JAVED ZAHEER, FREE EXPRESSION
AWARD WINNER `TORONTO: Pakistan, Islam aur Musalmaan
ke naam pe har ghair ikhlaqi, ghair insaani,badtareen, ghinouney aur ghaleez kaam horahe hain. Ye sub kaam karney
waley wo insaan numa darindey hain jin se khaufnaak tareen darindey bhi panah
maangte hain.
Pakistan
ki badqismati tu dekhye ki 1947 mein jaise he azadi hasil ki in darindoun ne
mulk pe sazishoun ke zariye qabza karna
shoru kardiya. Oos waqt ye darinfey Fauj
ke corrupt aur ghaddar generals thay. Aaj bhi insan numa darinday aur corrupt
aur ghaddar generals ka tola mulk aur awam pe zulm ke pahar tor raha hai. Unke
saathi corrupt hukmuraan aur leaderaan hain. Pakistan ka arboun kharboun rupiah
loot kar kha gaye hain. Roz arboun kharboun rupiah loota jaraha hay. Ye baat
sub jaante hain magar sub ne aankhain aur moo bund kiye huwe hain. Mulk pe
behisi aur khauf ka aalam Chaya huwa hai. Shayad koi sher ka bacha kabhi
uthjaaye warna tu aisay sher hukumat kar rahain jink e sar pe baal nahi aur
izzat chupa ne ke liye dum nahi.
Inke zulm ki inteha tu dekhye ke khud tu
har tarha ki ayyashian kar rahey hain aur awam ko gadha, kutta, suwwar, choohay
aur na janey kia kia khaney pe majboor kar diya. Gutter ka paani pee rahay hain
aur mar rahey hain. Aisa lagta hai ki Pakistan ke ghareeb, mazloom aur masoom
awam ko Pakistan bananey ki badtareen saza di jarahi kai. Ye sub dushmanoun ke
agent hain jo mulk aur qaum ko barbad kar rahay hain.
Mera
sar sharam se jhuk jaata hai aur aankhoun mein khoon utar aata hai jub hamarey
generals in corrupt hukmuranoun ko salute martey hain. Hamarey dil mein aap ki
bohot izzat hai isis liye hamain dukh hota hai.
Corrupt
aur ghaddar generals ka pehla nishana Muhammad Ali Jinnah that, phir Liaquat
Ali Khan aur baad mein Fatima Jinnah
theen. List tu bohot lambi hai magar ye teen naam bohot khas hain.
Ye
ghaddar aur corrupt generals kum he hain lekin najane kiyun hamari bahadur aur
ghayyur fauj aur leadraan itne bey bus
aur khamosh hain. Agar ye mulk aur qaum ki hifazat nahi kar sakte tu fauj ki
noukri chor dein. Mulk aur qaum ki hifazat karna inka ikhlaqi aur qaumi farz
hai. Sirf seena 32 36 aur 50 kar ke ye kehna : Kill or be killed se baat nahi
banti. In corrupt aur ghaddar generaloun, hukmuranoun aur ;eadroun ko kaun kill karey gaa ko sari awam ko kill
kar rahey hain. Kia fauj mein achey kirdar aur khandaan ke loug aana bund
hogaye aur sirf parchian chal rahi hain.
Khudara ab tu hosh mein aao aur mulk aur qaum ko bachao.
Pakistan Zindabad.
JZ’S
PROFILE: Founder of SHIR International
Network (Serve Humanity In Reality---SHIR), declared by Judges as one of 75
Finalist Best Canadian Immigrants, an Honour for the Pakistani Community.
Joined Journalism Profession in 1974 (Daily `SUN’, Karachi) and still serving
as a professional journalist (2014). Javed Zaheer, Free Expression Award Winner
(Awarded by National Ethnic Press & Media Council of Canada—NEPMCC. Award
presented by Lieutenant-Governor of Ontario, Canada), Desi Idol Recognition
Award Winner (Presented by North American Desi Idol), Member/Honorary Director
of NEPMCC, Veteran Active Member (VAM) of Toronto Press Club, Ex-Member of The
National Club and The Ontario Club, Honorary Editor of English Weekly `Pakistan
Abroad’, Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `The Ambassador’,
Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `DAWN', Canada, ex-Senior
Sub-Editor of English Daily DAWN, Pakistan (From 1986-1999), Chairman, CANOPI,
Director of Children Dignity Foundation (CDF---Canada & Pakistan) and
Honorary Director, Canpak, Chamber of Commerce, and Honorary Director
Information, Pak Seniors Forum (PSF), is contributing purely on Voluntary and
Honorary Basis in order to serve all people and communities. Contact:
jazamedia@hotmail.com To read more JZ’s exclusive articles, please visit:
nepmcc website (Editorial Sections. Scan years from 2004). Visit
www.javedzaheernews.blogspot.com for late
No comments:
Post a Comment