Wednesday, December 2, 2015

JZ'S ROMAN URDU POETRY---PYAR KIA HAI MUJHKO NAHI KHABAR


JZ’S TOOTI PHOOTI SHAIRI
PYAR KIA HAI MUJHKO
       NAHI KHABAR
BY JAVED ZAHEER
Pyar Kia hai Mujhko Nahi Khabar
Yaar Kia Hai Mujhko Nahi Khabar
Singhar Kia Hai Mujhko Nahi Khabar
Intizar Kia Hai Mujhko Nahi Khabar
Rehta Hosh Mein Tu Hoti Koi Khabar
Dekh Kar Meri Halat Tu Hargiz Na Dar
Aata Jaisa Nazar Hoon Aisa Nahi Magar
Saans Le Raha Hoon Tu Jeeney Ke Liye
Lekin Jee Raha Hoon Har Kisi Ke Liye
Pareshan Rehta Sub Ki Khushi Ke Liye
Khoon Se Jalata Chiragh Roshni Ke Liye
Bhujtey Chiragoun Ki Roshni Hai Nemat
Nai Chiraghoun Ko In Ki Hai Zaroorat
Kar Izzat Subki Na Kar Kisi Ko Bay Izzat
Akar Kar Chalney Se Sirf Milti Hai Zillat
Agar Tum Muskurao Tu Dil Se Muskurao
Mohabbat Se Pesh Aao Subko Galey Lagao
Haqeer Samajh Ke Kisi Ko Na Thukhrao
Aisa Na Ho Kahin Sharam Se Sar Jhukao
Meri Baat Khoob Achi Tarha Samajh Jao
Mein Nahi Chahta Ki Tum Phir Pachtao