Saturday, March 31, 2018

JZ'S ARTICLE: KHOTEY SIKKOUN KA RAJ, PAKISTANIYUN PE ZULM


MARCH 30, 2018
KHOTEY SIKKOUN KA RAJ,
  PAKISTANIYUN PE ZULM
BY JAVED ZAHEER, FREE EXPRESSION  & HUMAN RIGHTS AWARD WINNER
        TORONTO: Kia Pakistan Sirf Aur Sirf Musalmanoun Ke Liye Banaya Gaya. Kia Yahan Dosri Qaumoun Aur Mazhab Ke Logoun Ke Liye Koi Gunjaish Nahi Thi Aur Na Hai?
        Hargiz Nahi. Quaid-eAzam Muhammad Ali Jinnah Ka Ye Khuwab Aur Vision Hargiz Nahi Tha. Wo Tu Pakistan Ko Islam Ka Wo Qila Banana Chahtey Thay Jahan Sub Ko Barabar Ka Darja, Haq Aur Insaf Milay Aur Loug Izzat, Muhabbat Aur Sakoon Ke Saath Khushi Khushi Rahain Aur Mil Jul Kar Kaam Karain Aur Achi Zindagi Guzarain.
Magar Afsos Sadh Afsos Aisa Nahi Huwa. Apna Sub Kuch Luta Kar Aur Barbaad Hokar Jo Muhajir Musalmaan Pakistan Aye Thay Aur Jo Ghareeb, Masoom Aur Mazloom Loug Pakistan Mein Pehle Se Reh Rahey Thay Aur Chaudhriyoun, Sardaroun Aur Waderoun Ki Budtareen Ghulami Kar Rahay Thay Aur Aaj Bhi Kar Rahay Hain Unke Saath Kaisa Dardnaak Aur Haulnaak Salook Huwa. Musalmaan Muhajiroun Ko Koi Machar, Koi Makkarh, Koi Ghaddar Aur Na Jaaney Kitnay Behuda Namoun Se Pukara Jaaney Laga Aur Aaj Bhi Pukara Jaata Hai. Kisi Qaum Ne Chahey Wo Punjabi, Sindhi, Balochi Ya Pathan Ho Ney Muhajir Musalmanoun Ko 1947 Se Lekar Aaj Tak Dil Se Qabool Nahi Kia Aur Nafrat Ki Nigah Se Dekhtey Rahay.
In Sub Batoun, Nafratoun, Zillatoun Aur Buray Halaat Aur Salook Ke Zimmeydar Kaun Thay. Shayad Aap Bhool Gaye Hain Tu Mein Aap Ko Yaad Dilata Hoon. Ji Haan Wo Hain Ghaddar, Makkar Aur Kaminey Khotey Sikkay Hain Jinka Zikr Jinnah Ne Khood Kia Tha.
        Wo Ye Kehney Pe Majboor Ho Gaye Thay Ki Meri Jeb Mein Khotey Sikkay Hain. Unko Apni Maut Aur Pakistan Ki Tabahi Saaf Nazar Aarahi Thi Aur Aisa He Huwa Wo Insan Numa Jungli Aur Wehshi Darindoun Ke Narghay Mein Phuns Chuke Thay.
        Jinnah Ko Tu Wo Pakistan Mila Jis Ki Zameen Par Darinday Dundanatay Phir Rahay Thay Aur Maut Raks Aur Intizar Kar Rahi Thi.
        Phir Aisa He Huwa. Pehle Jinnah, Phir Liaquat Ali Khan Aur Akhir Mein Fatima Jinnah Ko Qatal Kia Gaya. Is Tarha Pakistan Ke Teen Mazbot Satoon Gira Diye Gaye Aur Giraney Waley Aur Koi Nahi Yehi Corrupt, Badmash Aur Ghaddar Fauji Generals Aur Siasatdaan Aur Unke Chelay Chapatay Thay Jinka Taaluq Khote Sikkoun Se Tha. Aaj Unki Haram Naslein Raj Kar Rahi Hain Jinhoun Ne Imandar, Ghareeb, Mazloon Aur Masoom Logoun Ki Zindagi Azaab Kar Rakhi Hai.
        Aaj Yehi Khotey Sikkoun Ke Pillay Kehtey Phir Rahay Hain Ki Liaquat Ali Khan Mulk Ke Budtareen Wazir-eAzam Thay.
        Mulk Ka Budtareen Wazir-e-Azam Tu Chor, Dakoo Aur Ghaddar Nawaz Sharif Nikla Jis Ne Dosrey Dakoo Asif Zardari Ke Saath Milkar Mulk Ke Khazaney Ko Khali Kar Diya.
        Aaj Ye Aur Iska Kamina Tola Kambhakt Khullam Khulla Fauj, Adlia Aur Sub Ko Bura Bhala Keh Rahay Hain. Magar Inke Khilaf Koi Action Nahi Leraha. Ye Achi Nora Kushti Horahi Hai Khotey Sikkoun Ki.
        Ab leejiye Gen (Retd) Musharraf Ko Jo Ki Muhajir Musalmaan Hai. Bilawaja Uski Jaan Ke Dushman Hogaye Hain. Kuch Nahi Karney Aur Kehney Par Itna Wawaila Macha Rakha Hai. Zabardasti Onkey Galey Mein Phanda Dalney Ki Koshish Kar Rahey Hain.
        Pehle He In Ghaddaroun Aur Kambakhtoun Ne Pakistan Army Ke Ek Bohot Bahadur Commando Brig Tariq Mahmood Ko Bedarhi Se Maardiya. Isi Tarha Aur Bhi Imandar Aur Bahadur Faujiyoun Ko Khatam Kar Diya
In Halaat Mein Ab Musharraf Ke Liye Pakistan Mein Koi Jaga Nahi Hai. Sindhi, Balochi Aur Pathan Sub Unke Khoon Ke Piyasay Ahain.
Haan Agar Marney Ka Inke Hatoun Aur  Tukrey Honal Ka Itna He Shauq Hai Tu Zaroor Ayen. Samajh Lo Phir Ki Maut He Khench Kar Lai Gee. Lekin Bhai Musharraf Ko Koi Baat Samajh He Nahi Arahi. Shayad Pareshani Mein Aur Ghalat Saathiyoun Ki Wajha Se Dimagh Kaam Nahi Kar Raha.
Fikr Nahi Karain Commando Sahab Hum Sub Aap Ke Saath Hain Aur Hum Sub Milkar Khotey Sikkoun Ka Satya Naas Karain Ge. Bus Allah Pe Bharosa Rakhain. Waqt Aaney Par In Khotey Sikkoun Aur Inke Girayoun Ko Kuchal Dia Jaye Gaa Insha Allah.
 Janab-e-Aali Ab Ye Khotey Sikkoun Ka Pakistan Hai Jinnah Ka Nahi. Wo Khuwab Aur Vision Tu Jinnah Ke Saath He Khatam Hogaya.     In Kambhakt Khotey Sikkoun Ne Muhajir Musalmanoun Ki Naslain Barbad Kar Di Aur Kar Rahay Hain. Inko Apney Girain Nawaz Sharif Aur Dosrey Khatarnaak Chor, Dakoo, Ghaddar Aur Dehshatgar Nazar Nahi Aarahey.
        Ye Khotey Sikkay Qaum Ko Sabz Bagh Dikha Rahay Hain. Koi Naya Pakistan Ka Jhansa De Raha Hai Tu Koi Aur Chakkar De Raha. Ye Sub Ayyash, Badmah, Chor, Dakoo Aur Sahi Manoun Mein Dehshatgard Hain. Amriki Sadar Donald Trump Ne Sahi Kaha Ki Jo Arboun Dollar Diye Tha Wo Kahan Gaye. Arey Bhai Wo Tu Khotey Sikkay Sub Harap Kar Gaye Aur Dakar Bhi Nahi Lee.
        Inhoun Ne Puri Qaum Ko Bhikari Aur Ghulam Bana Dia Hai. Bheek Maang Maang Kar Apni Jebain Bhartey Hain Aur Qaum Ko Dete Hain Faaqa.
Hamara Pakistan Tu Ek Bohot Bari Nemat Hai. Allah Ne Is Mulk Ko Sub Kuch Diya Hai. Dunya Ke Khoobsurat Tareen Mulkoun Mein Iska Shumar Hota Hai.  Khotey Sikkoun Is Mulk Ki Hifazat Allah Karne Wala Hai. Abhi Tak Tum Aur Tumharey Girain Azab Dha Rahay Ho Magar Ab Jald Tumhari Bari Aanay Wali Hai. Allah Ki Laathi Bey Awaz Hai. Wahan Der Hai Andhair Nahi.Andhair Tu Tum Logoun Ne Machai Hoi Hai. Tumhara Dharam Tu Zulm, Sitam Aur Loot Mar Hai Aur Hamara Dharam Haq, Sabar, Insaf, Pyar Aur Muhabbat Hai.
Arey Pakistani Qaum Yaroun Kuch Tu Dum Pakro. Kub Tak Murdaroun Aur Beghairtoun Ki Tarha Geo Ge. Khotey Sikkay Tumhain Aur Tumhari Nasloun Ko Khatam Kar Rahay Hain Bedardi Ke Saath Aur Tum Charas Pee Kar So Rahay Ho. Hamain Jinnah Ke Khuwab Ko Pura Karna Hai Aur Ye Kaam Hum Sub Saath Milkar He Kar Saktey Hain.
Canada Waloun Hoshiar Hojao. Ye Khotey Sikkay Pakistan Ko Loot Kar Ab Canada Mein Gund Phaila Rahay Hain. Ye Chor, Dakoo Aur Naqabiley Etbar Loug Hain. Ye Sirf Apni Chor Biradari Ke Girain Hain. Pakistan Zindabad Aur Canada Zindabad.     
                JZ’S PROFILE:  Founder of SHIR International Network (Serve Humanity In Reality---SHIR), declared by Judges as one of 75 Finalist Best Canadian Immigrants, an Honour for the Pakistani Community. Joined Journalism Profession in 1974 (Daily `SUN’, Karachi) and still serving as a professional journalist (2014). Javed Zaheer, Free Expression Award Winner (Awarded by National Ethnic Press & Media Council of Canada—NEPMCC. Award presented by Lieutenant-Governor of Ontario, Canada), Desi Idol Recognition Award Winner (Presented by North American Desi Idol), Member/Honorary Director of NEPMCC, Veteran Active Member (VAM) of Toronto Press Club, Ex-Member of The National Club and The Ontario Club, Honorary Editor of English Weekly `Pakistan Abroad’, Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `The Ambassador’, Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `DAWN', Canada, ex-Senior Sub-Editor of English Daily DAWN, Pakistan (From 1986-1999), Chairman, CANOPI, Director of Children Dignity Foundation (CDF---Canada & Pakistan) and Honorary Director, Canpak, Chamber of Commerce, and Honorary Director Information, Pak Seniors Forum (PSF), is contributing purely on Voluntary and Honorary Basis in order to serve all people and communities. Contact: jazamedia@hotmail.com To read more JZ’s exclusive articles , please visit: nepmcc website (Editorial Sections. Scan years from 2004). Visit www.javedzaheernews.blogspot.com. for latest articles.

Saturday, March 3, 2018

JZ'S ARTICLE: TRIBUTE TO WAKIL: A ROLE MODEL FOR ALL


MARCH 3, 2018
TRIBUTE TO  WAKIL: A
ROLE MODEL FOR ALL
BY JAVED ZAHEER, FREE EXPRESSION AWARD WINNER
TORONTO: Wakil, my brother-in-law, passed away on March 3, 2018, in Pakistan. His spouse, Meena, is my first cousin. They lived in Hyderabad, Sindh.
Belonging to a middle class family, I have seen Wakil and this great couple struggle so hard and with a purpose and target: To give the best to the family including education, to live happily and nicely and love all. The couple transferred the best quality of life to the children, mostly girls. Their struggle bore good fruit for now, except two unmarried, all the girls are highly educated, working on good positions and living a happy married with the best chosen partners chosen for them.
       Wakil, by your tremendous contributions, best grooming, teaching, preaching and training and through promotion of love, togetherness and in making your children very good human being you have made us all really proud. You really have proved yourself a role model for all: As an individual, as a loving and caring husband and father. He proved to the world that whether belonging to a poor or rich family girls are never a burden on the family and society. The most important thing is that how you bring them up, make them strong and brave to face the challenges of the cruel world and how to keep transferring the best qualities to the next generation.
       Wakil may Allah be very good with you and give you one of the best places in paradise. The body perishes but the soul remains forever. I am sure one day our souls will meet and greet each other.
Meena and the children: May Allah give you all the patience and strength to bear this tremendous loss.
Aye Dost Tum Tu Chaley Gaye Par Apni Khoobsurat Yadain Chor Gaye. Hum Sub Ko Ye Sabaq De Gaye Ho Ki Dunya Mein Kis Tarha Izzat, Mehnat, Kamyabi Aur Khushali Ke Saath Zindagi Guzari Jati Hai. Mein Tumhain Salute Karta Hoon Ki Tum Ek Misali Shaksh Ho. Ghuda Tumhain Jannat Mein Aala Maqam De. Ameen.   
               JZ’S PROFILE:  Founder of SHIR International Network (Serve Humanity In Reality---SHIR), declared by Judges as one of 75 Finalist Best Canadian Immigrants, an Honour for the Pakistani Community. Joined Journalism Profession in 1974 (Daily `SUN’, Karachi) and still serving as a professional journalist (2014). Javed Zaheer, Free Expression Award Winner (Awarded by National Ethnic Press & Media Council of Canada—NEPMCC. Award presented by Lieutenant-Governor of Ontario, Canada), Desi Idol Recognition Award Winner (Presented by North American Desi Idol), Member/Honorary Director of NEPMCC, Veteran Active Member (VAM) of Toronto Press Club, Ex-Member of The National Club and The Ontario Club, Honorary Editor of English Weekly `Pakistan Abroad’, Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `The Ambassador’, Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `DAWN', Canada, ex-Senior Sub-Editor of English Daily DAWN, Pakistan (From 1986-1999), Chairman, CANOPI, Director of Children Dignity Foundation (CDF---Canada & Pakistan) and Honorary Director, Canpak, Chamber of Commerce, and Honorary Director Information, Pak Seniors Forum (PSF), is contributing purely on Voluntary and Honorary Basis in order to serve all people and communities. Contact: jazamedia@hotmail.com To read more JZ’s exclusive articles , please visit: nepmcc website (Editorial Sections. Scan years from 2004). Visit www.javedzaheernews.blogspot.com. for latest articles.