Monday, August 7, 2017

JZ'S ARTICLE: KHUDARA AB TU HOSH MEIN AAO, MULK AUR QAUM KO BACHAO

KHUDARA AB TU HOSH MEIN AAO,
   MULK AUR QAUM KO BACHAO
BY JAVED ZAHEER, FREE EXPRESSION AWARD WINNER `TORONTO: Pakistan, Islam aur Musalmaan ke naam pe har ghair ikhlaqi, ghair insaani,badtareen, ghinouney aur  ghaleez kaam horahe hain. Ye sub kaam karney waley wo insaan numa darindey hain jin se khaufnaak tareen darindey bhi panah maangte hain.
       Pakistan ki badqismati tu dekhye ki 1947 mein jaise he azadi hasil ki in darindoun ne mulk  pe sazishoun ke zariye qabza karna shoru kardiya.  Oos waqt ye darinfey Fauj ke corrupt aur ghaddar generals thay. Aaj bhi insan numa darinday aur corrupt aur ghaddar generals ka tola mulk aur awam pe zulm ke pahar tor raha hai. Unke saathi corrupt hukmuraan aur leaderaan hain. Pakistan ka arboun kharboun rupiah loot kar kha gaye hain. Roz arboun kharboun rupiah loota jaraha hay. Ye baat sub jaante hain magar sub ne aankhain aur moo bund kiye huwe hain. Mulk pe behisi aur khauf ka aalam Chaya huwa hai. Shayad koi sher ka bacha kabhi uthjaaye warna tu aisay sher hukumat kar rahain jink e sar pe baal nahi aur izzat chupa ne ke liye dum nahi.  
        Inke zulm ki inteha tu dekhye ke khud tu har tarha ki ayyashian kar rahey hain aur awam ko gadha, kutta, suwwar, choohay aur na janey kia kia khaney pe majboor kar diya. Gutter ka paani pee rahay hain aur mar rahey hain. Aisa lagta hai ki Pakistan ke ghareeb, mazloom aur masoom awam ko Pakistan bananey ki badtareen saza di jarahi kai. Ye sub dushmanoun ke agent hain jo mulk aur qaum ko barbad kar rahay hain.
Mera sar sharam se jhuk jaata hai aur aankhoun mein khoon utar aata hai jub hamarey generals in corrupt hukmuranoun ko salute martey hain. Hamarey dil mein aap ki bohot izzat hai isis liye hamain dukh hota hai.
Corrupt aur ghaddar generals ka pehla nishana Muhammad Ali Jinnah that, phir Liaquat Ali Khan aur  baad mein Fatima Jinnah theen. List tu bohot lambi hai magar ye teen naam bohot khas hain.
Ye ghaddar aur corrupt generals kum he hain lekin najane kiyun hamari bahadur aur ghayyur fauj aur leadraan  itne bey bus aur khamosh hain. Agar ye mulk aur qaum ki hifazat nahi kar sakte tu fauj ki noukri chor dein. Mulk aur qaum ki hifazat karna inka ikhlaqi aur qaumi farz hai. Sirf seena 32 36 aur 50 kar ke ye kehna : Kill or be killed se baat nahi banti. In corrupt aur ghaddar generaloun, hukmuranoun aur ;eadroun  ko kaun kill karey gaa ko sari awam ko kill kar rahey hain. Kia fauj mein achey kirdar aur khandaan ke loug aana bund hogaye aur sirf parchian chal rahi hain.
        Khudara ab tu  hosh mein aao aur mulk aur qaum ko bachao. Pakistan Zindabad.   
JZ’S PROFILE:  Founder of SHIR International Network (Serve Humanity In Reality---SHIR), declared by Judges as one of 75 Finalist Best Canadian Immigrants, an Honour for the Pakistani Community. Joined Journalism Profession in 1974 (Daily `SUN’, Karachi) and still serving as a professional journalist (2014). Javed Zaheer, Free Expression Award Winner (Awarded by National Ethnic Press & Media Council of Canada—NEPMCC. Award presented by Lieutenant-Governor of Ontario, Canada), Desi Idol Recognition Award Winner (Presented by North American Desi Idol), Member/Honorary Director of NEPMCC, Veteran Active Member (VAM) of Toronto Press Club, Ex-Member of The National Club and The Ontario Club, Honorary Editor of English Weekly `Pakistan Abroad’, Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `The Ambassador’, Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `DAWN', Canada, ex-Senior Sub-Editor of English Daily DAWN, Pakistan (From 1986-1999), Chairman, CANOPI, Director of Children Dignity Foundation (CDF---Canada & Pakistan) and Honorary Director, Canpak, Chamber of Commerce, and Honorary Director Information, Pak Seniors Forum (PSF), is contributing purely on Voluntary and Honorary Basis in order to serve all people and communities. Contact: jazamedia@hotmail.com To read more JZ’s exclusive articles, please visit: nepmcc website (Editorial Sections. Scan years from 2004). Visit www.javedzaheernews.blogspot.com for late
                                                                                                                                                  

No comments:

Post a Comment