MUSLIM UMMAH HOSH MEIN AAO
AB BHI WAQT HAI SAMBHAL JAO
BY JAVED ZAHEER, FREE EXPRESSION
AWARD WINNER
TORONTO:
Waqt-e-shahadat aur Muslim Ummah ka sirf
khokhla zabani dars dene aur naara
laganey waloun apney garebanoun mein
jhank kar dekho, hoshiar hojao aur apney aap ko waqt-e-azaab se bachao jo teezi
se qareeb aaraha hai. Phir koi is ki grifth se nahi bach sakey gaa.
Phir
na kehna hum ne batlaya nahi aur hoshiar nahi kia. Mein koi molvi ya mulla nahi
hoon bus ek aam sa insan hoon. Mein thora bohot
insaniat ka dard dil mein rakhta hoon. Mera qalam Allah ki taraf se
bakhshi hoi bohot bari taqat aur nemat hai. Mein ne Apni zindagi insaniat ke
liye waqf kar rakhi hai. Allah is ko qabool karey.
Aye
Muslim Ummah, ek taraf gumrahi tu dosri taraf zillat, ruswai aur jugrasai hai
aur isi liye hum pe sakht museebat ayi. Hum bhatak rahey hain andheroun mein
Allah ke chiragh Quran ki roshni hotay howey. Ye hamari badnaseebi nahi tu aur
kia hai.
Majbooroun,
mazloomoun aur ghariboun ki madad aur hifazat ko apna farz samajh kar aagey
barh ho. Ye Allah ka hukum hai aur Quran mein maujood lehaza is ko bajaa lao.
Hamari
haalat aur ghaflat ki wajha seAllah hum se sakht naraaz hai. Ab bhi waqt hai
hosh mein aao, sudhar jao aur samhal jao warna roast honay ke liye tayyar
hojao. Shukar ada karo ki Allah abhi bhi hum pe meherbaan hai kuyin ki woh
Rahman aur Raheem hai.
Aaj
Muslim Ummah itni ziada pareshan, zalil aur khuwar kiyun hai. Ye baat sub ko
pata aur sub jaante hain magar kabootar ki tarha sub ankhain bund kiye baithay
hain. Phir shamat nahi aye gee tu aur kia hoga mere bhaiyun aur behnoun.
Haq
tu ye hai ki hum ne haq ada na kia aur na he sabar ka daman thaam ke rakha.
Hum
ne bhula diya ki Surah Asr mein Allah ne qasam kha kar saaf saaf kehdiya ki
insan khasarey mein hai siwai unke jo haq pe rahay aur sabar kia.
Hum
Allah ko hazir wo nazir jaan kar batayein ki kia hum haq pe hain aur sabar
karney waloun mein se. Phir pareshan aur zalil wo khuwar kiyun na houn.
Yaqeenan hum khasarey mein hain.
Waqt-e-shahadat
ke liye har waqt tayyar tu sirf momin, sachey Musalman aur who loug jin ke
diloun mein khaufey Khuda aur mohabbat hoti hay chahey thori he kiyun na ho.
Hum
jis dagar aur raastey pe chal rahey hain wahan tu sawai andherey ke kuch nahi
hay. Is halat mein waqt-e-shahadat nahi waqt-e-azaab nazar aa raha hai aur woh
bhi bara azaab. Dhokey mein aur khush fehmi mein na raho kiyun ki yehi such aur
haqeeqat hai. Jahil aur jaali mulla tulla tu nachatey aur ghumatey rahain ge.
Inhi ki wajha se aaj ziada tar qaum gumrah hai. Ye mafia aur Ummah ke
dushmanoun ke agent hain,
Khudara
hosh mein aao aur sirf khud ko nahi balki tamaam mazloumoun, masoomoun,
majbooroun ko bachao. Hamarey kandhoun pe kul insaniat ki khidmat karney ki aur
unko dushmanoun se bachaney ki zimmadari hai.
Hum
sirf Khuda ki nafarmani he nahi kartey balki apni zaat aur dosroun pe bhi zulum
kartey hain.
Jahan
choti si neki Jannat mein lejai gee wahin choti si galti aur burai dozakh mein.
Mujhey
pukhta yaqeen hai ki 95 percent loug ye parhney ke baad hoodh hoosh karain ge
aur mera khoob mazaq urain ge. Urao aur khoob urao mere baap ka kia jaata hai. Aaj
hum murghay chargey roast kar rahey khoob masti mein magar kal tu roast honay
ki hamari baari ho gee. Phir kia karo gey bachoo.Sachi tauba hi hamain bacha
sakti hai.
Ye meri dua hai ki Allah Hum sub ko nek
hidayat de, hamari tamaam nek duwoun, nek khuwahishhaat, aur nek tamannaoun ko
qabool farma kar hamain baksh de. Hamain shaitaan se uske shar se aur tamam
burayoun aur gumrahiyoun se mahfooz rakhay.
Ya Allah hum sub ki tauba qabool farma kar
hamari madad farmai. Ya Allah hamari
ghaltiyun, gustakhiyoun aur bhool ko maaf kardey.
Tu
ne Quran ko ek chiragh bana kar bheja hai aur hum is ki roshni se mahroom
hain. Bajai is roshni se faida uthatey
hum sirf totey bun ke reh gai hain aur andheroun mein bhatak rahain hain. Hum
chiragh taley andherey mein hain. Ya Allah hamain Quran ki roshni naseeb kardey.
Jio
tu izzat ke sath aur sirf Allah ki raza aur insaniat ke liye jio. Shaheed kabhi
marta nahi is jazbey ke saath shahadat ke liye jio. Mut bhoolo ki Khuda hamarey
saath hai. Surah Nasr mein Allah ne fatah ki aur lohoun ke musalmaan honay ki
khush khabri suna di hai. Lehaza mayoos kabhi na ho. Allah pe bharosa rakho aur
ye roz parho sachey dil ke saath:
Bismillahey Tawakkalto Alal Lahey Wala Howla
Wala Quwwata Illa Billah. Apney aap ko Allah ke hawaley kardo aur phir dekha
kamal. Phir dekho kaisi hamari madad aur hifazat hoti hai.
Jo
Muslim Ummah aur mulk mein nasoor bun chukey hain aur Ummah , mulk aur qaum ko
loot ke, ghaddari kar ke tabah karna chahtey hain unka ilaj aur unki saza sirf
aur sirf MAUT hai. Faujiyoun ko sikhaya jata hai: Kill or be killed (Maaro ya
maro). Ye mujhey ek fauji afsar ne bataya hai.
JZ’S PROFILE: Founder of SHIR International Network (Serve
Humanity In Reality---SHIR), declared by Judges as one of 75 Finalist Best
Canadian Immigrants, an Honour for the Pakistani Community. Joined Journalism
Profession in 1974 (Daily `SUN’, Karachi) and still serving as a professional
journalist (2014). Javed Zaheer, Free Expression Award Winner (Awarded by
National Ethnic Press & Media Council of Canada—NEPMCC. Award presented by
Lieutenant-Governor of Ontario, Canada), Desi Idol Recognition Award Winner
(Presented by North American Desi Idol), Member/Honorary Director of NEPMCC,
Veteran Active Member (VAM) of Toronto Press Club, Ex-Member of The National
Club and The Ontario Club, Honorary Editor of English Weekly `Pakistan Abroad’,
Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `The Ambassador’, Canada,
ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `DAWN', Canada, ex-Senior
Sub-Editor of English Daily DAWN, Pakistan (From 1986-1999), Chairman, CANOPI,
Director of Children Dignity Foundation (CDF---Canada & Pakistan) and
Honorary Director, Canpak, Chamber of Commerce, and Honorary Director
Information, Pak Seniors Forum (PSF), is contributing purely on Voluntary and
Honorary Basis in order to serve all people and communities. Contact: jazamedia@hotmail.com
To read more JZ’s exclusive articles , please visit: nepmcc website (Editoria