Sunday, October 28, 2018

JZ'S ARTICLE: MUSLIM UMMAH HOSH MEIN AAO AB BHI WAQT HAI SAMBHAL JAO

MUSLIM UMMAH HOSH MEIN  AAO
AB BHI WAQT HAI SAMBHAL JAO
BY JAVED ZAHEER, FREE EXPRESSION AWARD WINNER
        TORONTO: Waqt-e-shahadat  aur Muslim Ummah ka sirf khokhla zabani dars dene  aur naara laganey waloun apney  garebanoun mein jhank kar dekho, hoshiar hojao aur apney aap ko waqt-e-azaab se bachao jo teezi se qareeb aaraha hai. Phir koi is ki grifth se nahi bach sakey gaa.
       Phir na kehna hum ne batlaya nahi aur hoshiar nahi kia. Mein koi molvi ya mulla nahi hoon bus ek aam sa insan hoon. Mein thora bohot  insaniat ka dard dil mein rakhta hoon. Mera qalam Allah ki taraf se bakhshi hoi bohot bari taqat aur nemat hai. Mein ne Apni zindagi insaniat ke liye waqf kar rakhi hai. Allah is ko qabool karey.
       Aye Muslim Ummah, ek taraf gumrahi tu dosri taraf zillat, ruswai aur jugrasai hai aur isi liye hum pe sakht museebat ayi. Hum bhatak rahey hain andheroun mein Allah ke chiragh Quran ki roshni hotay howey. Ye hamari badnaseebi nahi tu aur kia hai.
       Majbooroun, mazloomoun aur ghariboun ki madad aur hifazat ko apna farz samajh kar aagey barh ho. Ye Allah ka hukum hai aur Quran mein maujood lehaza is ko bajaa lao.
       Hamari haalat aur ghaflat ki wajha seAllah hum se sakht naraaz hai. Ab bhi waqt hai hosh mein aao, sudhar jao aur samhal jao warna roast honay ke liye tayyar hojao. Shukar ada karo ki Allah abhi bhi hum pe meherbaan hai kuyin ki woh Rahman aur Raheem hai.
Aaj Muslim Ummah itni ziada pareshan, zalil aur khuwar kiyun hai. Ye baat sub ko pata aur sub jaante hain magar kabootar ki tarha sub ankhain bund kiye baithay hain. Phir shamat nahi aye gee tu aur kia hoga mere bhaiyun aur behnoun.
Haq tu ye hai ki hum ne haq ada na kia aur na he sabar ka daman thaam ke rakha.
Hum ne bhula diya ki Surah Asr mein Allah ne qasam kha kar saaf saaf kehdiya ki insan khasarey mein hai siwai unke jo haq pe rahay aur sabar kia.
Hum Allah ko hazir wo nazir jaan kar batayein ki kia hum haq pe hain aur sabar karney waloun mein se. Phir pareshan aur zalil wo khuwar kiyun na houn. Yaqeenan hum khasarey mein hain.
Waqt-e-shahadat ke liye har waqt tayyar tu sirf momin, sachey Musalman aur who loug jin ke diloun mein khaufey Khuda aur mohabbat hoti hay chahey thori he kiyun na ho.
Hum jis dagar aur raastey pe chal rahey hain wahan tu sawai andherey ke kuch nahi hay. Is halat mein waqt-e-shahadat nahi waqt-e-azaab nazar aa raha hai aur woh bhi bara azaab. Dhokey mein aur khush fehmi mein na raho kiyun ki yehi such aur haqeeqat hai. Jahil aur jaali mulla tulla tu nachatey aur ghumatey rahain ge. Inhi ki wajha se aaj ziada tar qaum gumrah hai. Ye mafia aur Ummah ke dushmanoun ke agent hain,
Khudara hosh mein aao aur sirf khud ko nahi balki tamaam mazloumoun, masoomoun, majbooroun ko bachao. Hamarey kandhoun pe kul insaniat ki khidmat karney ki aur unko dushmanoun se bachaney ki zimmadari hai.
Hum sirf Khuda ki nafarmani he nahi kartey balki apni zaat aur dosroun pe bhi zulum kartey hain.
Jahan choti si neki Jannat mein lejai gee wahin choti si galti aur burai dozakh mein.
Mujhey pukhta yaqeen hai ki 95 percent loug ye parhney ke baad hoodh hoosh karain ge aur mera khoob mazaq urain ge. Urao aur khoob urao mere baap ka kia jaata hai. Aaj hum murghay chargey roast kar rahey khoob masti mein magar kal tu roast honay ki hamari baari ho gee. Phir kia karo gey bachoo.Sachi tauba hi hamain bacha sakti hai.
 Ye meri dua hai ki Allah Hum sub ko nek hidayat de, hamari tamaam nek duwoun, nek khuwahishhaat, aur nek tamannaoun ko qabool farma kar hamain baksh de. Hamain shaitaan se uske shar se aur tamam burayoun aur gumrahiyoun se mahfooz rakhay.
 Ya Allah hum sub ki tauba qabool farma kar hamari  madad farmai. Ya Allah hamari ghaltiyun, gustakhiyoun aur bhool ko maaf kardey.
Tu ne Quran ko ek chiragh bana kar bheja hai aur hum is ki roshni se mahroom hain.  Bajai is roshni se faida uthatey hum sirf totey bun ke reh gai hain aur andheroun mein bhatak rahain hain. Hum chiragh taley andherey mein hain. Ya Allah hamain Quran ki roshni naseeb kardey.
Jio tu izzat ke sath aur sirf Allah ki raza aur insaniat ke liye jio. Shaheed kabhi marta nahi is jazbey ke saath shahadat ke liye jio. Mut bhoolo ki Khuda hamarey saath hai. Surah Nasr mein Allah ne fatah ki aur lohoun ke musalmaan honay ki khush khabri suna di hai. Lehaza mayoos kabhi na ho. Allah pe bharosa rakho aur ye roz parho sachey dil ke saath:
   Bismillahey Tawakkalto Alal Lahey Wala Howla Wala Quwwata Illa Billah. Apney aap ko Allah ke hawaley kardo aur phir dekha kamal. Phir dekho kaisi hamari madad aur hifazat hoti hai.
Jo Muslim Ummah aur mulk mein nasoor bun chukey hain aur Ummah , mulk aur qaum ko loot ke, ghaddari kar ke tabah karna chahtey hain unka ilaj aur unki saza sirf aur sirf MAUT hai. Faujiyoun ko sikhaya jata hai: Kill or be killed (Maaro ya maro). Ye mujhey ek fauji afsar ne bataya hai.   
JZ’S PROFILE:  Founder of SHIR International Network (Serve Humanity In Reality---SHIR), declared by Judges as one of 75 Finalist Best Canadian Immigrants, an Honour for the Pakistani Community. Joined Journalism Profession in 1974 (Daily `SUN’, Karachi) and still serving as a professional journalist (2014). Javed Zaheer, Free Expression Award Winner (Awarded by National Ethnic Press & Media Council of Canada—NEPMCC. Award presented by Lieutenant-Governor of Ontario, Canada), Desi Idol Recognition Award Winner (Presented by North American Desi Idol), Member/Honorary Director of NEPMCC, Veteran Active Member (VAM) of Toronto Press Club, Ex-Member of The National Club and The Ontario Club, Honorary Editor of English Weekly `Pakistan Abroad’, Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `The Ambassador’, Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `DAWN', Canada, ex-Senior Sub-Editor of English Daily DAWN, Pakistan (From 1986-1999), Chairman, CANOPI, Director of Children Dignity Foundation (CDF---Canada & Pakistan) and Honorary Director, Canpak, Chamber of Commerce, and Honorary Director Information, Pak Seniors Forum (PSF), is contributing purely on Voluntary and Honorary Basis in order to serve all people and communities. Contact: jazamedia@hotmail.com To read more JZ’s exclusive articles , please visit: nepmcc website (Editoria

No comments:

Post a Comment