Wednesday, October 31, 2012

QURAN SAY MADAD HASIL KARO



QURAN SAY MADAD, NASEEHAT AUR
ALLAH KI HIDAYAT HASIL KARO

BY JAVED ZAHEER, FREE EXPRESSION AWARD WINNER

            TORONTO: Hum Bohot Mushkil Samajhtay Thay Quran Aur Allah Kay Paigham Ko Magar Jub Lena Shuroo Ki Dilchaspi Aur Ek Ek Surat Ko Ghaur Se Parhna Shuroo Kia Tu Allah Ka Paigham Saaf Saaf Samajh Aanay Laga. Choti Choti Suratoun Se Shuroo Kia Taki Mushkil Aur Ghabrahat Na Ho Aur Dilchaspi Barhti Jai. Ye Formula Kamyab Raha.
            Tilawat Karna Bohot Achi Baat Aur Sawab Ka Kaam Hai Lekin Allah Khud Kehta Hai Quran Mein Ki Quran Ko Thora Thora Magar Bohot Samajh Kay Parho. Bohot Aasani Aur Khoobsoorti Say Allah Nay Samjhaya Hai Hamain Bus Sirf Dilchaspi Lenay Aur Bunyadi Baat Samajhnay Ki Zaroorat Hai. Is Kay Liye Aalim, Mulla Ya Scholar Honay Ya Bannay Ki Zaroorat Nahi Hai.
            Quran Ke Zariye Sub Say Pehle Allah Dua Maangna Sikhata Hai Aur Batata Hay Ki Kin Logoun Ke Raastay Pe Chalo. Kehta Hai Oon Logoun Ke Raastay Pe Chalo Ki Jin Pe Na Kabhi Allah Ka Ghazab Nazil Huwa Aur Na Wo Bhatkay. Sura Al-Fateha Aik Behtareen Misaal Hai.
            Total 114 Surat Hain Jin Ke Zariye Allah Nay Saaf Saaf Achay Aur Buray Logoun Ki Pehchaan Aur Tameez Karai Hai Aur Bataya Hai Ki Oon Ke Saath Kia Sulook Hoga Aur Kiyun Hoga. Bataya Hai Ki Unka Anjaam Kia Hoga.
            Hum Se Pehle Jo Loug Aur Qaumain Theen Unkay Saath Kia Kiya Ye Bhi Batla Diya Hai. Jin Logoun Nay Allah, Oos Kay Paigham, Oos Kay Messengers (Paighambar Aur Nek Bandey), Haq Aur Sachai Ko Jaan Boojh Kar Jhutlaya Aur Khilafwarzi Ki, Allah Kay Chahnay Waloun Ko Pagal Aur Jadoogar Kaha, Unkay Saath Zulum Aur Sitam Kiya Aur Unko Mar Diya Ya Maarnay Ki Koshish Ki Tu Allah Nay Kaisay Apnay Ghazab Ke Zariye Unko Tabah Wo Barbad Kar Diya Aur Kaisay Apnay Nek Bandoun Ki Madad Aur Hifazat Ki.
            Allah Kehta Hai Ki Budkar Aur Buray Loug Wo Hain Jo Naafarmaan, Sarkash Aur Zalim Hotay Hain Aur Burai, Gunah Aur Zulum Ki Had Par Kartay Hain, Dunya Mein Fasad Paida Kartay Hain Aur Nek Aur Kamzor Logoun Ka Jeena Haram Kartay Hain.
            Buray Loug Yateemoun, Miskinoun, Ghariboun Aur Zaroorat Mundoun Ko Unka Haq Nahi Detay Aur Na Unki Madad Kartay Hain Aur Na Unka Khayal Rakhtay Hain. Wo Kamzor Logoun Pe Zulum Kar Kay Aur Unka Haq Maar Kay Bohot Khoosh Hotay Hain. Naap Taul Aur Insaf Sahi Nahi Kartay.
            Ye Loug Qayamat Ke Din Aur Aakhirat Ke Roz Pe, Maut Aur Marnay Ke Baad Dobara Zinda Kiyay Jaanay Pe, Saza Aur Jaza Pe Aur Allah Ki Haqeeqat Aur Taaqat Aur Uskay Ghazab Aur Azaab Pe Yaqeen Nahi Rakhtay. Isi Liyay Wo Allah Se Nahi Dartay Aur Allah Aur Sachai Ko Hamesha Jhutla Tay Hain.
            Allah Kehta Hai Ki Bus Yehi Loug Budkar Aur Buray Hain Aur Jahannum Mein Jayen Gay. Wahan Unkay Liye Bharakti Aur Dahekti Hui Bhayanak Aag Hogi, Peenay Ke Liye Bohot Kholta Huwa Garam Paani Aur Peep Hoga, Budtareen Khana Hoga Aur Dosray Bohot Sarey Azaab Hongay. Jis Nay Jaisa Kia Hai Amal Dunya Mein Uskay Saath Waisa Hi Sulook Hoga Aakhirat Mein Kiyun Ki Allah Bara Insaf Karne Wala Hai.
            Achay Loug Wo Hain Jo Allah Pe Aankh Bund Kar Ke Yaqeen Rakhtay Hain, Oos Say Dartay Hain, Uski Baat Maantay Hain, Uski Ibadat Kartay Hain Aur Uskay Bandoun Ka Bohot Khayal Rakhtay Aur Unki Har Tarha Say Madad Kartay Hain.
            Allah Kehta Hai Yehi Loug Nek Aur Achey Hain Aur Jannat Mein Jayen Gay. Wahan Unkay Liye Behtareen Intizam Hoga, Khoobsurat Hoorain Aur Larkay Hongay, Shandar Takht Hongay Jin Kay Neechay Nehrain Behrahi Hongi, Khanay Aur Peenay Ke Liye Behtareen Phal Aur Gosht Hoga Aur Aisi Sharab Hogi Jis Say Na Sar Mein Dard Hoga Aur Na Aqal Mein Fatoor Aye Gaa.
            Jo Wo Chahain Gay Wo Allah Unko De Gaa. Unki Har Khuwahish Aur Tamanna Puri Hogi Har Tarha Say Kiyun Ki Unhoon Nay Sirf Aik Allah Pe Yaqeen Aur Bharosa Kiya Aur Allah Kay Liyay Hi Jiyay Aur Maaray Aur Uski Baat Maani Aur Uskay Saath Kisi Ko Shareek Nahi Kiya.
            Allah Kehta Hai Ki Qayamat Zaroor Aye Gi Aur Akhirat Kay Roz Sub Dobara Zinda Kiyay Jayengay Aur Jama Kiyay Jayengay. Unkay Haath Mein Unkay Aamaal Namay Pesh Kiyay Jayengay. Jo Nek Hongay Unko Dahinay (Seedhay) Haath Mein Diyay Jayengay Aur Jo Budakar Aur Buray Loug Hongay Unko Bayen (Ultay) Haath Mein Diyay Jayengay. Is Tarha Do (Two) Groups Banayay Jayengay---Neeki Aur Badee Kay.
            Allah Kehta Hai Ki Oos Din Teenh (Three) Groups Banayay Jayengay. Aik Group Anbiya Aulia Aur Momin Logoun Ka Hoga (VIPs), Aik group Nek Logoun Ka Hoga Aur Aik Group Budkar Aur Buray Logoun Ka Hoga. Pehlay Do (Two) Groups Jannat Mein Jayengay Aur Akhri Group Jahannum Mein.
            Ab Ye Hamaray Upar Hai Ki Hum Kaunsay Group Mein Jaana Pasand Karengay---Second Ya Third. Allah Ne Hamain Raasta Aur Tarika Bataa Diya Hai Aur Choose Karnay Ke Liyay Options De Diyay Hain. Inko Samajhnay Kay Liyay Aqal Aur Samajh De Di Hay.
            Mukhtalif Suratoun (Surats) Mein Allah Ne Apni Tareef Aur Haqeeqat Khoob Achi Tarha Khul Kay Bayan Kardi Hai. Kitni Cheezoun Ki Qasmain Khai Hain. Kis Kis Tarha Insan Aur Jin Donoun Ko Samjhaya Hai.
            Sura Rehman Mein Allah Nay Saaf Saaf Insan Aur Jin Donoun Saye Bola Hai Ki Tum Meri Kaun Kaun Si Nematoun Ko Jhutlao Gay. Hamain Samajhnay Ke Liye Aur Kiya Chahiyay. Allah Ne Khoob Naseehat Aur Hidayat Ki Hai Quran Aur Dosri Aasmani Kitaboun Ke Zariyay.  
            Magar Insan Hai Ki Allah Ko Bhool Kar Shaitan Ke Saath Hojata Hai. Jub Waqt Parta Hai Tub Allah Ko Yaad Karta Hai Aur Uskay Aagay Girgirata Hai. Jub Kaam Nikal Jata Hai Phir Shaitan Ki Goud Mein Jaa Kar Beth Jaata Hai.
            Allah Kehta Hai Ki Dunya Faani Hai. Qayamat Zaroor Aye Gi Aur Sif Allah Hi Jaanta Hai Ki Kub Aye Gi. Akhirat Ke Roz Qayamat Jub Aye Gi Tu Aasman Phat Jaye Gaa, Taaray Toot Jayen Gay, Pahar Chalna Shuroo Hojayen Gay Aur Rooyi (Cotton) Ki Tarha Oor Rahay Hongay, Samandar Ubal Parey Gaa Aur Zamin Sub Kuch Ugal De Gi Jo Uskay Andar Hai. Sub Kuch Waisay Hi Hoga Jaisay Quran Aur Aasmani Kitaboun Mein Allah Ne Batla Diya Hai. Bhaley Jhutlanay Waley Jhutlatay Rahen. Yehi Haqeeqat Hai.
            Lougoun Aur Qaumoun Pe Apne Ghazab Aur Azaab Ke Zariye Allah Nay Qayamat Ki Nishaniyan Batla Di Hain. Afsos Phir Bhi Insan Nahi Samajhta Aur Dheet Bun Kar Jhutlata Hai Aur Budkari Aur Burai Mein Had Se Ziada Guzar Jaata Hai.
            Allah Kehta Hai Zalimoun, Budkar Aur Buray Logoun Ko Unkay Haal Par Chor Do. Wo Nahi Sudharnay Waley. Hum Nay Unko Dheel Di Hui Hai Aur Hum Hi Unsay Nimat Lain Gay. Hum Khoob Nimatna Jaantay Hain. Tum Sirf Naseehat Karo Jo Tumhara Kaam Hai. Hidayat Dena Allah Ka Kaam Hai.
            Jo Bhi Achay Loug Hain (Ghair Muslim) Unkay Ka Saath Achi Tarha Sulook Karo Aur Pesh Aao. Unko Tung Mut Karo. Jo Budkar Aur Buray Loug Hain, Allah Ko Jaan Boojh Kar Nahi Maantay Aur Logoun Pe Zulum Kartay Hain Unkay Khilaf Kharey Hojao Aur Unsay Jum Kar Muqabla Karo. Logoun Ko Unkay Zulum, Budkari  Aur Burai Say Bachao.
            Beshak Allah Bari Shan Wala Aur Sub Se Ziada Taqatwar Hai, Ghaib Ka Malik Hai, Rabbul Aalamin Hai, Rehman Aur Rahim Hai. Samjho Tu Wohi Sub Kuch Hai. Na Uski Koi Aulad Hai Aur Na Wo Kisi Ki Aulad. Wo Har Cheez Pe Qadir Hai.
            Agar Hum Ye Sub Baatain Jaan Lain, Samajh Kar Maan Lain Tu Koi Hamain Na Behka Sakta Aur Naa Bhatka Sakta Hai. Shart Ya Hai Ki Hum Allah Ko Samjhain Aur Uski Maanain Bajai Ghair Allah Ya Dhongi Mulla Ke Peechay Peechay Chalain.
            Shaitan Dhongi Mulla, Aalim, Pir, Faqir Aur Kai Roop Mein Insan Aur Jin Donoun Ko Bohot Behka Aur Bhatka Raha Hai Aur Nuqsaan Pohncha Kar Jahannum Ki Taraf Le Jaa Raha Hai. Hamain Aqal Se Kaam Lekar Aur Quran Ke Batayay Huway Raastay Pe Chal Kar Shaitan Aur Uskay Shar Se Bachna Hai.
            Allah Quran Ke Zariye Hamari Madad Kar Raha Hai. Ye Wo Rassi Hai Jisay Hamain Mazbooti Se Pakar Ke Rakhna Hai. Quran Say Madad, Naseehat Aur Allah Ki Hidayat Hasil Karo. Yehi Nijaat Ka Zariya Hai.
             Beshak Allah Bara Madadgar Hai Aur Rahem Karnay Wala Hai. Hamesha Allah Pe Bharosa Rakho Aur Nek Aur Achay Kaam Karnay Ki Niyat Aur Koshish Karo.
            ---Javed Zaheer (JAZA/JAYZEE/JZEE), Free Expression Award Winner, Desi Idol Recognition Award Winner, Member/Honorary Director of NEPMCC, Veteran Active Member (VAM) of Toronto Press Club, Ex-Member of The National Club and The Ontario Club, Honorary Editor of English Weekly `Pakistan Abroad’, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `The Ambassador’, ex-Senior Sub-Editor of English Daily DAWN, Pakistan, Chairman, CANOPI, and Director, Canpak Camber of Commerce, is contributing purely on Voluntary and Honorary Basis in order to serve all people and communities. Contact: (416)696-0981/jazamedia@hotmail.com. To read more JZ’s exclusive articles, please visit the following websites: www.letstree.com (Pressing needs section), nepmcc.ca  and nationalethnicpress.com  (Home Pages & Editorial Sections. Scan years from 2004 to 2011.
           

No comments:

Post a Comment