JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER FORTYFIVE (45)
MEIN
AUR MEI SE BACHO
BY JAVED ZAHEER
Meikhanay
Se Sub Ne Mujhko Aisa Daraya
Ki
Mei Ko Kabhi Dost Mein Ne Na Banaya
Mei
Miqdar Mein Piyo Tu Deti Hai Suroor
Hud
Se Ziada Piyo Tu Karti Paida Fatoor
Chaska
Is Zalim Ka Jis Ke Moo Lag Jaye
Wo
Jata Kaam Se Phir Sambhal Na Paye
Bhool
Jaata Hai Sub Rishtoun Ki Pehchaan
Aisa
Bana Deti Hai Mei Sharabi Ko Shaitan
Har
Aurat Mein Nazar Aata Hai Usko Shabab
Isi
Liye Tu Mei Ko Samjha Jaata Hai Kharab
Ye
Tu Thi Kahani Mei Aur Meikhanay Ki
Aao
Baat Karain Ab Mein Aur Zamanay Ki
Mein
Paida Karti Hai Insan Mein Gharur
Bana
Ke Zalim Usay Karti Allah Se Dur
Firoun
Wo Namrood Jub Huwe Mein Ka Shikar
Allah
Ne Di Saza Unhain Kia Zalil Wo Khuwar
Jitne
Bhi Loug Huwe Mein Mein Mubtala
Sub
Ki Huwi Pakar Un Sub Ko Mili Saza
Mei
Ka Nasha Tu Sharabi Banata Hai
Kuch
Der Rehta Phir Utar Jaata Hai
Mein
Ka Nasha Auqaat Bhulata Hai
Gumrah
Karta Aur Tabahi Lata Hai
Mei
Aur Mein Donoun Hain Nafs Ke Yaar
Qaboo
Paalo Nafs Pe Tu Hojain Ye Bekar
Is
Zalim Nafs Ne Kia Gul Na Khilaya
Iblis
Ko Bhi Behka Ke Shaitan Banaya
Isi
Ne Adam Ko Jannat Se Nikal Waya
Shaitan
Ki Hai Nafs Se Pakki Yaari
Nafs
Hi Asal Dushman Hai Hamari
Jinsi
Wo Dunyavi Khuwaish Nafs Se Tu Hai
Allah
Aur Roohaniat Si Dori Nafs Se Tu Hai
Gar
Karlo Tum Apni Nafs Pe Qaboo
Tu
Hojao Ge Kamyaab Aur Surkroo
Shaitan
Ko Tum Kabhi Kamzor Na Samjho Bhai
Is
Nay Insan Ko Behkanay Ki Hai Qasam Khai
Jalta
Insan Se Hai Jub Se Mili Rusvaayi
Bachna
Shaitan Se Hai Tu Bacho Nafs Se Bhai
Nafs
Ke Shar Ne Hai Dunya Mein Aag Lagai
Phaila
Ke Nafrat Isi Ne Dushmani Karai
Isi
Ki Wajah Se Horahi Hai Sari Tabahi
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER FORTYFOUR (44)
GHULAMI
SE CHUTKARA
AZADI CHAHIYE
BY JAVED ZAHEER
Bun
Ke Farishtay Dhoka Dete Hain Ye Shaitan
Aisay
Miley Leader, Hukmaran Aur Siasatdan
Unki
Batoun Mein Aakar Loug Karte Dhamal
Aisa
Nacha Te Logoun Ko Ye Sianay Dajjal
Dekhatay
Subz Bagh Aur Banate Khoob Maal
Bichaa
Ke Aisa Khatarnnaak Qisim Ka Jaal
Kamal
Tu Ye Ki Jaante Hain Sub Unki Chaal
Tab
Bhi Jhuka Ke Sir Unhi Se Mundwate Baal
Pitay
Hain Wo Sub Lahu Aur Nochtay Khaal
Nikala
Kachumar Qaum Ka Kardiya Badhaal
Nazar
Aata Nahi Dur Tak Koi Mai Ka Laal
Jo
Bun Ke Qaum Ki Dhaal Karey Inse Sawal
Murda
Qaum Ka Hota Hai Yehi Anjaam
Jis
Ka Dil Chahta Banata Inhain Ghulam
Kahan
Ke Tum Sher Ho Aur Kaisay Sapoot
Sianay
Dajjal Ke Dar Se Kar Dete Ho Mooth
Kahanian
Kaana Dajjal Ki Sunatay Ho Tum
Sianay
Dajjaloun Se Kub Jaan Churao Ge Tum
Bharosa
Karo Tum Rahman Aur Raheem Par
Wohi
Bachai Gaa Tumhain Is Sarzameen Par
Na
Daro Na Peeth Dikhao In Zalimoun Ko
Karo
Himmat Aur Bhagao In Zalimoun Ko
Kaam
Hai Mushkil Par Anjam Dena Hoga
Warna
Ghulami Ka Tauq He Pehnaa Hoga
Kitney
Lougon Ne Qabza Kiya Hindustan Par
Na
Hotay Ghulam Gar Rakhtay Apni Khabar
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER FORTYTHREE (43)
KHUDGARZ
INSAN
BY JAVED ZAHEER
Kiyun Milay Hamain Jannat Kia
Kaam Kia Hum Ne
Rahe Khudgarz Na Farman Yehi
Kaam Kia Hum Ne
Yun Umar Barbad Ki Kia Waqt Ka
Ziyan Hum Ne
Rahe Dhokay Mein Kub Razi Kia Khuda
Ko Hum Ne
Jo Kuch Kia Jannat KamanayAur
Mafaad Ke Liye
Dua Ke Wastay Uthay Haath Apni
Zaat Ke Liye
Karte Jub Ibadat Tu Maqsad Koi
Apna Hota
Parti Jub Sir Par Tu Sirf Tauba
Ke Liye Rota
Bun Jaati Jo Bigri Baat Tu
Dekhata Apni Zaat
Badalta Hai Tewar Dekh Kar Waqt
Aur Halaat
Bohot Kum Hain Jo Khuda Ke Nek
Bunday Hain
Zindagi Waqf Wo Sirf Allah Ke
Liye Kartay Hain
Makhlook Se Pyar Aur Rab Se
Dartay Hain
Allah Ki Raza Ke Liye Jeetay
Martay Hain
Har Koi Bun Nahi Sakta Azeem
Insan Aisa
Jhuka Sakta Nahi Inko Koi Dewta
Na Paisa
Asaan Hai Bohot Hindu Aur
Musalmaan Hona
Mushkil Hai Bohot Momin Aur
Insaan Hona
Momin Ka Dil Ayinay Ki Tarha
Saaf Hota Hai
Rehta Hai Khuda Oos Mein Mun Pak
Hota Hai
Oos Ke Ayinay Mein Dekh Kar Khud
Ko Sanwaro
Na Phiro Dar Dar Bhataktay Sirf
Rab Ko Pukaro
Dil Ko Bana Ke Mandir Khuda Se
Rishta Jor Lo
Kar Ke Mun Ko Pak Shaitan Se
Rishta Tor Lo
Gunah Se Kar Ke Tauba Burai Se
Moo Mor Lo
Nafratoun Ko Mita Kar Saath Sub
Ko Le Ke Chalo
Rehtay Nahi Thay Pyar Se Kia
Hindu Musalmaan
Phir Kis Ne Ki Paida Dushmaani
Banaya Haiwan
Aaj Nafratoun Ki Aag Mein Jal
Rahe Hain Sub
Paapi Tu Yehi Chahta Hai
Samjhain Ge Baat Kub
Khatam Karo Sub Nafratain Aqal
Se Kaam Lo
Hum Sub Hain Bhai Bhai Insaniyat
Ka Naam Lo
Mohabbat Se He Ho Sakti Hai
Khatam Nafrat
Phir Dekho Dekhati Hai Kia Pyar
Ki Taqat
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER FORTYTWO (42)
SOONCH MEIN INQILAB
PAIDA KAR
BY JAVED ZAHEER
Wo
Jo Samajhte Hain Firoun Aur Khuda Khud Ko
Khauf
Aata Hai Dekh Kar Anjaam Inka Mujh Ko
Phairtay
Hain Moo Zalim Khalq Aur Khuda Se
Kartay
Hain Sub Hadain Par Dartay Nahi Saza Se
Kaash
Samajh Lete Kitna Asan Hai Khuda Ke Liye
Mazloom
Ki Dua Hi Kafi Hoti Inki Fanaa Ke Liye
Wo
Samajh Ke Bhi Sudharna Nahi Chahtay Hain
Dubay
Apni Taqat Ke Nashay Mein Rahtay Mein
Inka
Muqaddar Tu Jhannum Aur Sakht Azab Hai
Peenay
Ke Liye Peep Tu Jalnay Ke Liye Aag Hai
Haan
Jaan Lo Maan Lo Inko Khoob Pehchaan Lo
Choro
In Sub Ka Saath Haath Mein Sirf Quran Lo
Allah
Khud Kehta Ki Wo Rehman Aur Raheem Hai
Wohi
Rabbul Alamin Aur Malikay Yaumiddeen Hai
Bismillah
Aur Sura Fateha Mein Jis Pe Zor Dala Hai
Wo
Bara Meherban Nihayat Rahem Karne Wala Hai
Gar
Samajh Gai Allah Ki Is Shan Aur Haqeeqat Ko
Tu
Samajh Lo Ge Quran Aur Allah Ki Naseehat Ko
Na
Dara Pai Ga Koi Zalim Na Chaley Gi Makkari
Jis
Ke Saath Ho Rab Wohi Hoga In Sub Pe Bhari
Hamain
Qaum Ko Jagana Kirdar Banana Hoga
Sub
Se Pehle Inqilab Soonch Mein Lana Hoga
Tab
Hoga Yaqeen Paida Khud Aur Khuda Mein
Lehrai
Gaa Parcham Haq Ka Phir Hawa Mein
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER FORTYONE (41)
MOHABBAT
AUR WAFA
BY JAVED ZAHEER
Gar
Karte Hum Mohabbat Aur Wafa Sabh Se
Phairtay
Na Moo Waqt Aur Zamana Hum Se
Yehi
Andaz Hai Qudrat Ka Sabaq Dene Ke Liye
Hosh
Mein Laanay Aur Saza Dene Ke Liye
Wo
Shohrat Jisko Hum Izzat Samajte Rahay
Mili
Khak Mein Jub Nikli Zamin Paon Talay
Aaj
Hum Kia Hain Ye Humhi Jantay Hain
Suntay
Hain Subki Na Bura Maantay Hain
Gar
Samaj Lia Hota Tu Aaj Yun Na Rotay
Kar
Ke Neki Aur Bhalai Kuch Gunah Dhotay
Karam
Hai Uska Ki Sirf Bataya Hay Hamain
Zindagi
Barbaad Kar Ke Na Rolaya Hai Hamain
Mauqa
Dia Hai Tauba Karne Hosh Mein Aane Ka
Sub
Se Wafa Karne Aur Wada Nibhanay Ka
Izzat
Karne Se Hee Milti Hai Izzat Aur Shohrat
Isi
Se Paida Hoti Hai Sub Se Sachi Mohabbat
Aaj
Agar Hum Ye Samaj Lain Aur Jaan Lain
Dost
Aur Dushman Ki Kar Khoob Pehchan Lain
Tu
Phir Waqt Aur Zamana Hojai Hamare Saath
Dekhtay
Hi Dekhtay Bunjayain Gi Sub Bigri Baat
Bus
Itni Si Baat Ko Na Hum Samaj Pa Rahay Hain
Chor
Dakoo Lootayroun Ko Bar Bar La Rahay Hain
Khud
Bun Ke Bay Bus Na Kuch Kar Pa Rahay Hain
Bun
Ke Bekhari Bachi Khuchi Izzat Loota Rahay Hain
Haan
Bhool Gai Tum Se Jo Kal Kahi Gai Thi Baat
Isi
Liye Tu Kha Rahay Ho Sub Se Laat Aur Maat
Yaad
Rakho Ye Baat Tu Khuda Bhi Dega Saath:
“Ki
Muhammad Se Wafa Tu Nay Tu Hum Tere Hain
Ye
Jahan Cheez Hai Kia Loh-O-Qalam Tere Hain”
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER FORTY (40)
KHOTA RAJ AUR GHULAMI
BY JAVED ZAHEER
Na Hum Rehtay Sotay Na Raj
Kartay Aaj Khotay
Gar Hosh Mein Rehtay Tu Na Do
Tukray Hotay
Sambhala Na Mulk Ko Tu Phir
Kiyun Hain Rotay
Hamari Waja Se Hi Aish Kar Rahe
Sarey Khotay
Ab Bhi Waqt Hai Sambhalnay Hosh
Mein Aanay Ka
Utha Ke Danda Maar Ke Khotoun Ko
Bhaganay Ka
Nahi Kaam Banay Ga Sirf Aansoo
Bahanay Se
Ye Masla Na Hal Hoga Moo Mornay
Chupanay Se
Jaan Chotay Gi Sirf Hosh Aur
Harkat Mein Aanay Se
Warna Rok Paaye Ga Na Koi
Ghulami Mein Janay Se
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER THIRTYNINE (39)
NAZAR KA KAMAL
BY JAVED ZAHEER
Yun Nazar Se Nazar Jub Milai Oos
Ne
Ki Aankhon Se Dil Tak Rasai Oos
Ne
Ghazab Ki Kashish Bala Ki Roshni
Thi
Uski Nazar Mein Roohaniat Itni
Thi
Dil Ko Roshan Shama Ki Tarha
Kardiya
Mohabbat Aur Khuloos Se Dil
Bhardiya
Jub Dil Ke Ainey Mein Dekhi
Tasveer Apni
Uski Nazar Se Badal Te Dekhi
Taqdeer Apni
***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER THIRTYEIGHT (38)
UROOJ AUR ZAWAL
BY JAVED ZAHEER
Jub
Urooj Hota Hai Tu Zawal Nazar Nahi Ata
Apne
Siwa Dosroun Ka Kamal Nazar Nahi Ata
Khud
Se Karte Mohabbat Auroun Ka Khayal Nahi Ata
Khud
Parasti Mein Hai Tabahi Sarasar
Is
Baati Se Unko Sabaq Kiyun Nahi Ata
Karte
Hain Hum Bhi Tum Se Pyar
Tum
Ko Magar Aitbaar Kiyun Nahi Ata.
***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER THIRTYSEVEN (37)
SACHAY DOST
BY JAVED ZAHEER
Yun
Tu Bohot Miltay Hain Waqt Guzarnay Waley
Kum
Miltay Hain Magar Loug Samhalnay Waley
Hotay
Hain Wo Qeemti Heeray Moti Se Bhi Ziada
Rakhtay
Khayal Bohot Karte Hain Sacha Waada
Insan
Ki Haisiyat Nahi Haqeeqat Ko Dekho
Insaniyat
Dekhni Hai Tu Sharafat Ko Dekho
Jin
Mein Hoti Sharafat Wo Shararat Nahi Kartay
Hotay
Wohi Sachay Dost Jo Aik Dosray Pe Martay
Aisay
Hi Saathi Aur Dost Talash Karo
Yunhi
Har Airay Ghairay Pe Na Bharosa Karo.
***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER THIRTYSIX (36)
SHAITAN AUR
MULLA
BY JAVED ZAHEER
Ek
Din Ghussey Mein Nazar Aya Shaitan
Bola
Kiyun Karte Ho Mulla Ko Pareshan
Mulla
Se Tu Hai Meri Pakki Dosti Yaari
Phailata
Hai Jo Khoob Fitnoun Ki Bimari
Deta
Hai Har Ek Baat Pe Faurun Fatwa
Anjaam
Ki Hoti Nahi Koi Isko Parwa
Larana
Aur Bhatkana Hai Iska Shewaa
Loot
Ta Hai Logon Ko Khata Hai Mewa
Aurat
Chahiye Isko Talaq Shuda Ya Bewa
Harap
Kar Jata Hai Sub Samajh Kar Halwa
Jo
Chahiye Karey Halal Jub Chahe Halala
Hujre
Mein Jub Mil Jaye Karle Moo Kala
Dikhta
Jo Allahwala Bari Cheez Hai Sala
Tasbeeh
Hoti Haath Mein Jhabta Meri Mala
Allahwaloun
Se Nahi Karta Mein Dushmani
Banta
Wohi Mulla Jo Karta Money Money
Jub
Dekho Maangta Rehta Hai Bus Paisa
Lagaya
Mein Ne Isko Bura Chaska Aisa
Easy
Money Ki Dali Lath Banaya Lazy
Mili
Jub Aish Tu Bana Anal-Sex Crazy
Hota Hai Ye Bohot Ziada Ayyar Makkar
Isi Liye Tu Samajhta Hoon Isko
Rishtedar
Allah Se Kia Mein Ne Jo Karne Ka
Wada
Mulla Ne Dia Saath Is Kaam Mein
Ziada
Ab Tu Mein Bay Fikar Sukoon Se
Hoon
Mulla Ne Di Fursat Aaram Tu Kar
Loon
***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER THIRTYFIVE (35)
AZAN AND QURAN
BY JAVED ZAHEER
Poocha
Kisi Ne Kia Kehta Hai Quran
Kaha
Mein Ne Sun Lo Ghaur Se Azan
Samajh
Aye Ga Ghaur Karne Se Paigham
Quran
Ki Tarjumani Hai Is Mein Tamaam
Adam
Se Muhammad Ne Kia Yehi Kaam
Kaha Allah Hu Akbar Lia Allah Ka Naam
Bola
Sub Se Kaho Sirf La Ilaha Illallah
Nahi
Ibadat Ke Laiq Koi Magar Sirf Allah
Kaha
Allah Ne Wohi Hai Aik Aur Beniaz
Laiq
Sajda Ke Wohi Karo Qaim Namaz
Na
Oos Ki Koi Na Wo Kisi Ki Aulad Hai
Nahi
Koi Oos Se Bara Malik Wo Subka Hai
Allah
Hi Rehman Allah Hi Raheem Hai
Allah
Hi Sirf Malik-e-Yaumuddin Hai
Hum
Usi Ke Bande Usi Se Maang Te Hain
Nahi
Mohtaj Kisi Ka Hum Ye Jaante Hain
Ziada
Tar Quran Mein Bataya Apna Kamal
Teeswain
Parey Mein Dikhlaya Apna Jalal
Phir
Bhi Ye Musalmaan Karte Nahi Khayal
Allah
Se Dor Karta Hai Mulla Bicha Ke Jaal
Hoti
Majal Logoun Ki Nahi Maante Quran
Baat
Karte Allah Ki Dete Mulla Pe Jaan
Yun
Huwe Dor Jub Quran Se Musalmaan
Allah
Ko Ghussa Aya Dikhai Apni Shaan
Isi
Liye Ro Raha Mar Raha Hai Musalmaan
Mulla
Tu Chala Ta Rahey Gaa Apni Dukan
Hosh
Mein Aao Bhat Ke Huwe Musalmaan
***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER THIRTYFOUR (34)
LOVE AND LUST
BY JAVED
ZAHEER
Kisi
Ko Pyar Tu Kisi Ko Qarar Chahiye
Kisi
Ko Dil Tu Kisi Ko Deedar Chahiye
Hojaye
Deedar Tu Milta Hai Qarar
Miljayain
Dil Tu Hota Hai Pyar
Jub
Bhi Tum Kisi Se Pyar Karo
Sachey
Dil Se Beshumar Karo
Rab
Se Ya Sab Se Tum Karo Sirf Pyar
Bacho
Is Lust Se Hai Karta Jo Bimar
Kehte
Hain Ki Love Andha Hota Hai
Haqeeqat
Mein Lust Andha Karta Hai
Love
Izzat Aur Qadar Karata Hai
Lust
Izzat Ki Dhajjiyan Urata Hai
Love
Bandey Ko Insan Banata Hai
Lust
Insan Ko Shaitan Banata Hai
Love
Ka Darja Ibadat Ka Hota Hai
Lust
Beej Burey Amal Ka Bota Hai
Sacha
Love Hota Sirf Ek Nazar Mein
Nahi
Ye Quwwat Maal Wo Zar Mein
Love
Mein Lut Ta Nahi Milta Qarar Hai
Lust
Mein Rehta Bechain Beqarar Hai
Ajab
Fitrat Hai Hazrat-e-Insan Ki
Maangta
Allah Se Sunta Shaitan Ki
Tamanna
Karta Hai Love Ki
Harkatein
Karta Hai Lust Ki
Adam
Ko Di Hawwa Kia Dor Gandum Se
Love
Thi Hawwa Tu Lust Tha Gandum Se
Hai
Baat Samajh Ne Ki Love Aur Lust Ko
Love
Ko Banao Dhaal Dor Rakho Lust Ko
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER THIRTYTHREE (33)
KIRDAR AUR SAMAAJ
BY
JAVED ZAHEER
Jo
Chahte Ho Izzat Tu Samjho Ye Baat
Milti
Hai Izzat Bari Mushkil Ke Saath
Yun
Hi Nahi Milti Samaaj Mein Izzat
Karna
Parta Hai Iske Liye Kafi Mehnat
Banana
Parta Hai Bohot Acha Kirdar
Batana
Parta Ki Ho Nek Samajhdar
Dikhana
Parta Hai Bun Ke Zimmedar
Mukhlis
Bhi Imaandar Aur Wafadar
Asaan
Nahi Banana Apni Pehchan
Waqt
Leta Hai Bohot Sakht Imtihan
Aise
Mein Hi K2aam Aata Acha Kirdar
Ya
Achey Dost Yaar Aur Rishtadar
Na
Ho Pareshan Himmat Se Kaam Lo
Hosh
Mein Raho Aqal Se Kaam Lo
Sabit
Qadam Raho Allah Ka Naam Lo
Khud
Pe Eitamad Bharosa Karte Raho
Koshish
Ko Rakho Jari Na Kabhi Daro
Kitna
Bhi Ho Bura Waqt Guzar Jata Hai
Arey
Acha Bura Waqt Tu Aata Jata Hai
Waqt
Ki Ahmiyat Aur Qadar Ko Samjho
Waqt
Ke Zariye Allah Aazmata Humko
Waqt
Ko Nahi Bhool Te Kirdar Waley
Waqt
Ne Barey Barey Buth Tor Daley
Samaaj
Mein Kirdar Ka Bara Hai Asar
Isi
Se Milti Izzat Aur Zillat Kis Qadar
Jo
Karta Hai Izzat Milti Usi Ko Izzat
Barabar
Samajhta Karta Mohabbat
Karta
Hifazat Huqooq Aur Azadi Ki
Bun
Ke Taqat Aur Izzat Samaaj Ki
Achey
Kirdar Amal Samaaj Se Tum
Do
Qaum Ko Izzat Aur Maqam Tum
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER THIRTYTWO (32)
HAQ KI AWAZ BANO
BYJAVEDZAHEER Na Na Ashiq Na Sufi Ya Shair Hoon Mein
Haq
Ki Awaz Se Bus Inspire Hoon Mein
Kuch
Samajhte Hain Sathya Pagal Mujhe
Kia
Bataon Apne Dil Ki Hoi Halat Tujhe
Jis
Dil Mein Ho Dard Wahan Hota Khuda
Sangdil
Nahin Sun Pata Dukhi Dil Ki Sada
Dard
Mahsoos Karna Allah Ki Nemat Hai
Dukhi
Dil Se Khelna Burey Ki Fitrat Hai
Nai
Zindagi Milti Hai Hamain Bar Bar
Waqt
Maut Karte Nahi Kisi Ka Intizar
Jub
Waqt Aata Tu Ruk Jaati Hai Saans
Zindagi
Hoti Juda Maut Leti Hai Phans
Zindagi
Maut Ka Khel Jub Shuru Hota
Koi
Karta Hai Dua Tu Koi Rota Dhota
Zindagi
Sehmi Sehmi Ghabrai Si Hoti
Maut
Jub Darwaze Pe Aan Khari Hoti
Rooh
Tayyar Hoti Hai Parwaz Ke Liye
Akhirat
Ke Safar Kay Aghaz Ke Liye
Dhari
Reh Jaati Hai Har Cheez Yahan
Jaatey
Hain Sirf Hamare Amal Wahan
Hosh
Mein Aao Ab Bhi Samajh Jao
Karo
Mehsoos Dard Na Kisi Ko Satao
Dil
Torna Nahi Dilon Ko Jorna Sikho
Toofanoun
Kay Tum Rukh Morna Sikho
Aise
Hi Amal Se Hogi Qabar Roshan
Zindagi
Mein Bhi Nahi Koi Tension
Saath
Do Logoun Ka Sachai Ke Liye
Na
Karo Waqt Barbad Burai Ke Liye
Jo
Nadan Hain Samjhao Pyar Se Unhain
Na
Darao Dhamkao Talwar Se Unhain
Talwar
Uthao Tu Sirf Haq Ke Liye
Warna
Chune Jao Ge Duzakh Ke Liye
Bano
Tum Haq Ki Awaz Ka Roop
Khidmat
Karo Insaniat Ki Khoob
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER THIRTYONE (31)
HIDAYAT CHAHIYE
BY JAVED ZAHEER
Na
Maal Na Daulat Na Shohrat Chahiye
Mujh
Ko Bus Allah Se Hidayat Chahiye
Is
Se Ziada Qeemti Kia Hoga Khazana
Khush
Naseeb Ko Hi Milta Ye Nazrana
Hoon
Kitna Gunahgar Tu Jaanta Hai Rab
Nahi
Tujh Se Poshida Mere Amal Sub
Phir
Bhi Tu Karta Kitne Mujh Pe Karam
Malik
Hai Tu Mera Karta Mujh Pe Rahem
Isi
Liye Tu Kehta Hoon Allah Ho Akbar
De
Humko Hidayat Aur Ek Acha Rehbar
Di
Mujhe Himmat Khas Maqsad Ke Liye
Qaum
Aur Insaniat Ki Khidmat Ke Liye
Karta
Hoon Shukar Rabbul Aalamin Ka
Wo
Jo Malik Aasmaan Aur Zameen Ka
Wo
Jo Rahman Hai Aur Raheem Bhi Hai
Kahta
Hai Malik-e-Yaumuddin Bhi Hai
Wohi
Dekha Ta Hai Sirat-e-Mustaqeem
Madad
Kar Hamari Ya Rabbul Kareem
Dikha
Humko Rasta Sidha Bhalai Ka
Nek
Logoun Ki Tarha Rasta Sachai Ka
Jin
Pe Nazil Huwa Nahin Tera Ghazab
Na
Huwe Gumrah Thay Nek Bande Sub
Hamein
Bhi Tujh Se Hidayat Chahiye
Ya
Rab Tauba Ki Qabooliat Chahiye
Nahi
Insaf Ke Qabil Maafi Chahiye
Mil
Jaye Hidayat Aur Kia Chahiye
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER THIRTY (30)
INSAN AUR KHUDA
BY JAVED ZAHEER
Insaan
Aur Khuda Ki Haqeeqat Kia Hai
Kabhi
Tum Ne Gaur Kia Ya Samjha Hai
Who
Kehte Hain Khuda Nazar Nahi Aata
Samajh
Mein Unke Ye Majra Nahi Aata
Hone
Ke Liye Nazar Aana Zaroori Nahi
Is
Baat Ko Samjhna Koi Mushkil Nahi
Jism
Zinda Hai Tu Rooh Ke Wajood Se
Kia
Inkaar Kar Sakte Ho Is Saboot Se
Rooh
Ko Aaj Tak Na Dekh Paya Koi
Koshishain
Hoin Na Samajh Paya Koi
Isi
Tarha Allah Ko Na Dekh Paya Koi
Wajood
Hai Uska Kaise Jhutlai Koi
Wo
Haqeeqat Hai Rooh Ek Misal Iski
Chala
Raha Hai Puri Kainat Ko Wohi
Rooh
Marti Nahi Aur Jism Faani Hai
Allah
Ke Hone Ki Pakki Nishani Hai
Usi
Ne Mitti Se Adam Ko Tha Banaya
Isi
Mitti Mein Murda Jism Ko Milaya
Jism
Ke Saath Tum Kuch Bhi Kar Lo
Kisi
Na Kisi Surat Milta Mitti Se Wo
Chahe
Ho Pak Naapak Raakh Khoorak
Milti
Hai Aakhir Mein Jism Ko Khaak
Insan
Ko Banaya Gaya Ek Maqsad Se
Ashraful
Makhlookat Banaya Tab Se
Be
Maqsad Zindagi Hoti Hai Bekaar
Aisa
Insan Hota Zalil Aur Khuwar
Sachai
Aur Achai Ko Maqsad Banao
Haq
Ke Liye Tum Sub Kuch Kar Jao
Yehi
Hain Insaniat Ibadat Ke Satoon
Isi
Raah Pe Chal Ke Milta Sakoon
Yahin
Se Mile Gi Qurbat Allah Ki
Meherbani
Hogi Tum Pe Khuda Ki
Agar
Takra Te Rahe Sar Pathar Se
Tu
Nikal Jaye Gi Sari Aqal Sar Se
Chahe
Ho KaabaYa Ho Hajr Aswad
Chahe
Koi Mazar Ya Koi Masjid
Nahi
Kar Sakte Hum In Ki Ibadat
Aisi
Tu Hain Nishanian Mutaadid
Samjho
Gaur Se Khuda Ki Wahdat
Isi
Mein Chupi Hai Rooh-e-Ibadat
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER TWENTYNINE (29)
SACHI IBADAT
BY JAVED ZAHEER
Gar
Karna Hai Tujhe Sachi Ibadat
Tu
Badal Apni Soch Apni Aadat
Sirf
Sajda Mein Nahi Hoti Ibadat
Khidmat-e-Khalq
Bhi Hai Ibadat
Bimaroun
Ki Ayadat Bhi Ibadat Hai
Dukh
Sukh Baantna Bhi Ibadat Hai
Sach
Ke Saath Jeena Bhi Hai Ibadat
Haq
Ke Liye Marna Bhi Hai Ibadat
Samajh
Gaye Tum Agar Sachai Ko
Dukhi
Nahi Karo Ge Apne Bhai Ko
Insaniat
Ki Hamesha Karo Ge Qadar
Yun
Badle Gi Mohabbat Teri Nazar
Jub
Quran Ko Samajhna Seekh Lo Ge
Sahi
Mein Jeena Marna Seekh Lo Ge
Insaniat
Aur Allah Se Karo Ge Pyar
Shaitan
Na Kar Paaye Ga Koi Waar
Ye
Baat Samhj Lo Achi Tarah Bhai
Ghaflat
Se Hi Milti Hai Sub Ruswai
Hoti
Isi Se Hai Barbadi Aur Tabahi
Allah
Ne Ye Baat Hamein Samjhai
Na
Karo Ghaflat Apni Ibadat Mein
Hai
Nejat Sirf Sachi Ibadat Mein
Isi
Se Milti Hai Rooh Ko Taskeen
Paida
Hota Hai Allah Pe Yaqeen
Hain
Ibadat Ki Beshumar Shaklain
Lazim
Hai Sahi Ibadat Ko Samjhain
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER TWENTYEIGHT (28)
SAMAJH QURAN KO
BY JAVED ZAHEER
Na
Samjha Quran Ko Jo Bhi Bechara
Ghalat
Soch Ne Kia Oos Ko Naakara
Paigham
Is Mein Sirf Insaniat Ka Hai
Allah
Ke Ghazab Wahdaniat Ka Hai
Karo
Mohabbat Sub Se Choro Burai
Quran
Kehta Hum Sub Hain Bhai Bhai
Mazhab
Ko Khilona Banaya Hum Ne
Khud
Apna Mazaq Urwaya Hum Ne
Aaj
Hum Pe Ayeen Jitni Burai Tabahi
Hum
Hi Zimmedar Hain Is Ke Bhai
Insaniat
Ko Hum Ne Jub Bhi Hai Chora
Allah
Aur Dunya Ne Hum Se Moo Mora
Allah
Ne Pehle Hum Ko Insan Banaya
Phir
Islam Ke Zariye Musalman Banaya
Sacha
Insan Hi Hota Acha Musalman
Na
Ho Insaniat Tu Banta Hai Haiwan
Achi
Niat Se Amal Ache Hotey Hain
Buri
Soch Se Sub Ghalat Hotey Hain
Rahe
Muslim Kum Munafiq Ziada Hain
Kehlatey
Musalman Shaitan Ziada Hain
Gar
Karna Hai Rab Aur Sab Ko Razi
Quran
Ko Samajh Ke Jeet Le Baazi
Achey
Amal Se Hi Apni Pehchan Kar
Zikar
Allah Ka Fikar Insaniat Ki Kar
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER TWENTYSEVEN (27):
Hai Bechara Mard
Sehta Hai Kitne Dard
BY JAVED ZAHEER
Jub
Se Tera Husn Ubhar Nikhar Dekha
Tab
Se Mujhe Sub Ne Beqarar Dekha
Doob
Gaya Jheel Si Aankhon Mein Uski
Dhati
Thi Kia Ghazab Muskurahat Jiski
Uski
Har Ada Ne Mujhko Diwana Kia
Looti
Neend Phir Na Kabhi Sonay Dia
Chen
Tu Gunwaya Saath Qarar Bhi Gaya
Na
Raha Kisi Kaam Ka Pagal Bun Gaya
Cheen
Liya Is Tarha Mujh Se Mujhko
Taras
Aya Na Meri Jaan Zara Bhi Tujhko
Shama
Ki Tarha Jalti Aur Jalati Mujhko
Ab
Tu Jalne Mein Hi Maza Ata Mujhko
Itna
Honay Se Tujh Pe Hota Kiyun Asar
Chaha
Mai Ne Tha Tu Thi Bay Khabar
Jalne
Ka Tarap Ne Ka Apna Maza Hai
Majnu
Farhad Ne Bhi Isko Chakha Hai
Har
Ek Mein Ek Shakhs Chupa Hota Hai
Koi
Mir Koi Ghalib Koi Iqbal Bunta Hai
Samajhne
Ke Liye Inko Nazar Chahiye
Diwano
Ko Husn Pe Ek Nazar Chahiye
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER TWENTYSIX (26)
I AM SORRY
BY JAVED ZAHEER
Ghabrao
Na Kabhi Kehne Se I’m Sorry
Sharmao
Na Kabhi Kehne Se I’m Sorry
Chote
Bareya Sub Se Kaho I’m Sorry
Izzat
Nahi Ghat Ti Kehne Se I’m Sorry
Na
Karo Kaam Aise Jo Kehna Pare Sorry
Inse
Bachne Se Nahi Hoti Kabhi Worry
Buzdil
Ko Hoti Nahi Kabhi Nadamat
Murda
Zamir Inke Hote Hain Budbakht
Bahadur
Hi Karta Hai Sorry Ki Himmat
Jub
Ehsas Dilati Usay Uski Sharafat
Jis
Ne Na Ki Sorry Aafat Ki Pari Maar
Mili
Pareshani Huwa Zalil Khuwar
Isi
Liye Kehte Hain Sabhi Samajhdar
Kehna
Pare Tu Kaho Sorry Baar Baar
Makkar
Ki Sorry Se Hamain Allah Bachai
Keh
Ke Sorry Samne Phir Deta Daga Hai
Aaj
Dunya Mein Kiyun Zalil Huwe Hum
Parey
Burai Mein Apnou Pe Kiye Zulum
Sorry
Baat Dor Ki Na Aankh Huwi Num
Phir
Kiyun Kare Allah Tum Pe Karam
Dete
Ho Dhoka Usko Aati Nahi Sharam
Karo
Sorry Dil Se Tab Miley Ga Raham
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER TWENTYFIVE (25):
ALWAYS PROMOTE
LOVE
BY JAVED ZAHEER
Koi
Kitna Bhi Kahe I Hate You
Tum
Hamesha Kaho I Love You
I
Love You Se Dil Milte Hain
Love Se Hi Dard Mit Te Hain
I
Hate You Se Gham Milta Hai
Hate
Se Sirf Zakham Milta Hai
Mohabbat
Mein Hate Nahi Hoti
Nafrat
Se Sirf Dunya Dukhi Hoti
Karo
Love Hate Mita Ne Ke Liye
Haters
Ko Apna Bana Ne Ke Liye
De
Kar Dard Na Milta Sukoon Kabhi
Love
Karne Se Hote Khoosh Sabhi
Insaniat
Mazhab Yehi Bataa Ta Hai
Love
Se Nikalta Hate Ka Janaza Hai
Milata
Love Mahbub Aur Khuda Se
Karwata
Yehi Izzat Sarey Jahan Se
Nabi
Se Wafa Love Se Hi Hoti Hai
Phir
Tu Kul Kainaat Teri Hoti Hai
Andaza
Nahi Love Ki Taqat Ka Jisko
Milti
Hai Jahan Mein Ruswai Usko
Gar
Pani Hai Sub Se Izzat Tum Ko
Bachao
Hate Ki Bimari Se Khud Ko
Batao
Har Banda Bashar Ko Ye Baat
Jeena
Hai Tu Jiyo Love Ke Saath
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER TWENTYFOUR (24)
HUWE KUB WO
HAMARE
BY JAVED ZAHEER
Jo
Kehte Thay Tumhare Hain
Huwe
Kub Wo Hamare Hain
Muskurahat
Pe Unki Na Jao
Dil
Chir Ke Inko Na Dikhao
Dete
Ye Dhoka Bewafa Hain
Achey
Kum Milte Yahan Hain
Kia
Jis Se Pyar Khunkhar Nikla
Zeher
Se Bujhi Talwar Nikla
Pehle
Tu Pyar Khud Se Kar
Hai
Kisi Ko Kahan Teri Fikr
Oos
Gali Raste Se Na Guzar
Parti
Jahan Tujh Pe Buri Nazar
Pyaroun
Ki Kar Khoob Qadar
Yehi
Saath Denge Kis Qadar
Mushkil
Se Milta Hai Sacha Pyar
Lakhon
Mein Hote Hain Do Char
Phir
Te Hain Marey Bohot Bekar
Bana
Sakte Nahi Inko Apna Yaar
Agar
Qurbat Ki Talab Hai Tujhko
Magnet
Se Lohey Ki Tarha Chipko
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER TWENTY THREE (23)
KHUD SE JIHAD KAR
BY JAVED ZAHEER
Khud
Se Jihad Kar Na Barpa Fasad Kar
Ghusse
Ko Pee Jaa Sirf Sahi Baat Kar
Samajh
Khoob Se Ayyari Makkari Ko
Mukammal
Rakh Hamesha Tayyari Ko
60
Saal Tak Dekhe Dunya Ke Jo Halaat
Kia
Kia Nazare Dekhe Kia Kia Kamalaat
Dete
Hain Dhoka Insaniat Ki Karke Baat
Matlab
Ke Liye Kehte Din Ko Bhi Raat
Bohot
Mushkil Se Bachaya Inse Khud Ko
Allah
Na Karta Madad Tu Khajate Mujho
Nazar
Tum Zindagi Ke Maqsad Pe Rakho
Aur
Phir Maza Asal Kamyabi Ka Chakho
Mushkilain
Aingi Darain Gi Tumko
Har
Tarha Se Ye Aazmain Gi Tumko
Rulaingi
Sataingi Behkain Gi Tumko
Darey
Tu Qabristan Pochain Gi Tumko
Sub
Burai Achai Nazar Aye Gi Tumko
Har
Sachai Burai Nazar Aye Gi Tumko
Bura
Waqt Apne Tewar Dikhai Ga Tumko
Dunya
Hai Kitni Zalim Batai Ga Tumko
Aise
Mein Bohot Himmat Hosla Chahiye
Guzar
Jaye Gaa Ye Waqt Na Ghabraiye
Daman
Tum Shukar Sabar Ka Na Chorna
Allah
Quran Rasool Se Rishta Na Torna
Hojao
Ge Jub Tum Muttaqi Aur Momin
Badlain
Ge Sub Burey Naseeb Aur Din
Dunya
Mein Dher Sari Izzat Miley Gi
Is
Hi Tarha Tumhain Jannat Miley Gi
***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER TWENTYTWO (22)
KAR ACHEY KAAM
BY JAVED ZAHEER
Khuda
Ko Khudi Hai Bohot Pasand
Rakhna
Hamesha Hai Is Ko Buland
Neki
Ki Taraf Manind Barq Tu Lapak
Bijli
Ki Tarha Har Taraf Tu Chamak
Insan
Ne Insan Ko Na Samjha Kabhi
Insaniat
Ki Khoob Dhajjian Urata Tabhi
Dhongi
Ne Bunke Molvi Masjid Banali
Masoom
Musalman Se Manzil Churali
Koi
Pir Koi Faqir Koi Bana Mujawir
Hote
Hain Ye Sub Makkar Aur Shatir
Dete
Hain Ye Dhoka Sub Logoun Ko
Nazar
Aate Jo Nek Hum Logoun Ko
Musalman
Ne Quran Se Jo Nata Tora
Khuda
Se Huwa Dor Mulla Se Nata Jora
Allah
Ne Bhi Phir Ghusse Se Moo Mora
Isi
Liye Sari Dunya Ne Aaj Zulum Tora
Haal
Dekh Ke Inka Ab Lagta Mujhe Dar
Jahannum
Ko Banate Hain Jo Apna Ghar
Itne
Gumrah Ruswa Barbad Huwe Hum
Dunya
Bani Dushman Dost Rahe Kum
Gar
Mazhabe Islam Allah Ka Na Hota
Tu
Mein Shartia Musalmaan Na Hota
Hum
Hi Ne Tu Kya Islam Ko Badnam
Isi
Liye Sub Kar Rahe Zalil Sarey Aam
Jeena
Hai Izzat Se Tu Kar Achey Kaam
Jor
Rishta Allah Se Le Bus Isi Ka Naam
***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER TWENTY ONE (21)
AURAT MAMTA KE
ROOP MEIN
BY JAVED ZAHEER
Aurat
Ki Azmat Ko Jub Tum Samajh Jao Ge
Qadar
Karo Ge Uski Na Usko Satao Ge
Shaitan
Bhi Aurat Ki Azmat Ko Manta Hai
Paighambaroun
Ki Bani Maa Ye Jaanta Hai
Maa
Bun Ke Deti Khoob Pyar Aur Dua
Shareek
Bun Ke Batati Ki Kia Hai Wafa
Beti
Ke Roop Mein Karti Hai Ghar Roshan
Is
Ki Khusboo Se Khoob Mehke Chaman
Naa
Ki Zalim Dunya Ne Aurat Ki Koi Qadar
Banaya
Bazar Ki Zeenat Rulaya Kis Qadar
Kabhi
Ki Zabardasti Tu Kabhi Kiya Jabar
Aurat
Hi Rahi Aurat Ki Dushman Magar
Shareef
Izzat Deke Lete Hain Loot Te Nahi
Shareer
Izzat Loot Te Hain Pooch Te Nahi
Yehi
Tu Hai Farq Insan Aur Haiwan Mein
Hoti
Nahi Sharafat Kabhi Baimaan Mein
Aurat
Ko Izzat Aur Mohabbat Chahiye
Doobte
Ko Sahara Aur Kinara Chahiye
***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER TWENTY (20)
ILM AISA KHAZANA
BY JAVED ZAHEER
Bharhta
Jo Baant Ne Se Ilm Aisa Khazana Hai
Karta
Roshan Aqal Ko Samajh Ne Ye Jana Hai
Rahai
Jahalat Wo Darindagi Se Dilata Hai
Allah
Ye Baat Kitaboun Mein Batata Hai
Ilm
Hi Ki Badoulat Insan Allah Ko Paata Hai
Jo
Raha Ghafil Haqeeqat Se Bhatak Jaata Hai
Na
Ho Ilm Dost Tu Aqal Bunti Hai Dushman
Banati
Hai Khoob Bura Karti Bohot Budzun
Ye
Jaan Lo Maan Lo Haqeeqat Pehchan Lo
Allah
Quran Rasool Ko Ilm Se Pehchan Lo
***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER NINETEEN (19)
ADA KA ASAR
BY JAVED
ZAHEER
Gar
Husn Diwana Tu Jawani Mast Karti Hai
In
Se Ziada Magar Ek Ada Asar Karti Hai
Dekhati
Sub Ko Apne Jalwey Ka Jadu
Banati
Ashiqoun Ko Laila Aur Majnu
Jub
Kisi Ko Kisi Ki Ada Bhaati Hai
Har
Cheez Uski Achi Nazar Aati Hai
Fana
Karte Hain Ashiq Khud Ko Iske Liye
Badshah
Bunjate Hain Faqir Jis Ke Liye
Luta
Dete Hain Ashiq Sub Kuch Apna
Dekhte
Rehte Bus Subh Sham Ek Hi Sapna
***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER EIGHTEEN (18)
WAQT KA SABAQ
BY JAVED ZAHEER
Waqt
Ne Hamain Bohot Kuch Sikhaya Hai
Achey
Buray Logoun Ka Farq Bataya Hai
Jo
Dikhte Thay Insan Khabis Shaitan Nikle
Jo
Lagte Thay Meherban Baimaan Nikle
Qadar
Karo Sache Dost Aur Pyaroun Ki
Parwa
Na Karo Zalim Rishte Daroun Ki
Khud
Pe Aur Khuda Pe Bharosa Rakhna
Yehi
Tumhari Taqat Hai Yaad Rakhna
Waqt
Aaney Pe Isey Aazmaya Hai Mainey
Kasam
Se Khoob Maza Paya Hai Mainey
Jo
Takabbur Ke Nashe Mein Doobe Thay
Barbad
Huwe Unke Sub Mansubey Thay
Samajhte
Thay Jo Khud Ko Khuda Kabhi
Aaj
Pareshan Haal Nazar Aate Hain Sabhi
Tarkeeb
Jahannum Se Bachne Ki Karte Hain
Khuda
Aur Maut Se Magar Nahi Darte Hain
Koshish
Sirf Jahannum Se Bacha Sakti Hai
Khuda
Aur Maut Se Nahi Bacha Sakti Hai
Gar
Chaho Khuda Ke Ghazab Se Bachna
Tu
Shaitan Shar Aur Burai Se Bachna
Bohot
Mushkil Hai Ye Kaam Asaan Nahi
Sachi
Koshish Waley Hote Nakaam Nahi
Khush
Naseeb Hi Ko Milta Hai Sacha Pyar
Sacha
Pyar Jo Karta Aik Dosre Ko Beqarar
Samajh
Lo Jub Tumko Hojai Allah Se Pyar
Na
Maut Ka Hoga Dar Na Hogi DunyaYaar
Pyar
Hamesha Tum Sache Dil Se Karo
Lazzat
Ke Liye Nahin Izzat Ke Liye Karo
Sirf
Jism Milne Se Dil Milte Nahi Kabhi
Jub
Milti Roohain Milte Hain Dil Tabhi
Dunya
Mein Aye Ho Pyar Phailane Ke Liye
Sub
Ki Madad Aur Kaam Aaney Ke Liye
Na
Karo Barbad Khud Ko Zamane Ke Liye
Karo
Kuch Tu Sirf Rab Ko Paane Ke Liye
***************
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER SEVENTEEN (17)
ACHEY KAAM KAR
BY JAVED ZAHEER
Kaam
Acha Kabhi Rukna Na Chahiye
Dil
Kisi Ka Kabhi Dukhna Na Chahiye
Kaam
Achey Kar Aur Beshomar Kar
Naam
Se Apney Jag Ko Beqarar Kar
Dil
Mein Yun Samao Ki Dharkan Bunjao
Yaaden
Aisi Dejao Ki Amar Kehlao
Roshan
Yun Raho Jaise Shams-o-Qamar
Marne
Ke Baad Rahe Roshan Teri Qabar
Ye
Naam Ye Maqam Yun Hi Nahi Milta
Sachai
Mohabbat Ibadat Se Hai Milta
Chaman
Mein Har Phool Gulab Nahi Hota
Insaniat
Jis Mein Ho Wo Kharab Nahi Hota
Fasadi
Ka Hai Kaam Dehshat Gardi Karana
Jihadi
Dikhata Inko Jahannum Ka Thikana
Sach
Ke Liye Larta Qurban Hota Hai Jihadi
Jhoot
Aur Makar Se Burai Phailata Fasadi
Farq
Jaan Lo Jihadi Aur Fasadi Mein Hai Kia
Aik
Bana Insan Tu Dujha Haiwan Bun Gaya
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER SIXTEEN (16)
KIA POOCHTE HO
BY JAVED
ZAHEER
Hum
Se Hamari Zaat Auqat Poochte Ho
Kia
Bataon Hum Se Kia Baat Poochte Ho
Sar
Hum Kata Te Hain Jhukate Nahi Kabhi
Zalim
Ye Majra Samajh Paate Nahi Kabhi
Sar
Jhukta Hai Tu Sirf Ek Allah Ke Agey
Sar
Uthta Hai Tu Zalim Dar Ke Bhagey
Na
Zulum Sehte Na Zulum Hota Tum Pe
Zalim
Kabhi Bhi Haawi Hota Na Tum Pe
Samajh
Lo Ye Baat Ab Bhi Ganimat Hai
Warna
Sar Pe Tumhare Khari Musibat Hai
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER FIFTEEN (15)
AMERICA KI DOSTI
BY
JAVED ZAHEER
America Na Dost Na Khuda Hai Hamara
Jis Ne Kia Bharosa Woh Hi Gaya Mara
Kaam Dara Ke Dhamka Ke Nikalwata Hai
Samajhta Hai Woh Ki Sub Ka Andata Hai
Kal Ke Dost Uske Aaj Dehshat Gard Huwe
Amriki Hukmaran Bhi Kabhi Kisi Ke Huwe
Wahan Ke Loug Tu Saada Aur Achey Hain
Bohot Mohabbat Karte
Aur Sache Hain
Hamein Chahiye Buroun Se Bach Ke Rehna
Kiyun Maante Ho Unki Sub Baat Aur Kehna
Qaum Ko Chund Loug Hi Dagha Dete Hain
Loot Te Aur Ghulam Bana Dete Hain
Jub Talak Rahey Gi Inki Ayyari Makkari
Mulk Aur Qaum Pe Rahe Gaa Waqt Bhari
Jub Tum Chaho Ge Tub Halaat Badlein Ge
Warna Ghaddar Yun Hi Qabiz Rahain Ge
Dost Dushman Ki Sahi Pehchaan Seeko
Tor Do Gulami Ki Sub Zanjeeroun Ko
Qadar Karo Apne Watan Apni Azadi Ki
Nahi Tu Tayyari Kar Lo Apni Barbadi Ki
Yehi Haqiqat Aur Anjaam Hoga Hamara
Dhoond Te Rahe Gar Dosroun Ka Sahara
Watan Hai Hamara Hum Ko Bohot Pyara
Barho Aage Aur Badal Do Waqt Ka Dhara
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER FOURTEEN (14)
HOSH MEIN AAO
BY JAVED ZAHEER
Koi
Peeta Hai Sharab Tu Koi Lahoo
Donoun
Se Aati Hai Burai Ki Boo
Aik
Se Khood Dujhe Se Qaum Tabah
Kaise
Kahe In Ke Liye Koi Marhaba
Mein
Peeta Hoon Keh Ke Iqrar Tu Kia
Ayat
Parh Ke Dhoka Dia Tu Kufur Kia
Kisi
Ki Bhi Zaat Pe Keechar Na Uchalo
Hosh
Mein Aao Apne Aap Ko Samhalo
Qaumain
Banti Hain Achey Kardar Se
Ummeed
Na Rakh Achi Kisi Ghaddar Se
Ghaflat
Se Tu Hota Hai Bara Nukhsan
Dushman
Ko Mil Jata Hai Khula Maidan
Gar
Mulk Bachana Hai Tu Hosh Mein Aao
Haqeeqat
Se Lo Sabaq Aur Josh Mein Aao
Karne
Se Sub Hoga Sirf Kehne Se Nahi
Kis
Ka Hai Intizar Na Aye Gi Ab Wahi
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER THIRTEEN (13)
MAQSAD SE
ISHQ
BY JAVED ZAHEER
Maindak Ki Tarha Tar Tar Hum Nahi Karte
Shaair Ho Ne Ka Kabhi Dum Nahi Bharte
Kaam Ka Junoon Aur Maqsad Se Ishq Hai
Ye Allah Ki Meherbani Aur Bakshish Hai
Na Khali Do Haath Aik Dosre Ka Saath Do
Jo Pukare Madad Ko Tum Usko Saath Lo
Aik Adam Ki Hain Aulad Larai Kis Baat Ki
Ibrahim Ko Apna Maante Hain Hum Sub Hi
Nafrat Ka Beej Boya Hai Laanti Shaitan Ne
Kia Begara Hai Tumhara Hum Musalman Ne
Maarte Ho Kaat Te Ho Barbad Karte Ho
Phir Besharmi Se Insaniat Ka Dum Bharte Ho
Ye Kiyun Itna Zulm Aur Sitam Karte Ho
Maaf Karta Nahi Allah Kabhi Zalim Ko
Sudhar Jao Tauba Karlo Ab Bhi Waqt Hai
Warna Tu Allah Ki Pakar Bohot Sakht Hai
Firoun Namrood Na Sikandar Bacha Hai
Allah Ke Samne Sir Sub Ka Jhuka Hai
Islam Dehshat Gardi Hai Ye Kehte Ho Tum
Samajh Te Bhi Ho Ki Kia Kehte Ho Tum
Itne Nadan Tu Nahin Jo Jaante Nahi Tum
Kis Bebaki Se Allah Ko Bura Kehte Ho Tum
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER TWELVE (12)
APNI
PEHCHAAN KAR
BY JAVED ZAHEER
Dunya Mein Pehchan Apni Insaniat Se Bana
Diloun Mein Jaga Sachi Mohabbat Se Bana
Hai Dil Ka Dukhana Sub Se Bara Gunaa
Isi Liye Tu Allah Ne Kia Hamein Manaa
Darja Bara Insaniat Ka Firouniat Ka Nahi
Kharabi Ki Lisaniat Ne Qaumiat Ne Nahi
Burai Ko Hum Apni Achai Samajh Baithay
Isi Liye Tu Gunaa Barey Sub Kar Baithay
Bhulaya Rab Ko Dunya Paane Ke Liye
Barbad Kia Khood Ko Zamane Ke Liye
Kia Samajhte Ho Aqalmand Insan Ho Tum
Pataa Bhi Hai Kitne Barey Nadan Ho Tum
Karte Ho Ghaltian Khood Aur Khuda Se Gila
Dete Ho Apney Rab Ko Khoob Achaa Sila
Jeena Hai Gar Tujh Ko Yahan Sukoon Se
Tu Jor Le Rishta Sirf Sachai Aur Rab Se
Isi Mein Hai Izzat Aur Najaat Bhi Teri
Arey Maan Liya Kar Kabhi Baat Bhi Meri
Kehte Hain Sub Kar Bhalai Sunta Nahi Koi
Isi Liye Tu Acha Insan Bunta Nahi Koi
Samajh Apne Aap Ko Tu Rab Mil Jaye Gaa
Jo Kuch Bhi Lutaya Tha Sub Mil Jaye Gaa
Na Mili Manzil Jub Thi Shaitan Ki Sohbat
Mila Sub Kuch Jub Mili Rehman Ki Qurbat
Imaan Hi Hai Sache Musalman Ki Taqat
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER ELEVEN (11)
MUSALMAAN KI
HALAT
BY JAVED ZAHEER
Maan Ne Walon Ko Pathar Dewta Nazar Ata Hai
Phir Kiyun Na Musalman Ko Allah Mil Paata Hai
Haan Ye Imaan Ki Kamzoori Ki Wajah Se Hi Hai
Shaitan Se Yaari Aur Makkari Ki Wajah Se Hi Hai
Aaj Jo Hamein Subh Sham Parh Rahi Hai Maar
Maan Lo Hum Sub Hi Hain Is Ke Zimmedar
Kia Mujh Se Poochte Ho Kia Bataon Tum Ko Baat
Mana Khuda Ko Aik Par Maani Naa Oos ki Baat
Gawanya Sub Aish Mein Is Liye Mili Khairaat
Ghussa Aur Jazbaat Mein Aqal Se Dhoye Haath
Dushman Ko Maarne Ka Mauqa Khood Dete Hain
Hum Apni Qabar Afsos Khood Khod Lete Hain
Samajh Mein Aajati Agar Allah Rasool Ki Baat
Dunya Mein Hote Khuwar Na Parti Hamein Laat
Ab Bhi Waqt Hai Samhal Ja Samajh Ja Musalman
Bachai Gaa Museebat Mein Sirf Allah Aur Quran
Dushman Ko Na Samajh Dost Who Tu Hai Baiman
Dikhta Hai Who Shareef Haqeeqat Mein Hai Shaitan
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER TEN (10)
FIKR AAMAAL
KI KARO
BY JAVED ZAHEER
Fikr Tum Apni Qabar Aur Aamaal Ki Karo
Na Sirf Sood Haram Aur Halal Se Daro
Dunya Ko Batao Ke Tum Cheez Kia Ho
Insaniyat Ke Kaam Se Nahi Tum Juda Ho
Amal Se Hastiyun Ne Kiye Musalman Kitne
Mulla Ne Tu
Diye Sirf Fatwey Aur Fitney
Nazar Aisi Ki Chand Nazar Aata Nahin Inko
Samajhte Hain Sub Nazar Aata Hai Jinko
Dekho Tu Nigahe Mard Momin Se Dekho
Wohi Badal Deti Hain Taqdeeroun Ko
Rehem Se Nikley Be Rehem Dunya Aye
Yahan Insan Kum Shaitaan Ziada Paye
Lage Hain Ziada Tar Loot Mar Mein Loug
Afsos Musalmoun Ko Bhi Laga Ye Roug
Kehte Hain Allah Rasool Se Ki Hum Tere Hain
Lagate Magar Shaitaan Ke Ird Gird Phere Hain
Zara Hosh Mein Aaa Aisi Koi Baat Naa Kar
Lougoun Se Kar Mohabbat Sirf Allah Se Dar
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER NINE (9)
BANA LE PIYA
BY JAVED ZAHEER
Ghazab
kia tu ne jo samajh ke na diya
Allah ki
meherbani ko oos ki nishani ko
Pooche
gaa jub Khuda ki tu ne kia kya
Roz
mehshar kia moo dekhai gaa Rab ko
Waqt nikal
tauba karne dil lagane ke liye
Razi kar kay
bana le oos ko apna piya
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER EIGHT (8)
REH NAA BE
KHABAR
BY JAVED ZAHEER
Dunya Ko Galey Laga Liya Ab Rab Ko Dekh Laga Kar
Gar Nahi Ki Hai Tayyari Tu Reh Naa Be Khabar
Allah Tu Tere Pas Hai Kya Dekhta Idhar Udhar
Sub Chor Jain Ge Tujhe Jub Godh Le Gi Qabar
Yehi Hai Haqiqat Allah-O-Akbar Allah-O-Akbar
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER SEVEN (7)
KOSHISH
BY JAVED
ZAHEER
Yun hi dil karta hai tu lafz sher bun jaate hain
Warna hamein kahan kehna sher aate hain
Hum tu bus aisay hi likhte jaate hain
Kisi ko hansa te tu kisi ko rulate hain
Koshish yehi rehti ki sub aik rahain.
Isi maqsad ke liye hum khojate hain
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER SIX (6)
SAMAJHNE KI
BAAT
BY JAVED ZAHEER
Molvi Mulla Ke Samajh Aye Gi Na Baat Meri
Halwe Mande Mein Guzarti Hai Din Raat Teri
Dekhne Mein Tu Bohot Ibadat Guzar Lagte Hain
Magar Logoun Mein Beej Nafrat Ke Bote Hain
Kaho Kia Allah Ke Nek Bandey Aise Hote Hain
Who Tu Allah Ki Yaad Mein Khoye Rehte Hain
Khidmat-e-Khalq Se Allah Ko Razi Karte Hain
Ye Koi Matlab Se Nahi Aik Maqsad Se Karte Hain
Kiyun Ki Who Sache Hain Aur Allah Se Darte Hain
Isi Liye Hum Sub Loug Unse Mohabbat Karte Hain
Haan Mullawale Bhi Allahwale Ho Sakte Hain
Sirf Sachi Tauba Se Apne Gunah Dho Sakte Hain
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER FIVE (5)
FAUJ KA FARZ
BY JAVED ZAHEER
Tha Kabhi Shauq Mujhe Fauj Mein Jaane Ka
Chalti Hoi Golion Ko Seena Dekha Ne Ka
1971 Ka Tha Sunn Jub Ujar Gaya Chaman
Toot Ke Do Hissey Huye Lut Gaya Watan
Sabaq Sikha Na Koi Tarikh Aur Halaat Se
Barbad Kar Diya Sub Kuch Apne Haath Se
Bohot Na Shukrey Sabit Huwe Bande Hum
Lage Loot Mar Mein Khazana Kiya Khatam
Mardood Khel Rahe Hain Khoon Ki Holi
Mazloom Ko Mili Bhook, Maut Aur Goli
Kub Tab Chale Gi Aise Hi Dehshat Gardi
Kya Kar Rahi Hai Fauj Pehen Kar Wardi
Kya Inko Nazar Aata Nahi Khoon Kharaba
Bachana Qaum Ko Hi Farz Inka Hai Baba
Agar Ye Sote Rahe Tu Marti Rahe Gi Qaum
Na Rahe Gi Azadi, Na Wardi Na Ye Qaum
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER FOUR (4)
ALLAH KA JALWA
BY JAVED
ZAHEER
Mein kuch nahi tha aur bunta chala gaya
Chund moti se haar boonta chala gaya
Roshni di ilm ne tu rang bhare qalam ne
Khuda ki meherbani se sambhalta chala gaya
Shohrat di oos ne tu izzat bhi saath mein
Kaise is nacheez ko koi cheez bana gaya
Ab hoga na gham judai ka marne ki fikr se
Allah ne mujhko jalwa kuch aisa dekha diya
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER THREE (3)
SIRF ALLAH
SE DARO
BY JAVED ZAHEER
Ho Khuda Dil
Mein Jub Tu Asl Sajda Hota Hai
Yun Sir Jhukane Se Sirf Waqt Ka Ziyan Hota Hai
Oos Ki Qurbat Ke Liye Kafi Nahi Mohabbat Karna
Is Ke Liye Zaroori Hai Insan Ko Allah Se Darna
Mohabbat Karo Sub Se Ishq Khuda Se Karo
Zalim Ke Zulum Se Nahi Sirf Allah Se Daro
Oos Ko Paane Ke Liye Sach Ko Paana Hoga
Mut Bhool Ki Wapas Bhi Tujhe Jaana Hoga
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER TWO (2)
ISHQ AUR
MOHABBAT
BY JAVED ZAHEER
Koi hamein batlai ishq aur mohabbat kya hai
Ye kaam tu hum ne nahi kabhi kya hai
Samajhti rahi ki oos ne deewana kya hai
Kash oosey pata hojai ki wafa kya hai
Hamein tu aseer kya tha oos ki zulf ne
Warna ghuroor ke ilawa oos mein aisa kya hai
Kia buth bani parashtish karwane ke liye
Agar nahi tu phir ye sub majra kya hai
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
NUMBER ONE (1)
PHOOLTI
PHALTI RAHO
BY JAVED
ZAHEER
(In praise of my niece Dr Savera Ali)
Kia Ali, Ali, Ali, Ali ki tasbeeh mein busy ho
Woh tumhara mizaji khuda hai khoosh raho lagi raho
Tumhari muskurahat aur Ali se mohabbat qaim daim rahe
Tum jahan bhi raho phoolti phalti raho
Nazar na lage kisi dushman ya hasid ki
Inse bohot hoshiar aur ba khabar raho
**********
JZ’S ROMAN URDU EXPRESSION
SPECIAL NUMBER
(A SLAP ON HUMANITY)
INSAN AUR HAIWAN
BY JAVED ZAHEER
Ye Kis
Zalim Ne Iske Moo Pe Mara hai
Kia Is
Masoom Ne Kisi Ka Begara Hai
Ye Tu
Abhi Kali Nazuk Si Pyari Si Hai
Kis
Darindey Ne Ghussa Apna Utara Hai
Lalkara
Kis Bedardi Se Insaniyat Ko Hai
Rokna Har
Qeemat Pe Haiwaniat Ko Hai
**********
SPECIAL PRAYERS
BY JAVED ZAHEER
“The Almighty, please, please, please accept
my prayers, help, support, protect and guide
me, my people and my community.Yes indeed,
we are suffering because of wrong approach
and bad deeds. Give senses and understanding
to our parents, elders and leaders so that
they
become really good and responsible, learn to
live and work together, love and care for
each
other, make us good and give us better life,
education and bright future. Oh God, please
have mercy on us. Shower blessings on us.”
Voice Of The Community---Javed Zaheer
**********
Visit www.javedzaheernews.blogspot.ca for more
exclusive articles
JAVED ZAHEER, FREEEXPRESSION AWARD WINNER
JZ’S PROFILE: Declared by Judges as one of 75 Finalist Best
Canadian Immigrants, an Honour for the Pakistani Community. Joined Journalism
Profession in 1974 (Daily `SUN’, Karachi) and still serving as a professional
journalist (2014). Javed Zaheer, Free Expression Award Winner (Awarded by
National Ethnic Press & Media Council of Canada—NEPMCC. Award presented by
Lieutenant-Governor of Ontario, Canada), Desi Idol Recognition Award Winner
(Presented by North American Desi Idol), Member/Honorary Director of NEPMCC,
Veteran Active Member (VAM) of Toronto Press Club, Ex-Member of The National
Club and The Ontario Club, Honorary Editor of English Weekly `Pakistan Abroad’,
Canada, ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `The Ambassador’, Canada,
ex-Chief Editor (Honorary) of English Weekly `DAWN', Canada, ex-Senior
Sub-Editor of English Daily DAWN, Pakistan (From 1986-1999), Chairman, CANOPI,
Director of Children Dignity Foundation (CDF---Canada & Pakistan) and
Honorary Director, Canpak, Chamber of Commerce, and Honorary Director
Information, Pak Seniors Forum (PSF), is contributing purely on Voluntary and
Honorary Basis in order to serve all people and communities. Contact: (416)696-0981/jazamedia@hotmail.com
To read more JZ’s exclusive articles, please visit: www. nepmcc.ca and
nationalethnicpress.com (Editorial Sections. Scan years from 2004). Visit
www.javedzaheernews.blogspot.com for latest exclusive articles.
JZ'S MOTTO: SERVE HUMANITY IN REALITY
ABOUT JAVED ZAHEER’S
ROMAN URDU EXPRESSION
(TOOTI PHOOTI SHAIRI)
Lahu Ko
Qalam Ki Roshnai Banata Hoon
Mein Ko
Khudi Ki Taqat Se Mita Ta Hoon
Hon Agar
Iraday Mazboot Aur Buland
Rok Sakey
Gaa Na Koi Pahar Aur Bund
*********
Jo Bhi
Kehta Hoon Apna Kehta Hoon
Salam Bhi
Apna Kalam Bhi Apna
Jo Dosre
Kehte Oos Se Mutasir Hoon
Dil Apna
Dard Paraya Rakhta Hoon
**********