Monday, November 2, 2015

JZ'S ROMAN URDU POETRY: GAR HOTAY ACHEY MULLA

JZ’S TOOTI PHOOTI SHAIRI
         (Roman Urdu Poetry)
GAR HOTAY ACHEY MULLA
BY JAVED ZAHEER
Gar Hotay Achey Mulla Na Musalman Rotay
Na Emaan Na Pehchaan Na Yun Jaan Khotay
Kia Gumrah Qaum Ko Ayyari Makkaru\i Se
Phansaya Chakkar Mein Nafs Ki Bimari Se
Unhi Ki Waja Se Huwe Aaj Jug Mein Ruswa
Jinhain Loug Banatey Peer Khilatay Halwa
Yehi Hain Wo Jinhoun Ne Dilwaya Bura Laqab
Koi Kehta Dehshatgar Tu Koi Dhaata Ghazab
Leta Agar Musalman Apni Samajh Se Kaam
Tu Hota Is Qaum Ka Bhi Bohot Oncha Naam
Dunya Mein Sachey Musalman Kum Rahey
Baqi Tu Yunhi Behektay Bhataktay Rahey
Sadiyoun Se Yehi Horaha Hai Qaum Ka Anjam
Karte Rahay Mulla Inka Yunhi Kaam Tamaam
Gar Samajh Mein Aye Tu Ab Bhi Sambhal Jao

Ruswai Se Tum Yun Na Apni Gadh Bunwao

No comments:

Post a Comment